Sunday, December 30, 2012

aadmi, doosre aadmi ke baad

kyon uthata hai dhuan aaj aag bhujne ka baad
woh dekh sar jhukaye khada aadmi, doosre aadmi ke baad

bikhri padi thi izzat kissi mod pe to yun_hi
aur tamashi bana khada tha wahan aadmi, aadmi ke baad

siskiyaan goonj rahi hain har sadak se uski
aur bhagta fir raha hai yahan aadmi doosre aadmi ke baad

jeene ki ek umeed thi jo usse mil na saaki
issi liye shayad sar jhukaye khada aadmi, aadmi ke baad

band sadkoon mein hukumraan chupke beith gaye
are neta kaise chunta hai tujhe aadmi, doosre aadmi ke baad

band ho gayi cheekh-cheekh woh aawaaz to aaj
aur behra ban ke khada raha wahan aadmi, aadmi ke baad

bahut tha guruur use apne aadmi hone pe magar
aaj sharamsaar hua hai woh ek aadmi ki harkaar ke baad

kyon uthata hai dhuan aaj aag bhujne ka baad
woh dekh sar jhukaye khada aadmi, doosre aadmi ke baad

Sunday, December 23, 2012

...na dekh (a take on what happened today)

hai awaaz aayi kis ki, kis jagah se na dekh
yeh shahar-e-barbaad hai, tu isse na dekh

bahut jee liya tune ab dar bahar jaane se
yahan haivaan hi baste hain, yahan na dekh

hai gungoon ki basti, chupi kahin andar
bahar lathiyoon ki barssat hai, na dekh

main khada hoon hairaan pareshaan magar,
butt banne_wale pathar hain, unhe na dekh

hai umeed kaisi hasrat-e-butt-e-nakashi se
yeh apne guroor mein hain, us aur na dekh

unchi deewarein hain, aur unche darwaaze
band khidki se cheekh nahin sunte, na dekh

kyon fainkta hai pathar tu, us aur bata
sheeshe sab lathi se ghirre hain, na dekh

woh kya jaane takleef, tere jeene ka dard
kaise umeed rakhta hai wo sunege, na dekh

jiske liye biche hue hai kaleen roz naye
wo pathar ki sadak pe kya ayenge, na dekh

din beeta raat aayi, aur koi umeed nahin
aaj phir khoon hua, ek beiti gayi, na dekh

yeh teri ki karistani hai, teri hi galti
jise chuna tune wo badal gaya, usko na dekh

Friday, December 14, 2012

kuch hawa bhi hai aaj sard si

ek chees uthi purane dard ki
kuch hawa bhi hai aaj sard si

lab thar-tahara rahein hain ki
zubaan bhi hai aaj khamosh si

aankhon ne phir dekha unhe
par abhi diloon mein duri si

kuch kadam ka hai fansala
beech tamannaein dariya si

nahin jaati hai chod kyon
woh umaang adheer beetaab si

hai udaasi mujh mein aashna
kyon kuch mere hi ek aks si

udhed bun hai mujh mein inki
jaise jang-e-quatl-o-gaar si

mit gaye ye sabhi butt yahan
hai maut bhi ab khamosh si

na dikha chehra-e-saraab ki
kuch hawa bhi hai aaj sard si

bahut raat baad aaj need aayi

aaj chand ne chandani failayi
bahut raat baad aaj need aayi

dar raha andhere se kuch yun
saher tak aankh na lag paayi

raha intezaar aftaab ka aise
jaise uspe apni jaan ban aayi

bahut chahaa tum saath ho par
pehlo mein behthi rahi tanhai

kuch khwaab rahe undekhe aur
andhere ki haqiqat nazar aayi

hawa ki dastak pe laga tum ho
bahar koi surat na nazar aayi

raha brahm itne roz yehi dil
aur dil-i-tamanna na mil payi

aaj nikala hai chand phir se
aaj phir teri surat nazar aayi

aaj chand ne chandani failayi
bahut raat baad aaj need aayi

Friday, December 7, 2012

waqt-e-sahera ka safar

waqt-e-sahera ka safar itna asaan na tha
kuch hanseen laherein kuch toofanoon ka basera tha

chand kadamoon ke fansale rahe darmiyaan
tab_hi maujoon ne mera woh aashiyaan udheera tha

phir se banaya tha wahin ek ghar meine
par kambhakht ek lahar ne use reet mein milana tha

bahut koshish ki wahan fir ek ashana ho
sab ki dushmani thi ki usi ashiyaan se guzarna tha

ab jaoon to waqt se bhaag kar jaoon kahan
mujhe is waqt ke thapedoon ko abhi aur sehna tha

kuch baaki hai ranjish is waqt se meri abhi
warna kaun Kehta 'Kapil' tujhe yahan aur jeena tha

Thursday, December 6, 2012

tujhse dur rehkar

tujhse dur rehkar meri koi hasti nahin
tanha yeh bedard zindagi, zindagi nahin

yaad aati hai, har pal unhi lamhoon ki
jin mein saath mere, tere siwa koi nahin

aaj aalam hai, saansein ahsaan karti hain
jaise inki mujhse koi bhi pehchaan nahin

hoon intezaar mein har dum, dum bhar kar
kambhakht ziddi yeh dum bhi nikalta nahin

ab dhundali si yaad aati woh surat teri
par zahan mein uske siwa kuch bhi nahin

lagta hai tum khade ho us parde ke peeche
guhar par bhi kyon tum nakab hatate nahin

hai dhal raha aftaab badd raha shab ki aur
tum mujhe kyon apni sahar dikhate hi nahin

hai iltija 'Kapil' ki tujhse to yeh aakhiri
ki mera khud pe bhi ab koi ikhtiyaar nahin

shahar-e-wafa ki...

shahar-e-wafa ki bewafai ka aalam na poocho
is dil ke fir tootne ki tum wajah na poocho

woh to hai ek adhani jaan aur tamashai kai
tum mujhse us tamashe ki jag-hasai na poocho

hai chand lamhoon ka mail fir judaa zindagi
is zindagi ki mujhse koi aur kahani na poocho

hoon beitha main sochta kisi mod pe ae shahar
mujhse mere dil ki barbaad haalat na poocho

ek kadam pe tu hai aur ek pe dasht-e-veerann
is dasht se agale shahar ka pata na poocho

bahut hua 'Kapil' yahan par maatam-e-dosti
dafn hue huoon ka is kabr se naam na poocho

yeh gumnaam safar hai, gumnaam guzaar jayega
is safar meri zindagi meri zubani na poocho

Wednesday, December 5, 2012

ae dil-e-beqraar

ae dil-e-beqaraar unhe dekh khud pe ikhtiyaar rakhna
woh misaal-e-husn-e-lajawaab hain, kuch khayal rakhna

surkh laal, khil rahi hai har kali us rukhsaar par
ye nazuki-gulaab ki hai, in laboon ko sambhale rehna

khatam hoti nahin khwahish deedar-e-chasham ki unke
yahan gehra samandar hai, soach ke in_mein garq hona

hai aayi awaaz unki kahan se aaj in veeranoon mein
yeh gunjaati vadiyaan hain, peecha sooch ke karna


dekha tha unhe bas ek baar to haal yeh hai 'Kapil'
mil jaayein to kahan dil aur kaise aaye dil chaina

Saturday, December 1, 2012

bahut dur faila hai

bahut dur faila hai is shahar afsana tera
jo bhi milta hai yahan milta diwana tera

jis kisi se poocho woh ussi aur jaata hai
jis taraf hai basaya tune woh majma tera

poocha sabse batao kya hai jalwa-e-shahar
par har shaqs ki zabaan pe bas jalwa tera

do ghadi baat ki maine yahan ek ajnaabi se
aur uski har baat mein aaya zikr hai tera

main kaise kehdoon usko na ched ae aatish
wo pal mein jaan jayega rishta mera-tera

nazar bachaa sabse chal raha hoon 'Kapil'
kahin to miljayega mujhko woh makaan tera

Thursday, November 29, 2012

badal aaj phir barasta nahin

subahh hoti hai par kahin koi roshini nahin
aye aftaab dekh aaj teri kahin koi qadr nahin

kaisi hai chaahi ghata tere aangaan pe aaj
tere dekhne ke liye kahin koi khidaki nahin

jhankega tu aaj kahan se yeh to bata mujhko
yahan hawa ke liye bhi choda koi zariya nahin

chamak rahi aaj bijali, garaj raha hai badal
jaane phir kya soch kar yeh badal barasta nahin

intezaar mein hai yeh kiske aaj kisse maloom
kaun janega yeh raj jabtak kuch barasta nahin

yunhi chal diye woh inteezar adhoora chod kar
ki jaane kyon yeh badal aaj phir barasta nahin

aur badal ka ye dekho gumaan kaise tutt gaya
jaise unke bina iska bhi koi wajood hi nahin

baras raha hai aaj unke jaate woh kuch aise
jaise unke siwa uska ab yahan koi bhi nahin

hum inteezaar ein the iske, isse kya maloom
iski nazar mein to unke siwa 'Kapil' koi nahin

Saturday, November 24, 2012

tere daman mein mujhe sar chupana tha

tere daman mein mujhe sar chupana tha
aur zulf ke anderoon mein kho jana tha

aayi hai mahkati mauj-e-bahar batane
ki mujhe tere dil mein ghar banana tha

suna hai roz guzarte tum gali se meri
har tamashai ko ek tasavur to paana tha

khade the hum bhi chaukhat pe apni yun
humein tere sajade mein sar jhukana tha

intihaan hui par tum na aaye aaj raat
inteezar mein yahan to pura zamana tha

is bheed mein baat apni ab ho gi kaise
phir se humein apne dil ko samjhana tha

awaaz aayi teri, mujhe is dil se aapne
mud ke dekha to wahin par tumhe pana tha

band aankhoon ne jisse kabhi jaana tha
aaj ahsaas hua, woh to mera fasana tha

teri umeed mein 'Kapil' aur kya karta
bacha bas aaj an uska-tera afsaana tha

paas aake tum

paas aake tum kuch na paoge
dur se hi mujhe dekh paoge

haal-e-dil chahe kuch bhi ho
tum mujhe khwab mein paoge

na karo haqiqat pane ki zid
zid mein ulajh kar reh jaoge

hai dekhna aasan, pana mushkil
batao zid se tum kya paoge

jo hai mumkin hi nahin hai
us baat pe kitana sataoge

hai jagana to naseeb apna
to batao kahan so paaoge

kuch bechaini rahi 'Kapil'
tum fir kaise chain paoge

Friday, November 23, 2012

tere aane ki aas rahi raat bhar

is diye ki lau rahi raat bhar
tere aane ki aas rahi raat bhar

taktaki lagaye beitha tha rasta
ki use ek umeed rahi raat bhar

kati ghadiyaan inteezaar mein
aur yeh tanhai rahi raat bhar

jab kabhi milte tum khwab mein
us khwab ki baat rahi raat bhar

baras raha hai sawan aankh se
badal ko umeed rahi raat bhar

tere aane ki aas rahi raat bhar
aur yeh basaat rahi raat bhar

Monday, November 19, 2012

tu kyon ek baat bol

tu kyon ek baat bol phir chup ho jaata hai
chehra dikha ke phir kyon gum ho jaata hai

nahin chahta dur hona teri ankhoon se main
is liye tera jaana mujhe bahut satata hai

kasak dil mein hai bus tujhse milne ki hi
tu kya jaane tere bin kya haal ho jaata hai

char kadam chalna chahoon to chalo kaise
bhala kaun tujhe mera naya pata batata hai

main to aaj bhi wahin ka wahin khada hoon
tu kyon guzarte hue dekhna bhool jaata hai

nahin hai but 'Kapil' butkhane ka koi magar
yeh tera ahsaas hai jo mujhe but banata hai

Friday, November 16, 2012

woh ajab shahar tha

veranoon mein khada, woh tanha sa khandar tha
jahan mile the hum tumhe woh kaise shahar tha

na koi aata, na koi jata, bas ek gehra sanata
chala tha kuch dur, ke aage ek anjaan mod tha

main kis aur jaoon, dagar kaunsi kisse poochon
yeh batane ko na koi adami wahan par khada tha

dekh raha tha main ki kis aur hai roshni magar
dono hi rastoon mein basa ek ghup andhera tha

maine ek lambi saans li, teri khosboo paane ko
par hawa ka jhoonka kisi aur taraf udd raha tha

ek kadam badane pe duri, ek kadam ki nazdeeki
is kash_makash se bhara woh raat ka waqt tha

phir awaaz aayi mujhe apne andar se kuch aisi
laga yeh haqiqat nahin thi, mera ek brham tha

jo rehta duniya ke beech sabki nigahoon mein
maine kaise soocha, ki veerane mein ghar tha

laut aaya main fir apne ghar ki aur to yun hi
apne ghar se samane dekha to wo tera ghar tha

utha jab to dekha, kya ek khwab ka tassavur tha
jahan tujhse milne gaya tha woh ajab shahar tha

Thursday, November 15, 2012

zindagi aankhoon mein

zindagi aankhoon mein guzar rahi hai kuch aise
haqqiqat se meri koi jang chal rahi ho jaise

main to yehi soch raha tha ab tak aye tamanna
tu mujhe milane ke liye tadap rahi ho jaise

betahasha umeed ki tujhe paane ki maine magar
yeh zamana mujhe har mod pe rok raha ho jaise

bathak raha hoon sab se dur main ek dasht mein
yahan lagta hai sahar mujhse chup gaya ho jaise

ab kisi se kisi ki koi umeed main rakhta kyon
bheed se har dost guzarta hai, ajnabi ho jaise

kho chuka hoon main khud ko bhi is hujoom mein
'Kapil' koi purana sa ek bezaar zarra ho jaise

Saturday, November 10, 2012

kyon hairaan hai

kyon hairaan hai aaj woh dekh kar mujhko
main zinda hoon, tu yeh na bata mujhko

bahut ki koshish maine garq hone ki magar
yeh dariya tha sahil pe chodd gaya mujhko

aag mein bhi gaya tha ek baar jhulasne
aur us ne tapa kar aur sakht kiya mujhko

kuda tha ek baar main us shikhar se bhi
us chalang ne fir udana sikha diya mujhko

kyon bandhta hai tu mujhe fir udane se
aye dost, bata zanzeer ne kya diya mujhko

todd aya tha sab pinjare main wahin par
yahan koi naya sa pinjara na dikha mujhko

main aaj zinda hoon, yeh janata hoon main
bula ke Kapil na koi aur aaina dikha mujhko

Friday, November 9, 2012

talasha dasht-e-sehara

talasha dasht-e-sehara, nazar ko tera chehra na mila
par meri band aankhoon ko khwab mein bas tu hi mila

dhoondta hoon tujhe har jagah ae noor is andhere mein
chirag jaala lekin humein neeche ka andheera hi mila

dekhna chahoon bhi to is lau ko main dekhoon kaise
meri nazaroon ke samane to mera hi chiraag hai mila

bedard khwahish hai ek tasavur ki zinda kuch is tarah
maut ko na gale lagaya ki usmein tera chehra na mila

aur dhoonday 'Kapil' kahan tujhe woh ab nahin janata
usne dard-e-dil chaha aur rehkar dard-e-tanhai hai mila

Monday, November 5, 2012

har baat pe shikayat karte ho

har baat pe shikayat karte ho
batao mujhse kya gila rakhte ho

main aaj bhi inteezar mein hoon
aur tum inteezar ka maza lete ho

kaise jataoon tumko haal-e-dil
tum mere haal pe yun hanste ho

main tumse miloon bhi to kaise
tum milkar bhi nahin milte ho

aur kaise Kapil samjhaye khudko
tasavur de ke zinda rakhte ho

main kaise tujhe

main kaise tujhe paane ki dua karta khuda se
har dua pe na sun_ne ka ilzaam aata ussi pe

jo kabhi karta tha sirf tadbeer pe bharoosa
aaj kuch aas lageye beitha hai lakeeroon se

kaun jaane kab kis waqt kya-kya likha in mein
ke mohobaat ka kya ungaam milega mujhe unse

hai justajoo-e-quatil mujhe yun zindagi teri
ki kya mila hai bata mujhe yahan dostoon se

aaj bhi baitha hoon main to inhi sab ke beech
teri marzi nahin to jii na sakoonga sukoon se

ek barbaad-e-jahan hai bas 'Kapil' yahan to
kahan milta hai aise dil aadmi ka aadmi se

Friday, November 2, 2012

yahan hokar bhi hum

yahan hokar bhi hum hum nahin tum nahin
mohobat ab tujh pe koi ikhtiyaar nahin

woh kuch janaza-e-dil to sajaye beithe the
ki aye dil tera yahan koi pasbaan nahin

bhatka hoon be_wajah har gali se main
is bechaini se mujhe kahin koi qaraar nahin

dhoondta hoon bas ek gum-nasheen apna
par ajnabi shahar mein koi dost nahin

main kise kehta 'Kapil' aaj dost apna
yahan milte hain buot, milta aadmi nahin

Thursday, November 1, 2012

kuch yaadoon ko

kuch yaadoon ko main peeche chod aaya hoon
aye shahar main teri mehfil se badd aaya hoon

nahin aati awaaz mujhe ab wahan se kissi ki
par kyon saath shaher-e-jafa ka gum laya hoon

kyon pukarta hai tu mere jaane ke baad mujhe
main t tere sabhi nishaan wahin chod aaya hoon

the saheje jinhe kabhi maine zindagi sebadkar
unhe ek gumnaam si gali mein biikher aaya hoon

yaad rakhta tha main wo guzara hua har rasta
aaj mein ussi shahar ka naam chupa aaya hoon

naam mein kya rakha hai Kapil tu dekh zara
main uska naam chod ek gumnaam ban gaya hoon

Sunday, October 28, 2012

mufalis si hoti hai

mufalis si hoti hai likhne waloon ki zindagi,
hum nahin bikate to hoti thokaroon mein zindagi

na de koi tauhmat mujhe aye shahar bikane ki
sokhe patoon ke beechone pe nahin katati zindagi

kitana begairat hai aye shahar dekh khud ko
roz sota hai aur main soojaon to hai biki zindagi

dekh liya hai tera har chehra to maine aaj
likhne ko keh, na choddi tune pad_ne ki zindagi

pandit kazi bhi khafa ke ab likhta koi nahin
tu bata agar hum chodd de to kyon begairat zindagi

char alfaaz the 'Kapil' aur sab bik gaye aaj
ab bin alfaaz likhe hi kategi yeh meri zindagi

Saturday, October 27, 2012

kuch aur hi padta hoon

kuch aur hi padta hoon, kuch aur hi likhta hoon
is raat ke aaghosh mein main khud ko dhoondta hoon

na de awaaz koi in shaher ke andheroon mein mujhe
main in andhere veeranoon mein khud ko dekhta hoon

bahut dekhe hain mukhotay maine tere aye shahar
kaun dost, kaun hai dushman main yehi sochta hoon

aye zamaana, maine to dushmani ki nahin kisi_se
fir kyon main yahan in bashindoon se ulajhta hoon

ab hai rehna mujhe yahan par to faqat chaar roz
main musafir hoon yahan ek carvaan dhoondta hoon

kahan baste hain carvaan shaheroon mein 'Kapil'
kyon apne dil ko main ek jhoota dilasa deta hoon

bahut mushkil se jeeta hoon

bahut mushkil se jeeta hoon, aur meri ajmaish na le
aaj zinda hoon tu is baat ki mujh_hi se gawahi na le

faqat chand lamhoon ka khel baacha hai paas to apne
kaise dhoonde hain yeh lamhen is baat ki bahi na le

hisaab rakha nahin hai maine teri kissi bhi baat ka
aaj tu mujhse meri chahat ka koi naya hisaab na le

main tere na milane ki shirq kar raha hoon kabhi se
is ibaadat-e-ishq se tu khud_ko khuda samajh na le

iqraar karta hoon be_panah mohobaat mujhe tujhi se
mere is iqraar pe 'Kapil' dewangi ki shauharat na le

Thursday, October 25, 2012

kuch ankhoon mein kashish baaki hai

kuch ankhoon mein kashish baaki hai
na jaa ri sajaari meri baat baaki hai

aur koi bahana na mila to yaad aaya
tere waade ki woh ek raat baaki hai

aa beith paas sun fir mujhse tu ki
woh khwaboon mein ki baat baaki hai

lagta barsoon hue hain tujhse mile
aa dekh meri abhi saans baaki hai

dekh do din baad kya haal hua hai
is but mein ab kitani jaan baaki hai

de haath woh apna utha le mujh ko
ke Kapil, ab bas teri aas baaki hai

Wednesday, October 24, 2012

tere chehre pe

tere chehre pe jab tak mere dhyan raha
main kahan tha is baat se anjaan raha

hue mudat ke tu nahin milta hai mujhko
phir bhi mujhe bas tera inteezar raha

chod aaya hoon har kuche pe pata apna
jahan-jahan mujhe tera ye ahsaas raha

bas ek baar khat mein usne naam likha
jaane kab tak woh kagaz yun nam raha

aaj bhi sahejta hoon us fepe ko aise
jaise is mein koi naya peigaam raha

Kapil aur kaise kehta aajao milne tum
ke ek aur baar milne ka inteezar raha

Sunday, October 21, 2012

meri tanhai mein aake

meri tanhai mein aake na aawaz de mujhko
kahin aisa na ho main tanha na reh paaon
nahin milega mujhe yeh jaanata hoon main
toh pukaar ke na ja, ke tarasta reh jaaon

aajmaish aisi na kar aye gum-nashin mere
ke main bas yahin par tut ke bikhar jaaon
de na dilasa koi jhooti tu apni yun mujko
ki inteezar ke siwa usmein kuch na paaon

hai umeed teri mujhe shayad aaj bhi kahin
tere begair isi umeed pe zindagi jii jaaon
na le mere sabrr ka aur imtihaan aye dil
chod de ab ke main kuch to zinda reh paaon

tadap raha hoon main kabse tere hi liye
tu bata main is haal mein aur kahan jaaon
khada teri hii gali mein kabse hai Kapil
is kuche ke siwa main chain kahan paaon

Saturday, October 20, 2012

tere shahar mein yeh kaisi rasam-adayegii hai

tere shahar mein yeh kaisi rasam-adayegii hai
har shaks milta hai par lagta woh saudaii hai

bahut dhoonda maine ek hum-nasheen yahan
par jaane kyon har dil hi karta be-wafaii hai

char dewar mein band main kab thak beth-ta
bahar dekhta hoon rukhi si mauj se shanasai hai

nahin dikhta yahan kahin koi qatraa boond ka
aisa kyon hai ki fiza mein sukhi si saddaii hai

hain daud mein sab bashinde yahan par magar
kahan ki daud, yeh baat khud_hi se chupai hai

khada hoon teri talash mein ek mod pe aakar
kaun jane ab kis aur tu hai, kis aur judaii hai

de awaaz bhi tu agar to Kapil ko aaj de kaise
tere shahar mein awaaz dene ki bhi manaii hai

Friday, October 19, 2012

teri talash mein khudko aur tanha paya

teri talash mein khudko aur tanha paya
aye dil-e-barbaad bata unse kya paya

thi na manzil meri tu phir bhi ae dil
tu kya jaane dil ne inteezar se kya paya

hai yeh mohobaat kis ajab marz ka naam
bata aye dil tune dil laga kar kya paya

nahin thi dushmaani is zamaane se kabhi
aaj zamaane ko rusva kar tune kya paya

hoon tanha aaj bheed mein tere bigair
bata tune bhi mujhe sata ke kya paya

kyon chupata hai tu dard apna mujhse
yeh dard ankhoon mein kab chup paya

main teri umeed mein hoon aaj bhi zinda
til-til mar kar bhi tere bin na mar paya

dekh kya haalat hui meri yahan Kapil
ki dasht mein koi saher na mil paya

tarasta tha roz main us aftaab ke liye
aaj dhalta hua sa woh dur nazaar aaya

teri talash mein khudko aur tanha paya
aye dil-e-barbaad bata unse kya paya

bigade rukh pe

bigade rukh pe aaj kyon satata hai zamana humko
nahin aata mohoobat mein haal-e-dil chupana humko

do ghadi mili thi nigah kabhi ek nazaneen se apni
ke phir nahin yaad raha palak jhapkana bhi humko

kya batayein aisa hua us ruksaar ka asar hum par
ke nahin aaya kabhi ek nazar utha ke chalna humko

woh bedard chala gaya chodd kar humein wahan aise
kab din dhala raat hui, kuch khabar nahin humko

aaj bhi guzar jaata hoon jab kabhi usi mod se phir
bas yaad aata hai wohi thehra hua sa ek lamha humko

dekho aaj phir jaa rahein hain woh phir samane se
koi to kehdo ke naqaab hata dikha de jalwa humko

parda-nasheen se koi poocho ki kya hai marzi uski
kya kare Kapil, nahin aata uske siwa khayal humko

Monday, October 15, 2012

mil jaaye zindagi

kabhi hansati, kabhi rulati hai zindagi
har lamhe mein naya rang dikhati zindagi
kuch bitey lamhoon ka malaal karti zindagi
aaj chehre pe chehra chadati hai zindagi

mujhe shahar dar shahar duadati zindagi
har mod pe naye log milati yeh zindagi
yun betahasha chaha hai maine to isse
aur apni chahat har dum lutati zindagi

main ruth jaaon to mujhe manati zindagi
sarhaane par mere baal sehlati zindagi
mujhe har dum seene lagati yeh zindagi
aur fir ek roz ruth ke jaati woh zindagi

jitana manao par nahin manati zindagi
aaj ek bada sa zakhm deke jaati zindagi
hamesha har ek mod pe saath deke bhi
ek mod pe aake yunhi chod jaati zindagi

aaj awaargi mein hoon talashta zindagi
kya mil payegi mujhe do pal ki zindagi
yehi soochta hoon ab main kabse yunhi
kahin do pal to 'Kapil' mil jaye zindagi

Sunday, October 14, 2012

woh char din unka

woh char din unka milne aana, woh baat-baat par muskurana
aye dil chal sambhal sambhal ke, kahin tu hi na bahek jaana

aaj is zameen pe chamak hai, aye aftaab tu na sharma jaana
yahan bas unka jalwa-e-husn hai, nazar tu unpe na ruk jaana

ab bahar bhi sooch rahi hai, yahan kaun jaanega uska aana
yeh unka aangan hai, yahan kab hua hai kissi bahar ka jaana

dil-e-bekhabar dekh, kya hashr karta hai unka khwab mein aana
kaise jee payega Kapil jab ho jayega us dil-nashin se samana

Saturday, October 13, 2012

tu dil-e-ashna chod gaya

tu dil-e-ashna chod gaya, is_se bura kya hoga
kya hai teri marzi bata, mujhe aur gum na hoga

jo kabhi chirag-e-dil tha, aaj monh mod gaya hai,
dil-e-aatish se to poocho ab jalne se kya hoga

char din the paas wo hasrat mein guzar gaye hain
aye dil ab guzare waqt ka malal karne se kya hoga

aye zamana dekh le tu, hum to guzar chuke hain,
kyon dekhooon tujhe main, ab mudane se kya hoga

kuch nahin tha paas, baachi aas liye the bethe,
jo tu na kuch kar saka to Kapil aas se kya hoga

Friday, October 12, 2012

ankhoon se ashq chupana

ankhoon se ashq chupana kuch aansan hota hai
par sisakte dil ko hansaana mushkil hota hai
char din se dur to saan lena saza hota hai
kaise bataoon, tum bin jeena kaisa hota hai

darwaazon mein rona, bahar hansna hota hai
bhaari mann ka bhoj uthana mushkil hota hai
raah wohi jis_pe yaadon ka pulinda rehta hai
batao tum bin yaad mein jeena kaisa hota hai

jab dekhna har ghadi raah ko dhooka hota hai
har aahat pe dil phir umeed kyon rakhta hai
aas bandhti hai roz teri kuch aisa lagta hai
jab nahin aate tum to jeena bezaar hota hai

kaisi hai tanhai ke chand bhi ruswa rehta hai
khamosh si dadkhanoon mein dil chup rehta ha
ab roz yun tanha sirhane pe sar rakhna hota hai
bheed ho jitani par dil wahan sulagta rehta hai

Wednesday, October 3, 2012

aaj phir ussi ghar laut aaya mann

aaj phir ussi ghar laut aaya mann

jahan kuch diwar mein silan thi
chat bhi kahin kahin se gum thi
sitaron ki us chatt ke neeche
aaj jaane kya soochta hai mann

tapakati boond bhigo rahi thi
bistar ke kinare beh rahi thi
us sili si deewar pe jaa kar
aaj kyon bheeg aaya phir mann

woh barish jo baras rahi thi
aur upar_ki chat tapak rahi thi
ki tabhi garaj ke badal bola
aaj kyon saham gaya yeh mann

kahin tamanna paas nahin thi
in armanoon ki bhent chadi thi
jo gum gayi woh meri sansein thi
aaj shayad use hi talashta mann

samane wohi tuti munder khadi thi
waise hi ye deewarein silli thi
maine bhi kabhi jee zindagi thi
aaj phir ussi ghar laut aaya mann

Saturday, September 29, 2012

umeed na mili

dil-e-barbaad ko kahin teri koi umeed na mili
bahut dhoonda par haath mein teri lakir na mili

kaise umeed karta main tere ek tasvur ki yahan
is shahar mein to teri koi tasveer bhi na mili

main chahta tha tere sayee mein sona ek raat
par band aankhoon ko zulfoon ki chaanv na mili

kambhakt yeh saza kya kum thi mere liye ab tak
ke aaj us purane ghar mein koi yaad na mili

mayus guzar raha hoon Kapil main usi gili se
par us gali mein bhi ab teri khushboo na mili

Sunday, September 23, 2012

har tute pathar ko

har tute pathar ko woh ghar ki eet kehta hai
jo na bass saake woh usi ko makaan kehta hai

bahut bikhare hain armaan mere, ghar ke bahar
woh un armaanoon ko hi meri chita kehta hai

jab sahejta main hoon kuch tute hue khwaboon ko
woh mujhe kisi kabristan ka bashinda kehta hai

main to chun raha tere phool sabhi ayee jahan
ab dekhta hoon in phoolon pe woh kya kehta hai

sanjoya tha maine to Kapil hamensha usko bhi aise
phir kyon mujhe woh bas ek guzara khwab kehta hai

main kyon tanha rehta hoon

main kyon tanha rehta hoon tu na pooch mujhse
behta dariya hoon jiska kinara chut gaya peeche

milke na mile, aise jaane kitane shahar beete
aur kitane hi garq hue meri lehroon mein kho ke

har darkht se awaaz aayi ki aa milke ja mujhse
pukarta raha sahil, par na mila woh kabhi mujhse

rista raha hoon main har pathar ke bhi neeche
jaane kitane baras hue mujhe sawaan mein mil ke

doob raha hoon Kapil fir is aftaab ke hi jaise
chand lamhein hain, phir gum ho jaonga har dil se

Friday, September 21, 2012

mere hone pe

mere hone pe mujhse na gawahi maango
meri benaam hasti ka na surag maango
main zinda hoon aur kaise jatlaon ke
tum bahi se har pal ka hisab maango

chand roz baaki shayad mere paas abhi
unmein bache lamhoon ki na ginti maango
thak gaya hoon jodte lamhoon ka hisan
un saath guzare hue ki na nishani maango

sahej rakha tha jinhe is dil ne ab tak
tum is dil se na uski zindgani maango
ab kuch aur baacha nahin hai paas mere
tum phir bhi sochte ho ki aur kya maango

main aaj bhi darta hoon tumhe dekh yun
kahin tum mujhse khud ko hi na maango
Kapil to khada hai aaj khali haath liye
bacha asmaan hai chahe to ise bhi maango

Saturday, September 15, 2012

aaj sarre baazaar

aaj sarre baazaar mujhe bhi utara usne
gumnaam ko badnaam kar naam diya usne

khata aankhoon se hui apni na jaane kab
us baat par mujhe gunegaar banaya usne

na tha yaad mujhko woh ek pal milna uska
phir kyon us ek pal ke liye sataya usne

de gaya tauhmat woh mujhpe chori ki aaj
Kapil pehle kabhi dil lagaya nahin usne

main to kabhi us_se rubaru hua hi nahin
phir kyon be_wajah mera naam lagaya usne

aaj saare baazaar mujhe bhi utara usne
gumnaam ko badnaam kar naam diya usne

Friday, September 14, 2012

kaun jaane kis makaan mein

kaun jaane kis makaan mein, dikhta hai apna ghar unko
hum zinda hain dekne, ki woh kya dete hain panha humko

dhoond rahe hain hum bhi unke saath ek aashiyan aisa
jahan do chaar baachi raat guzarne ka ho aasra humko

aur neend aaye sukun ke saath wahan khwabgah mein aise
ke har khwaab mein bhi mile bas unhi ka tasaavur humko

yeh meri khwahish bhi ek adhoora sa khwab hi tha shayad
jo jaagne pe chodd gaya kuch aur tadpta hua aaj humko

kaise samjahoon khud ko aye dil yahan bas veerane hain
saath dhoondne pe bhi milta hai bas apni tanhai ka humko

Aye dost, meri tanhai, aa beith tu baat kar Kapil mujhse
aaj dekhte hain, kya sila milta hai tere saath ka humko

Monday, September 3, 2012

boond-boond karke

boond-boond karke, main ashq jod leta hoon
tum jab yaad aate ho, khud mein dhoond leta hoon

khazaana bahut hai, paas yaadoon ka tumhari
tum jab nahin aate, khwaboon mein mil leta hoon

tasavur siva koi aur nishani nahin paas apne
tum jab milte ho, mein ussi nishan ko sahejta hoon

kuch aur sunai nahin deta teri awaaz ke siwa
tum jab pukarte ho, main dauda sa chala aata hoon

kya hai aur is jahan mein mujhe kya maloom
jab saath hote ho, usi pal mein zindagi jee leta hoon

na cheeno mujhse yeh adhani si zindagi meri
main zinda hoon, Kapil bas unke munh se sunta hoon

Sunday, September 2, 2012

riste zakhm

riste zakhm kuredne se kya hoga
dil aashna hai jaane se kya hoga

fir bhi khafa rehte hain woh humse
kaise kahoon bin unke jeena kya hoga

roz manata hoon unko yehi keh kar
char roz hain, ruthane se kya hoga

saath chal raha hoon har pal unke
saya chut jaye to woh hona kya hoga

kyon hai mohobat usi qatil se tujhe
ae dil-e-mohobat bata tere kya hoga

chand lamhein to udhaar maang laya
aye zindagi bata sansoon ka kya hoga

chand khwahishein thi zindagi mein
ab tu hi bata Kapil unka kya hoga

Saturday, September 1, 2012

Weird fall

as color bleeds
from these leaves
scattered dusted
pathways rusted
crumbling sound
feet out bound
with more to fall
its trees' ball
the new waiting
and buds shaking
to feel the air
get their share
of vivid hues
of remaining dues
from colored fall
lovely weird fall

Thursday, August 30, 2012

sarre bazaar mein

sarre bazaar mein main khud ko dhoondta hoon
jo mile us se apne ghar ka rasta poochta hoon
chand tamashaiyoon ke liye main tamasha hoon
aur jahan ke liye ek aur khatakta aina hoon

mere is hone se aaj kisi ko yahan kya hasil
main kuch bhi nahin, ek gum naam zarra hoon
chand sansoon ki hi baachi daulat mere paas
aur usi daulat pe basar karta baashinda hoon

kyon ruk kar pooche mujhse zamaana haal mera
main to kissi shakh se tuta hua ek pata hoon
udd raha hoon main aaj tak jhonkoon ki badulat
wagarna main to dhool mein lipta ek fepa hoon

na likh mujh par aye zamaana tu dastaan apni
jo bheg kar doob gaya main wohi kagaz hoon
Kapil agar tu nikaal paye mujhe to bhi kya ho
garq ho samanadar mein khatam hua dariya hoon

Tuesday, August 28, 2012

wada kar ke tum na aaye

wada kar ke tum na aaye milane saari reain
dil baati jali inteezar mein saari reain

woh birah ki bela ki thi karni
meri tumse nahin hui koi milni
aaj tu daras to dikha de mujhko
tere bin aur zindagi na Katani

wada kar ke tum na aaye milane saari reain
dil baati jali inteezar mein saari reain

abhi barsoon ke kisse hain baaki
tere bina to hosh hi nahin sathi
tu aa bhi jaa ab aur derr na kar
ki yeh judai ab aur nahin saheni

wada kar ke tum na aaye milane saari reain
dil baati jali inteezar mein saari reain

hain kuch yaadein aaj bhi sanjoyi
tum kya jaano kis mala mein piroyi
chun chun ke sab sahej sambhali
tu aaya aur woh sab hui bemaani

wada kar ke tum na aaye milane saari reain
dil baati jali inteezar mein saari reain

Saturday, August 25, 2012

kya aisi zindagi hoti hai?

labhoon se hasti hai
aankhoon se roti hai
yun palalein jhuka ke
mujh se sharmati hai
in khamoshiyoon mein
yun hi gunjaati hai
awaazoon ke darmiyan
ye khamosh rehti hai
ek kadam pe milti hai
ek pe hi bichadti hai
bewajah yun rula kar
khudi to hansaati hai
jitana bhi dur jaaon
ye aur paas bulati hai
aur jab kho jata hoon
yeh chod chali jati hai

kya aisi zindagi hoti hai?

Wednesday, August 22, 2012

aaj dekhta hoon sahil pe

aaj dekhta hoon sahil pe, yakin hota hai
jitana qareeb aao woh utna dur hota hai

koshish kam nahin hoti samandar ki magar
har ek lahar ka anjaam to wohi hota hai

main jo ghar banata hoon wo tut jata hai
reit ke dher ka lahar mein mail hota hai

har baar banaata hoon deewar aur unchi
ufaan jab aata hai sab barbaad hota hai

yun to jhulati hai kashti samandar mein
ek baar doob jaye to naam reh jata hai

kya pata kya bacha hai is sahil pe mera
jo chutt jaye wo manzar nahin milta hai

aaj bhi khada hai Kapil usi jagah par
yaad na sahi lahar se sparsh to milta hai

Tuesday, August 21, 2012

jo tu ek baar

jo tu ek baar mujhe kuch kehta, to janata main kya-kya kar deta.
agar ek baar bhi dekh leta, to main jafa ke badale bhi wafa deta

tasveer to teri gayi nahin, ek bhi din yun dur nazaroon se
jo kabhi tu tasveer se nikalta, to main har canvaas rang deta

dekh raha hoon aaj bhi main apne dil mein teri usi tasveer ko
jo tu khud dil mein rehta to main yeh dil-e-jahan badal deta

aaj tang bahut hai yeh makaan mera kissi ke bhi rehne ke liye
teri ik ahaat hoti to is makaan se churai nishaniyan mita deta

jo na muda tha ab tak to na mud ab bhi tu mujhse dur jaate hue
us nazar ka asar aisa hota ki Kapil jaan kadamon mein rakh deta

din bhar chirag jalaya

din bhar chirag jalaya teri yaad mein
aur yeh raat guzari tere hi khwab mein

kabse sawaan sanjoya tha aakhoon mein
aur tu phir bhi chodd gaya barsaat mein

raat to andhere mein guzar jayegi yunhi
din bhar phir jaloonga us chiraga mein

bahut tanha guzarta hai har ek din dekh
main to aaj bhi pyaasa hoon barsaat mein

maine kabhi raat ki shikayat to ki nahin
ke raat guzar jati saath tere khwab mein

ek aur din dekho aaj woh bhi guzar gaya
aur main jalta raha waise hi intezar mein

kaise pukaroon tujhko tu hi aake bata
ki chiraag syaah hue jal kar gali mein

kuch nahin bacha ab mere paas jalane ko
ki kabse jigar jal raha hai inteezar mein

ab na aaiyo tu mere samane phir se waise
Kapil jeena seekh gaya bewajah jahan mein

Sunday, August 19, 2012

main to kabhi udda nahin

aaj badal kuch ghana nahin
boondon se sama sana nahin
aur yeh asmaan khali nahin
main to kabhi udda nahin

girti haroz bundein nahin
aati roz andhiyan nahin
phir kyon main kuda nahin
main to kabhi udda nahin

zindagani aur armaan nahin
tere sirhane beitha nahin
khwab koi aur dekha nahin
main to kabhi udda nahin

dil ko kabhi chodda nahin
manzil unchi dekhi nahin
hawa ki lehar thami nahin
main to kabhi udda nahin

kabhi asmaan dekha nahin
udna kya mujhe pata nahin
ye pankh mere paas nahin
main to kabhi udda nahin

raat ne dekho

raat ne dekho kya saja rakha hai
tanhai ka ek aur alam chupa rakha hai

hum to bekaar hi yun aas karte rahe
jab apni taqdeer mein kuch aur likha hai,
raat ne...

main to ab har raat sahem jaata hoon
kya pata raat paas kitana saath bacha hai
raat ne...

koi aaya nahin saath nibhane raat bhar
dekhein khwab mein kiska saath milta hai,
raat ne...

ek arzoo thi samandar paane ki apni
jaane samandar ne kitana dard chupa rakha hai
raat ne...

dekh raha hoon sahil pe khade hokar
maujaun ne yahan kitana aur ufaan daba hai
raat ne...

nahin milta sukoon mujhe is tarah
bata samandar badbaan kahan chupa rakha hai
raat ne...

raat ne dekho kya saja rakha hai
tanhai ka ek aur alam chupa rakha hai

Thursday, August 16, 2012

dur se aayein

dur se aayein hain hum milne unse
par kuch khafa hain ye alfaaz unse

kambhakht attak se jaate hain ye
samana hota hai jab bhi mera unse

kya hota hai laboon ko kya janoon
bandh jaate hain jake paas ye unke

bas arzoo itani si hai aaj apni
bayan karna hai afsaana apna unse

aaj na miljayein woh kisi mod yun
nazar kehdegi woh sab baat aaj unse

aayi nazdik nazar jab bhi apni ye
bas char kadam ka fansala raha unse

na rok mujhe aye dil aaj kehne de
nahin suna aisa malaal na hoga unse

samane hain woh Kapil aaj khud hi
aur kab batayega tu haal-e-dil unse


Tuesday, August 14, 2012

zindagi shidat se

zindagi shidat se main to yun jeeta gaya,
kab din guzara, raat hui, kuch pata na chala

phir kyon dekhta hai zamana mujhe is tarah
ki jaise waqt guzarne ka mujhe pata na chala

do lamhoon mein paar kiya barsoon ka safar
kab ek aur baras guzar gaya pata na chala

main to tanha hi chal raha hoon aye zindagi
kab log mile, ye kafila bana, pata na chala

aaj bhi sochta hoon ki kapil tanha hi hoon
par is hujoom mein to khud ka pata na chala

Sunday, August 12, 2012

vekh ik vari (Punjabi)

vekh ik vari ke sab mudd gaye
ik te kai du dihadi vich gaye

tu na ja munh mod hun o Sanyi
ke jindadi de din luk gaye

main tan buhe khalo ke thaki
te aaj musafir sab lang gaye

main bas ankhiyaan sanjoyiyan
te mendi ankhaan tarasde gaye

tu das kithe hun main aawaan
ki kale bathere din lang gaye

na labya mainu tere koi pata
ki asaan ja khu te beh gaye

aasaan jodoon tera bhes vataya
tusi sanu uthe hi labb gaye

O Sanyi tussi sanu nahin dasya
ki tussi sade dil vass gaye

vekh ik vari ke sab mudd gaye
ik te kai du dihadi vich gaye

Friday, August 10, 2012

Koyala dhu-dhun ke

koyala dhun dhun ke jalta hai
jaise unki yaad mein dil sulagta hai

gili lakadi se jala tandoor hai
bahut dhunein ke saath woh balta hai

na bane us par kaath ki roti
woh fir kis liye aaj yahan jalata hai

kaun jaane is aag ka hashr
woh bekaar hi lakadiyaan khata hai

mila sulagta ek koyla aur bola
ki bata dariya kyon behta rehta hai

fidrat hai uski har pal behna
is liye woh sada chalta rehta hai

dekh woh samandar kya jaane
befikr ho yun behna kya hota hai

aag se dare parinde kya jana
parwana shama mein kyon jalta hai

aaj bhi jalti aag jigar mein
aur is mein mera dil sulagta hai

dekh uski fidrat hai jaane
is liye woh dur badta rehta hai

na ho udaas kapil tu yahan
duniya hai aana jaana laga rehta hai

Thursday, August 9, 2012

woh mera afsaana bana

woh mera afsaana bana mujhe chodd gaya
gumnaam ke beshumar naam karke chodd gaya

bahut kuch tha paas usse milne se pehle
aur woh milke mujhe kangaal chodd gaya

thi zindagi kabhi saath uske aisi haseen
fir kyon woh dasht mein tanha chodd gaya

pyaas bahut thi mujhko par itani nahin
ki woh beech samandar pyaasa chodd gaya

aaj kuch bachi si umeed bhi jaati rahi
ki aaj mere saamane woh ghar chodd gaya

tasveer basi Kapil is dil mein bas uski
aur woh ek baar mein sheesha todd gaya

aaj cheen_kar

aaj cheenkar meri neend mujhse
mangta hai wo kyon mera sukoon mujhse

shahar aaya hai banke tamashai
dekhne kaise cheenta hai wo hosh mujhse

main behosh to abhi tak tha yun
ki raha shahar-e-tamamm bekhabar mujhse

dekha jo parda nashin ko ek baar
aaj kar behis le gaya dhandkan mujhse

na rahi sansein bhi ab apni
tab aaya hai woh yahan milne mujhse

dene kandha Kapil Shahar umda
jaise mila ho koi naya tamasha mujhse

mere paas aaj

mere paas aaj kuch bhi na bacha
main zinda raha par koi aasara na bacha

haath badaye khada hoon aaj bhi
magar aaj haath thamane wala koi na bacha

tadap raha hoon ab jism se ruhh tak
saath rehne ko apne kahin koi zarra na bacha

beh gaya tha sab kuch is riste dil se
aaj dekh kahin koi khoon ka quatra na bacha

main uthaoon kaise khud ko naumeedi se
tere shaher mein Kapil koi sahara na bacha

chand lamhein hain baache aaj mere paas
aise zakhm liye itne waqt mein koi na bacha

na kar koshish phir mujhe bulane ki
kehne sunane ke liye paas ab kuch na bacha

Sunday, August 5, 2012

meri kahani

meri kahani ko woh aaj yun suna gaya mujhko
main dekhta raha aur woh tamasha bana gaya mujhko

khabar hi na hui ki yahan kab bazaar saj gaye
aaj sarre baazar mein bhi woh rula gaya mujhko

ye adayagi thi uski ki pata bhi nahin chala
shahar ke kuche-kuche mein mashoor kar gaya mujhko

main wahan rokta kaise uski kahi bandish ko
apne andaaz-e-bayaan se apna kayal bana gaya mujhko

moonh chupaye firta tha Kapil gali-dar-gali
apna rukh dikha aaj woh laajwab kar gaya mujhko

nahin aur himmat mujhe us_se kuch kehne ki
parda nasheen, be_parda ho tadapta chod gaya mujhko

kashish ankhoon ki

kashish ankhoon ki rahi
woh nahin to yaad sahi
chand batoon ki razdaar
chaand nahin chandani sahi

ek khata ankhoon ki rahi
chupaya palkoon mein sahi
par woh khata to khata rahi
yeh unki zara-nawazish sahi

kuch kadam ki duri rahi
dekhte fansaloon se sahi
aaj unki yeh inayaat rahi
ho ankhoon ka sukoon sahi

kuch to unse baat hui
aaj ankhoon mein hi sahi
kuch apni aur unki suni
haal-e-bayan baaki sahi

kabhi humein ye dil

kabhi humein ye dil hi nahin milta
jab dil saath tab waqt nahin milta
ya rab, kitana bhi karo jatan magar
kissiko mukamal jahana nahin milta

kuch hasratein hain har dil mein
par harek ko apna makaam nahin milta
chahe mil jaye dhai ghaz zameen par
kabhi sabko yeh asmaan nahin milta

chand dard aaj bhi dabbe aye dil
par har dard ko marham nahin milta
bewajah kar_ra raha hoon main aaj
zamanne se koi aitbaar nahin milta

kaisi zara-nawazish hai zamanne ki
mujhe to dil milke bhi nahin milta
ya rab kash diya hota dil unhe bhi
tab kahin dil ke badale dil milta

Saturday, August 4, 2012

kuch unke ahsaas ka

kuch unke ahsaas ka brahm raha,
kuch apne hone ka yakin
kya kehta main aur is par
ke zindagi meri hai yahin

kab din chada, kab gaya
mujhe kuch maloom nahin
aaj unke is aghosh mein
sansein kya maloom nahin

kuch lamhoon ki fariyad
aaj puri hongi yahin
kuch umeed ki khwashein
hoga aaj unpe yakin

dekh halat woh muskuraye
jaise unhe maloom nahin
yehi bas meri zindagi hai
iske siwa kuch maloom nahin

Thursday, August 2, 2012

kahin dil unki umeed mein

kahin dil unki umeed mein khota hai
aur kahin koi behlaata khilona deta hai
na ho darkaar un khilono se tab bhi
ye zamaana tootane ka malaam karta hai

na bacha kissi ka koi khilona aaj tak
to kyon woh mitti pe bawal karta hai
dekho to ye bas ek miti ka putala hai
dafn hota hai kahin, kahin jalta hai

dabi mitti kitni yahan kisse maloom
bewajah zindagi ka hisaab rakhta hai
yahan kuch na tha aane pe saath apne
to kyon saath chalne ki duhai deta hai

shayad ye saath apna tha bas do ghadi
tu kyon char ghadi ka maatam karta hai
utth dekh jahan mein putale hain kitane
aur tu ek ke guzar jaane ka bojh dhota hai

dekh roz uthate janaze sajti hai arthi
par tu to barsoon se mayus beitha hai
Kuch khabar nahin ki kab chalenge hum
fir Kapil kyon tanta laga rakha hai

Wednesday, August 1, 2012

aaj zindagi mein malal kyon hai

aaj zindagi mein malal kyon hai
kuch lamhoon ka udhaar kyon hai
main zinda hoon aaj bhi tee liye
bata phir fansala itna kyon hai

baat hui thi ankhoon mein kabhi
un ankhoon ko inteezar kyon hai
chupa kuch tha nahin beech apne
to bheege lab par sawal kyon hai

rishte ki us saaf si salaet par
aaj ek anjaana sa sawal kyon hai
char kadam saath chalne se bhi
bata unka ab yeh inkaar kyon hai

khatam ho gaya shayad sab kuch
to dikhaave ka libaas kyon hai
ajnaabi hain jab phir hum dono
phir unka yeh saath kyon hai

makaan to apna kabse ek hi hai
phir dillon mein daraar kyon hai
ek hi chaadar par leat kar bhi
woh bin kahi si deewar kyon hai

aaj zindagi mein malal kyon hai

tere hone ka kaise sila mila

tere hone ka kaise sila mila, bas dard mila saher na mila
ufaan uthaati rahi khwahishyein yun hi par kinara na mila

dard judai ka chalak aaya aur nam ankhoon ko sukoon na mila
dil to yunhi sisak raha barsoon, fir bhi do pal ka chain na mila

justajoo nahin koi khata, par mujhe saza ke siwa kuch na mila
shahar-e-wafa ne chodd diya aur fir kahin aasra bhi na mila

meri dash-e-sahera se dushmani nahin par phir bhi dasht hi mila
main koi awaara nahin jo yun firta par manzil ka pata na mila

kya bacha tha aur umeed karne ko ki na_umeed ka daman mila
bata dil kya karoon tere bina ki kahin aur dil ko karar na mila

Tuesday, July 31, 2012

hoti humse us quatil se

hoti humse us quatil se dushmani nahin
diya usne mujhe ek chaak-jigar bhi nahin

main to firta raha awaara kuch is tarah
ki paas mere thikana bacha koi bhi nahin

ruk jata hoon kai baar carvaan chod yun
lagta hai kabhi main musafir bhi nahin

meri woh manzil kahan hai kisse maloom
is raste ka agla mod kahan pata bhi nahin

aaj phir aa khada hoon main do rahe pe
kis aur jaoon batata yahan koi bhi nahin

woh kehta tha pooch dil se tu jawab apna
par mera dil to shayad ab mera bhi nahin

kyon yakin karta main apne is dil pe bata
isne mujhe aaj tak diya kuch bhi nahin

na pukar fir deewaroon se

na pukar fir deewaroon se aaj yun humko
parda nasheen aaj phir rukh dikha humko

bahut sataya hai chup_ke tumne ab tak
ek baar to milkar bhi karaar de humko

kai baras beet gaye aaj tujhse milkar
yeh lamhe judai ke dete hain sada humko

tamanna aaj bhi jawan dil mein waise hi
tu bas aake apni ye dhakdkan suna humko

hai sitam yeh kaisa tera ab tak mujhpar
ki shahar aakar bhi nahin milta hai humko

naseeb tha nahin milne ka apna aye dil
wagarna kaun shaksh yahan rok pata humko

umeed kuch to rahi tere jaane ke baat bhi
aaj ek baar aake phir na_umeed kar humko

na pukar fir deewaroon se aaj yun humko
parda nasheen aaj phir rukh dikha humko

aaj phir milne wo yaad aayi

aaj phir milne wo yaad aayi
khate-meethe se pal saath layi

rang kore canvass ki slate
sapanoon ne fir se saans chalai

likh lo yahan jo likhna hai
saath apne umeed ki woh shyahi

kai dard juda hue, gum gaye
jab umeed ne apni surat dikhayi

kuch paas apne bacha nahin
par daman mein khushiyaan mehakai

khali haath liye firte hain
ki umeed se aur umeed jag aayi

kya huaa agar yeh sapna hua
aaj mujhe apni zindagi nazar aayi

na raha kuch bhi paas mere to
is pal ne jeene ki umeed hai jagai

Monday, July 30, 2012

main tujhse milkar

main tujhse milkar aye dil tujhe kya kehta
main zinda hoon yeh baat khudhi kaise karta
char hi din hue the mujhe yahan se gaye hue
in chaar dinno ka hashiya bayan kaise karta

kyon hoti hai hairat tujhe mere hone se ab
main tujhse ab hone ki wajah nahin dhoondta
bas aasra leta hoon is shahar mein is raat
main is shahar ko apna ashiyaan nahin kehta

safar shuru hua tha mere tere dar se kabhi
main tere hi dar par use khatam kaise karta
itne barso se sirf ek bhatakta musafir hoon
main tujhe fir se aapni manzil kaise kehta

kyon phir aata hai tu paas meri sansoon ke
tere hone se main khud pe kabu kaise rakhta
kuch bacha jasba to shayad aaj bhi hai andar
tu bata is jasbaat ko aur daba kahan rakta

aaj mat dekh in aankhoon mein is tarah se tu
mere aankhoon mein koi samandar nahin rehta
shayad aaj bhi wohi behta hua sa dariya hoon
jo kissi ke bhi rokne se kahin nahin rukhta

kyon tu aaya hai bandhane mujhe apne saath
kaisa bataoon koi pinjara aacha nahin lagta
adhana sa ek zara hai Kapil yahan kuch aisa
jo aaj kissi ki muthi mein roke nahin rukta

Saturday, July 28, 2012

ye mere hone ki saza thi

gum-e-hasti ka karam hai ki chees nikal aayi
jo bacha tha wo lut gaya, yeh aandhi jab aayi

liye firta hoon aaj bhi usi aashiyaan ki aas
jisne bhigoya har baras, jab bhi barsaat aayi

sar chupaoon aur kahan tu bata aye mere dost
shahar mein laut kar sabki shaksiyat nazar aayi

hain yeh aandhiyaan bhi kuch ajeeb zara dekho
ki aankhoon mein dhool ke siwa koi shah na aayi

sitam hasti pe hua nahin mere jeene mein aisa
ye mere hone ki saza thi Kapil fir unki yaad aayi

kabhi humse to kabhi barsaat se

kabhi humse to kabhi barsaat se shikayat karte ho
kyon tum is mausam ki sadaa ko ek sazaa kehte ho

bahut berukhi thi zindagi mein abhi tak aye humdum
kyom aaj is baraste sawaan se ruswa hue bethe ho

fikr rehti hai humein to har kadam par bas yeh hi
tum mausam ki khata par khudko gunhagar samajhte ho

janate hain sabhi mausam ki fidrat badalti char din
aur tum un char dinno mein zindagani dhoondate ho

nahin chadta hai rang mausam pe bhi paani ki tarah
aur tum beraang paani mein bhi rangoon ko dekhte ho

aaj rangrez bulao ki paani ka rang to batlaye woh
tum aaj rangoon ke maalik ko bhi naye rang dete ho

kabhi humse to kabhi barsaat se shikayat karte ho
kyon tum is mausam ki sadaa ko ek sazaa kehte ho

Wednesday, July 25, 2012

aaj aansoon se mulakat hui

kuch bhare man se ye baat hui
shayad unse akhiri mulakat hui
dil bhi kuch beitha sa tha mera
ki aaj aansoon se mulakat hui

yaadoon ko sanjoy beitha raha
ki bachi bas yehi saugaat rahi
phir aayegi na khabar unki ab
unke jaate asmaan se barsat hui

main kabhi roya nahin tha itna
jitni yeh saawan ki fuhar hui
is sitam pe kaise rokta khudko
ki aaj aansoon se mulakat hui

kadam nahin badate us gali se
jahan apni yeh aakhiri baat hui
dekhta hoon aaj ussi jagah ko
jahan pehli pehli mulakaat hui

main liye firta hoon wo tanhai
jis mein bas teri hi yaad rahi
aur kisse milta main rote hue
ki aaj aansoon se mulakat hui

Tuesday, July 24, 2012

aaj hi subha hui

kaisi awaaz suni,
kya fariyad hui
apni mohobat mein
fikr bekaar hui

nazar aayi nahin
aankh talabgar hui
anjaan umeed mein
inse kya khata hui

brahm unka raha
raah pe nigah rahi
aaj aise din guzra
raat bezaar hui

aahat aayi magar
dhund se chupi rahi
umeed jagi rahi
milke puri hui

kaisa khwab tha
unse mulakat hui
band aankhon mein
unse baat hui

jag kar lagta hai
baat baki rahi
char kadam ka fasla
ek umr ki duri hui

do kadam badaye
do ki guhaar hui
in kaanon mein
aur kaise bahar hui

haath tham ke
bin kahe baat hui
jo bachi umeed thi
na_umeedi ke par hui

kyon na aaye milne
issi ki darkaar rahi
aaj mil gaye tum
baas aaj hi subah hui

Sunday, July 22, 2012

baagh ki dastaan

mujhe mere hone ka gumaan nahin
jab hrra tha tab sab aye yahin
mujh mein patiyaan khil aayi aur
phool-patiyaan tod bikhrayi kahin
pakshiyon ne aawaz se chehkaya mujhe
bachoon ne patiyon pe khela yahin
aur kabhi aate the milne kai dil
saath rehte kuch baat karte nahin
char kadam chalte the saath dost
aur phir beith batiyate the yahin
par kya hua us daur ko kya jaanoon
aaj yahan ab koi dikhta hi nahin

mujhe mere hone ka gumaan nahin
ab dasht sa rahta hoon main yahin
ek pata bhi mujh mein bacha nahin
koi saath dhool to le jaata nahin
awaaz aaye to koi kaise aaye yahan
veerane mein koi parinda ab nahin
ab hrra bachha koi mera hissa nahin
mere saath to ab koi khelta nahin
barsoon hue do dhadkte dil dekhe hue
ki koi ankhoon mein sharmata nahin
saath kya hota hai main kya janoon
dostoon ke quafile ab dikhte nahin
par kab kab tak rahega yeh daur ab
kal to phool patiyan khilengi yahin

Friday, July 20, 2012

hum kabhi to

hum kabhi to bin parde ke ro lete
man halka hota to shayad jee lete
roz dekhte hain woh muskurate hue
gumnasheen hote to saath ro lete

hum kis_se kehte gum-e-arzoo apni
woh humnasheen hote to samajh lete
kya hai bilakhti zindagi mein rakha
woh gumnisaar hote to hansa dete

hum kaise umeed karte sang-dil se
woh dil hote to kabke samaa lete
meri kisi arzoo ki kya qudr jaanib
dilruba hote to saath nibha lete

kuch raste mein aaisa aaya to nahin
phir kaise hum unhe haath bada lete
aaj char kadam bhi saath na de sake
woh humsafar hote to haath bada lete

hum dard-e-dil liye firte hain aawara
Kapil kaise unse awaargi chupa lete
na thi koi umeed dil-e-aashna ki to
phir kaise is shahar ashna bana lete

Thursday, July 19, 2012

aaj phir daur quatl-o-gar ka aaya

kuch hasratoon ko aadmi dafna aaya
lautate hue shamshir bhi utha laya
dikha na use fir samane koi dost
woh kitnoon ke lahu se naha aaya
aaj phir daur quatl-o-gar ka aaya

sunaii deti hai cheekhian har taraf
ki aaj aadmi khud ko hi maar aaya
jaise kaata hai badte haath ko usne
waise woh aaj apna zameer beech aaya
aaj phir daur quatl-o-gar ka aaya

masumiyat ka hua hai khoon aaj dekho
woh har maasum ko bilakhta chod aaya
jis baache ko zindagi kya nahin pata
us baache ke haath bhi lal kar aaya
haif! aaj phir daur quatl-o-gar ka aaya

woh kaise baat karta hai sukoon ki
jo baase shahar ko dasht kar aaya
kaise jee paayega woh tanha yahan
woh aapne hum_kadam ko maar aaya
aaj phir daur quatl-o-gar ka aaya

Tuesday, July 17, 2012

har baar sunta hoon

har baar sunta hoon kisi ko sukuun nahin milta
main zamana hoon mujhe apna hashr nahin dikhta

chand khawhishein aadmi ki na mil payi to kya
is baat pe yahan aadmi aadmi ki nahin sunata

main kaise rokuun khud ko ab khud ke quatl se
yahan to koi meri zara bhi parwah nahin karta

quatl-o-gairaat ka daur dekh chuka hoon main
tum batao inse bura raqeeb mujhe aur kya milta

main dekhta hoon bebas yun khud ko lutate hue
is_se bura kya hoga ki main khud ko nahin rokta

main kyon karoon parwah is badate hue hujoom ka
main zamana hoon, main ab kissi ki nahin sunta

Monday, July 16, 2012

kyon aata hai baatoon mein

kyon aata hai baatoon mein phir woh naam uska
mere ghar se uske ghar ke safar mein peigam uska

char din se chal raha hoon usi ke ghar ki aur
kaun jaane kyon dur hai itna yeh makaan uska

koshish karta hoon raat sone ki jab bhi main
nahin deta hai aankhein mundane woh khyal uska

bechain ho kar bhi raat nahin bad sakta aage
kitani andheri galiyon se nikalta rasta uska

char kadam shayad chal paya hoon char roz mein
kinhi tang galiyon se guzarkar milta makaan uska

mere saath chalne ki zid na karoo musafir tum
do bashindon ke liye nahin bana hai ghar uska

kal ka din shayad mujhe uski gali par la dega
kaise jeunga jab nahin yaadoon mein satana uska

milkar hi poochunga jeene ki ek nayi wajah usse
agar milne pe Kapil jeene dega muskurana uska

aaj bhi zahan mein taza hai woh ruksaar mere to
kya kahein is jahan kahan noor hai jaise uska

Sunday, July 15, 2012

tham ke chalna

dard dil mein,
inteezar ankhoon mein,
umeed ka daman
tham ke chalna

main pukarta hooon,
dil-e-arzoo ko
tum bas yeh haath
tham ke chalna

kahin hote nahin raste
kabhi milti nahin manzil
par himat bandhaye rakhna

dostoon ke hujoom na sahi
ho dushmanoon ki dewar sahi
par tum tanha hi aage badna

kya kehta hai zamana
kya kehti hai fiza
iski parwa na kar
tum aage kadam rakhna

aaye koi mushkil
sataye koi uljhan
tum umeed ka daman
tham ke chalna

sukoon ankhoon ko milta nahin
karar dil ka kahin rehta nahin
tum dil mein phir bhi umeed rakhna

milenge hum phir
ek din hum bhi
is ashnaa mein yunhi
bas tum kahin na rukna

khata ankhoon ki thi
bayan karti zuban thi
tum us ek pal ko
tham ke chalna

woh char din the
jab bas hum tum the
tum un lamhoon ko
tham ke chalna

Saturday, July 14, 2012

dhuan dhuan

dhuan dhuan hai manzil,
bas apna hai yeh rasta,
chuta peeche kitna kuch
ab un sab se kya vasta

ab dhuan dhuan hai fiza
pukarta mujhe yeh rasta
manzil ki ab fikr kahan
saathi kahan hai tu bata

kuch kadamoon pe zindagi
kahan khadi mujhko bata
kahin se koi awaaz nahin
aur har taraf hai rasta

kis aur jaon, kya janoon
mujhse baat kar aye rasta
munh pher khada hai woh
usko mujhse ab kya vasta

musafir main hoon nahin
in carvaan se kya vasata
koi mujhe pechanta nahin
kaise kare bayaan dastaan

main kaun hoon, kahan hoon
is baat ko hoon talashta
kaun si thi manzil meri
mujhe is sab se kya vasta

aage bhi ek raah padi hai
bas yeh rasta mujhe pukarta
kyon rokta mujhe jaane se tu
mujhe yahan kaun pechanta

bas dhuan dhuan yaad hai
aur dhuan dhuan hai rasta
dhuan dhuan aur char kadam
saathi kahan hai yeh bata

Friday, July 13, 2012

unke siwa kuch bhi nahin

in patharii aankhoon ko abhi bhi chain nahin
in_mein sirf ek inteezar hai koi aaram nahin

ek khat aaya to unhe iska bhi ehtaram nahin
sirf peigaam-e-yaar hai, deedar-e-yaar nahin

khat ke har harq pe dard milla, sukoon nahin
is dard-e-dil ki unke siva koi marham nahin

jawaab mein chaak-jigar apna, koi harq nahin
unke inteezar mein kambhakt marta bhi nahin

besharam aansoon hain mere ki rukte hi nahin
duniya dekhti rehi, inhe parwah kisiki nahin

main aaj zinda bas unse apni sansoon se nahin
mere jeene ki wajah unke siwa kuch bhi nahin

Thursday, July 12, 2012

der aaya durust aaya

kabhi waqt, kabhi bewaqt, tera khayal aaya
jalwa-e-balab liye bas ek tu hi na aaya,

beetiey hain kai sawan tere inteezar main
sawan phuhar to laya par tera khat na aaya

ab kis_se kehta main woh haal-e-dil apna
jab ek lamha kehkar tu umrr bhar na aaya

yeh umrr guzari hai yunhi kuch tanha aapni
tu ab jalwa-e-husn leke aaya to kyon aaya

dekh use aaj bhi kashish dikhti rukh mein
phir kaha husn se ki der aaya durust aaya

Monday, July 9, 2012

aaj zorr se barsa hai badal

kuch zulf sa kala hai badal,
har taraf chaaya hai badal
samandar sa ghera yeh badal
aaj zorr se barsa hai badal

kahin bijali chamki nahin
ki zorr se garja hai badal
pyase pyass ko bhuja rahe
aaj zorr se barsa hai badal

jab sab akhiyaan taras gayi
tab dikha humko yeh badal
sukhi dharti phat gayi hai
aaj zorr se barsa hai badal

har koi yahan sar chupa raha
phir aaj neeche uttra badal
pakshi bhi aasra le chuke ki
aaj zorr se barsa hai badal

sirf umeed ki trishna liye
nachta hai morr dekh badal
machate dekh kar hi shayad
aaj zorr se barsa hai badal

Saturday, July 7, 2012

mere chehre pe

mere chehre pe aaj ek muskurahat aayi
unki surat dikhi aur fiza mahek aayi

ek baar hi jo milli woh nazar unki
meri sansoon mein nayi rangat aayi

lagta hai aaj dekh ke yeh surat unki
nayi si subha aaj naha ke samane aayi

aye aftaab na kar jaldi tu badane ki
aaj ek nayi si subha ki aaj ban aayi

kyon nahin sunta bata yeh araaz meri
ek lamhe mein bata kya baat ban aayi

ruk kar is nazare ko dekh to loon
ab aagle hi din phir yeh subha aayi

tamanna ek thi hazar puri kar di
tere saath aaj yeh kaisi fiza aayi

aur kya mangata main is zindagi se
ek aah bhari aur duniya chali aayi

Thursday, July 5, 2012

aansoon

unhe dekh ke ek baar ke liye ruk gaya tha aansoon
fir to ajab si khushi thi ki chalak aaya tha aansoon

zindagi mein khushi milti hai kai alag shakal lekar
kabhi ek tamanna ke dikh jaane pe beh aaya tha aansoon

main mehroom raha kissi bhi hasratoon ki manzil se aur
ek arzoon ke mil jaane pe yunhi nikal aaya tha aansoon

javan raat ke tasavur mein kuch khalish hi aisi thi
bewajah hi in nam ankhoon se nikal aaya tha aansoon

main guzara hoon pehle bhi kissi aur carvaan ke saath
yeh wohi shahar, wohi gali jahan tapka aaya tha aansoon

dard dasht mein nahin, dasht ke veeran ahsaas mein hai
kabhi is dasht mein tanha reh kar gum gaya tha aansoon

Wednesday, July 4, 2012

zindagi mein har modd pe

zindagi mein har modd pe log to bahut milte hain
khairiyat hai ki dard ke badal kuch hi se milte hain

tanhai koi arzoo nahin hoti kissi bhi zinda dil ki
phir bhi hairaan hoon woh kaise tanha khush rehte hain

char kadaam chalne ko kahoon to aise dekhte hain
jaise khata kar di ho maine aur sazaa woh soochte hain

hain shaks kai un jaise shayad dikhte fiza mein
yeh diloon mein jalte shoale hain, kum hi milte hain

bahut suna tha yahan ke bashindoon ke baare mein
hum to jis-jis se milte hai woh kuch tote se dikhte hain

kaii hastiyoon ke girbaan pakad ke dekhe hain
bahut to bahar se kuch aur andhar khokle nikalte hain

main pukaroon kisse poochta phir unhi se hoon
woh meri hasti ki is laachari pe phir zor se hanste hain

baras baras

kuch humari bhi sun le araaz
ab ki baar to tu zor se baras

patharai ankh paunchane baras
kuch ankhiyoon ke saath baras

yeh akhikyaan gayi taras taras
ae megha ab to tu garaj baras

sawan mein baras bhadoon baras
mausam hai jaata ab to baras

is baar kuch aise gajab baras
jaise na barasa kai baras baras

sukhi dharti pe tu jaldi baras
pyasi nadiyaan hain baras baras

sukhe hue in khaliyan pe baras
kuch sulagate sholoon pe baras

de ja tu phir se jeevan ka ras
aye zindagi boond ban ke baras

Tuesday, July 3, 2012

jaane kis umeed mein

jaane kis umeed mein na soye raat bhar
be_wajah khwaboon se mehroom rahe raat bhar

shayad sab tham gaya tha chandni ke saath
aur hum bekaar chand ko dhoondate rahe raat bhar

na waqt ka hosh, na waqt ke hone ka yakin
is waqt ke ahsaas se bhi hum dur rahe raat bhar

yeh dil shayad roz ki tarah hi dhadka hoga
par hum gum kissi aur dil ke ahsaas mein raat bhar

shayad mil raha tha dil bin kuch kahe un_se
mere dil ko jaane kyon yehi dhoka raha raat bhar

subha hui to laga yeh subha kyon ho gayi
humnein to ek palak bhi na jhapkai raat bhar

Monday, July 2, 2012

kuch khamosh lamhoon ki

kuch khamosh lamhoon ki gunjaati baat rahi,
bas sirhane ki woh baatein humein yaad rahi

milte hain musafir roz chand se guzarte hue
aur humein to woh tanha chandani yaad rahi

guzarii hain raatein yunhi takte aye aasmaan
kya batayein char ghadi ki neend saugat rahi

kissi umeed se na dekha humnein unke rukh ko
lau bujhi, raat gayi par woh mulakat yaad rahi

chand lamhoon ki thi woh baat jo ho na saki
kaampate hootoon ki woh uljhan bas saath rahi

aaj phir yaadoon ki barish mein bheege hain
gile man mein bhi woh judai hi humein yaad rahi

do lamhoon bad rakha tha sar seene pe rote hue
sawaan ki woh bheegi raat bas apne saath rahi

kuch khamosh lamhoon ki gunjaati baat rahi,
bas sirhane ki woh baatein humein yaad rahi

Sunday, July 1, 2012

dili itni bedard nahi

dili itni bedard nahi mujhe tadpta chod de
yeh to kuch apni hi kismat thi jo saath na de

main mehroom raha iski kushi se na jaane kyon
dawa-e-aks hai ke phir jeene ka mauka de de

na roak mujhe char kadaam chalne se aye dost
shayaad yeh lamhe woh pehle si zindagi de de

tamashaii bani rahi hai duniya har modd par
shayad koi be_jaan sa modd he zindagi de de

nikalaa hoon phir unhi puarni si galiyoon se
kahin koi humraaz milkar woh bhuli yaad de de

jab kabhi umeed nahin rahi thi jeene ki mujhe
shayad na_umeedii se nikalne ki phir dawa de de

char hi kadam chalna mujhe aye shahar yahan
ab ki baar Kapil ko tu jeene ka jasbaa de de

kyon mere hone pe

kyon mere hone pe hai ghabrata koi
jhuki aankhoon se hai sharmata koi
maine to kissi se kuch kaha hi nahin
phir kyon mujhse nazar churata koi

bula kar khud mujhe is mehfil mein
mehfil mein tanha chodd jaata koi
har taraf dekhta hoon main yahan
milta yahan bankar ajnabi har koi

hashr aisa raha mehfil se nakal kar
jaise shahar mein ho ajnabi har koi
pukaroon kaise main us ko yahan pe
kaisi jagah ke lagta ek sa har koi

main bhatak raha tha galiyoon mein
aur rasta naya hi batata har koi
mujhe jaana bas ussi ke ghar ki aur
likhta naam uska ghar pe har koi

bahut be_abru hokar chale hai hum
ki is hashr pe taane deta har koi
na pukar mujhe phir se mehfil mein
yahan meri haisiyat janata har koi

Saturday, June 30, 2012

takht-hazare te sajda kar jana

main ganga dubki lan nai jana
na mecca-medina haj kar jana
bas hun takht-hazare he jana
takht-hazare te sajda kar jana

char dihadi keh ke tu na aana
Sajana tu he daras nu tarasana
je tu na aya te main hun aana
takht-hazare te sajda kar jana

na khoal buha tu wekh mainu
main te tere daras liye rehna
milan tenu hun main he aana
takht-hazare te sajda kar jana

sado na kisi kuche eech sanu
asaan fakiran warge turan jana
aaj phir hai sajna nu manana
takht-hazare te sajda kar jana

rab di koi horr shakal na jana
mandir masjid da bas naa jana
koi chale na te main kale jana
takht-hazare te sajda kar jana

Thursday, June 28, 2012

kyon hasta hai

kyon hasta hai mere hone ki is harkat par
maine yeh dasht paaya hai har saath kho kar

kya kahoon main usse ab is naye sitaam par
jag hasaayi payi zamane mein mashoor ho kar

main to ek lamha bhi jee na saka dur ho kar
aur woh khada hai aaj bhi mujhse dur ho kar

rab, main ab bhi karoon uski to karoon kaise
woh milta hai mujhe ab koi beigaana ho kar

main wahin hoon aaj bhi uski umeed le kar
aur woh badd gaya hai aage mujhpe chad kar

kyon soochta Kapil aayega mudd kar ek baar
woh to kab ka bhool gaya ek seedi samajh kar

Wednesday, June 27, 2012

Touch

How do I forget your touch
Ah! that touch, heavenly
a touch thats deft, soft
a hint of wetness it had
and dry for anyone to see
yes, touch of yours lips
before the breath hits me
i feel that gush inside
knowing that you are near
I feel the touch around
for there couldn't be anyone
with a touch as loving.

How do I remember a touch
Is that touch still yours
So cold, so distant, dead
touch of stranger brushing
one for which no one cares
where you glance and move
no one stops to hear, talk
and walk away from there
just move-on, ahead in life
as if we never met, touched
for i have seen many touches
but none as cold as yours.

मेरा हश्र

 
मेरा हश्र बस एक भटकते मुसाफिर सा रह गया
मंजिल सामने थी और मैं रास्ता पूछता रह गया
 
क्या कह के बहलाता अब इस दिल को मैं
जो भी इसने चाहा वोही इससे दूर हो गया
 
अब आलम यह है की नहीं चाहता कुछ भी
ख्वाहिशों के नाम यह खली मकान रह गया
 
आज भी दर-ओ-दीवार से मांगता बस वो पल
जिस पल मेरा यह होना भी न होना हो गया
 
मैंने सब कुछ है खोया उस वक़्त की जुस्तजू में
वो भी मेरा वक़्त था जो वक़्त की सूली चढ़ गया
 
आज नहीं मांगता मैं इस वक़्त से कुछ भी
मेरा जो कुछ था वो कब का मुझसे छीन गया

Monday, June 25, 2012

मेरी आँखों ने

मेरी आँखों ने उन्हें बहुत उदास देखा है
क्या कहूं ऐ दिल आंसूं का सेलाब रोका है
 
जिनसे गाल को कभी सर्ह्या था प्यार से
आज उनके गाल से टपकता आंसूं देखा है
 
मैं कैसे थामता उनके गाल इन्ही हाथों से
मेरी एक अंजान गल्ती का जब असर ऐसा है
 
मैं क्या कहता उनसे, किस तरंह बात करता
मेरे बात करने ने ही तो उनका दिल तोड़ा है
 
कुछ हसरतें थी अपनी भी ज़िन्दगी जीने की
मैंने आज उन्ही हसरतों का ऐसा अंजाम देखा है

Sunday, June 24, 2012

kyon aaye

main roz yunhi marta raha
tum zinda karne kyon aaye,
main to ab tak jee raha tha,
khwab mehkane kyon aaye

batao zindagi mein kyon aaye
arzoon ke sirhane kyon aaye
kuch beeti yaadein dafn thii
tum unhe jagaane kyon aaye

dasht kab ke sab chut gaye
aaj pyaas bhujane kyon aaye
maajhi bhi mere saath nahin
tum kashti saath kyon aaye

us paar jaana nahin mujhko
uski mahek saath kyon aaye
bas sunai deti dhadkan thi
mera kissa sunane kyon aaye

hai saath mere yeh tanhai
tum isse chenane kyon aaye
mere paas bachi bas parchayi
tum us_se churane kyon aaye

din beeta in fariyadoon mein
tum ab raat churane kyon aaye
kuch lamhoon ki to ek aas thi
tum woh aas mitane kyon aaye

ab shaam phir ho chali hai
phir aaj raat tum na aaye
humnein yahin lamhe beetaye
jab-jab milne tum na aaye

Friday, June 22, 2012

unhe dekh kar

unhe dekh kar bas aankhoon hi aankhoon mein kuch baat hui,
apni beraang si zindagi mein aaj zindagi ki ek nayi aas hui

tum hi batao kya kehte is umeed ke mil jaane ke baad unko
chup rahe ki kehna na pade, zubaan unke aage gustaakh hui

khamooshi jo sunai deti hai tumko humein dikhai nahin deti
kya kahein aye dost, unke aane ke baad aankh fir madhosh hui

ae dost bayaan kar pate us husn ko to kabhi ka kar diya hota
woh ek aankhoon ki inaayat thi jo har alfaaz se mehroom hui

yeh zamaana aacha tha, nahin dekha yahan kissi ne ab tak unko
jab se dekha zamaane ne unko, bas quatl-o-gaar ki baat hui

jab se in baashindoon ko aaj fir se unke aane ki khabar mili
kai bastiyaan tabhi se bas yunhi veeranoon mein tabdeel hui

Thursday, June 21, 2012

aa sajna

jalya aaj ek ishq da shola
O mahi menu daras vikha ja
nava aaya tere dar te dola
shagana wich mukh dikhlaja
char dihadi da he ae rola
aa sajna tu ek wari aa ja

nai sun_na je tu araz mendi
te tu menu ek vaar suna ja
changi kiti dard naal yaari
tu eh dard da ghada uthaja
nahin chakna asaa horr isnu
tu jigaar nu katt ke le ja

ki karan sukii yadaan rakh
tu jeene di mahulat de ja
asaan na mangi teri daulat
bas mahi tu do dihadi de ja
char dihadi da he ae rola
aa sajna tu ek wari aa ja

Wednesday, June 20, 2012

raat bhar

teri umeed mein na soya raat bhar
maine chiraag na bhujhne diya raat bhar
aankhein thak gayi takte raasta
aankhoon ko neend ne bahut sataya raat bhar

umeed naumeedi mein badalti rahi
ki tumne aake ye lau na bujhai raat bhar
hum kaise shikwa karte na milne ki
ke tum kuch sun_ne nahin aaye raat bhar

kya hui thi khata hum se batlaao
ki tumne bas yeh intezaar hi diya raat bhar
hum kisse sabab kahete is tanhai ka
ki khwaboon mein bhi mulakat na hui raat bhar

guazar gaye kitane hi din na jaane
par yeh kambhakt tanhai kaatti rahi raat bhar
ab kya karta Kapil tum hi batao
aansoon_on ne aankhoon ka saath diya raat bhar

aadmi na jaane aadmi kya chahe

sardi mein suraj ki ass lagaye
suraj nikale badal ko tarasaye
mee~n barse to fir sardi bulaye
aadmi na jaane aadmi kya chahe

kabhi ek saath ko tarasta jaye
saath hokar tanha rehna chahe
manzil par raste ko dekhta jaye
aadmi na jaane aadmi kya chahe

paas bulakar woh milne na jaye
inteezaar mein ghadiyaan ginwaye
bin bataye woh to milne ko aaye
aadmi na jaane aadmi kya chahe

kabhi sapnoon mein ghar sajaye
kabhi usi ghar se daudta jaye
sapne jee kar yahan marta jaye
aadmi na jaane aadmi kya chahe

paas ho to us_se kaha na jaye
har pal man hi man unhe bulaye
unhe samane dekh woh dar jaye
aadmi na jaane aadmi kya chahe

Monday, June 18, 2012

this longing

This longings is all gone
the day feeling was born
why do you deny this pain
whats that you have to gain

don't let me down path alone
for am just a wandering soul
exploring the valleys galore
of the hills here that shown

this is what I have lived for
and this is what i can die for
beloved don't deny this feeling
come join me passion revealing

for there is no tomorrow here
there is no today left there
Dear come come lets run away
lets settle down far far away

a land where deodhars stand
show, hills and valleys land
come join me in this search
Himalayan birds on perch

how can I miss that sound
for that has made me bound
don't cast another spell now
wait, i am on the way now

Sunday, June 17, 2012

let me break free

doors are closed,
windows latched
for now men sleep
let me break free

its darkest hour
light stars shower
can't see but still
let me break free

as I try peep out
all deserted roads
leading nowhere but
let me break free

for the air's cool
full of solitude
it beckons me now
let me break free

walls don't tie me
neither do the doors
promise I dont break
let me break free

my mind wander out
among those streets
alone and yes free
let me break free

I have all the keys
know all the locks
but still i ask you
let me break free

I want to run away
not from you but me
want to hide faraway
let me break free

don't tie me here
for I don't belong
my place calls me
let me break free

this house not mine
this city no longer
for it disowned me
let me break free

let me live life
let me breathe air
let me feel my senses
let me break free

Saturday, June 16, 2012

kar quatl

kar quatl tamannaoon ka tu hi bata main yahan kaise jeeta
mujhe hasti ka fizool guroor tha ki tutane pe kya kehta

meri aankhon mein dariya hai, jo unke hone se nahin rukta
roz marta hoon apne hone ke gum mein, ki tumse kya kehta

na roko garq hone se ki yahan mujhe mera gum hi dikhta
lagaya hai seene se use maine, humsaya hai woh ye kehta

hoon ruk-ruk ke chalta par mere ghar ab awaaz nahin deta
bhulaya isne tujhe Kapil ki yeh ab tujhe kuch nahin kehta

Friday, June 15, 2012

shaam hote hi

shaam hote hi tu kyon chiraag bhuja deta hai
tu kyon mujhe sitaroon bharose chodd deta hai
tere siwa kisi aur dar pe sajda to nahin kiya
fir kyon sajde ka silla tu andhere se deta hai

fikr to hui thi andhera dekh ek baar mujhe bhi
par tu kahan bandoon ko akela chodd deta hai
rahmat ka baroosa tha ki main kahin gaya nahin
tu to ufaanon mein bhi naiya paar lagata hai

kya chupa tujhse ki kashti hai badbaan nahin
aur yeh maajhi hai ki yunhi hilore leta hai
tha kuch dar shuru mein mujhko bhi laga lekin
tujhe dekh ke bharosa khud se hi banta hai

tu nahin dikhta jab mujhe to kya kahoom main
us din to zindagi jeena bhi dushwar lagta hai
main kya guhaar karta tere dar par ek deedar ki
tu to Khuda hai, tu bin kahe hi sab samjhta hai

aaj tumhe pukarta hoon

aaj tumhe pukarta hoon to kuch ajeeb lagta hai
mera woh naam lena, gustakh ka alfaaz lagta hai

woh waqt aur tha jab teri aankhon mein garq hue
aaj tujhe dekhna bhi zamane ko ek khata lagta hai

tu na pooch ab ankhoon se mere is hashr ka sabab
teri ankhoon ke baad mujhe jeena bezaar lagta hai

bata kya main kehta tujhse nikalte hue raste mein
aaj saamane se aankh uthana bhi nagawar lagta hai

dekh wohi main hoon, wohi tu hai par rishta nahin
is rishte ko rishta kehna bhi dushwaar lagta hai

kyon fir bhi tu dekh raha hai meri hi taraf aise
teri har nazar ka teer mere quatl hazar karta hai

Thursday, June 14, 2012

tum aaye

main subha uth kar soch raha tha
sapna yaad kar muskura raha tha
usne poocha kya hua tum muskuraye
maine kaha aaj sapne mein tum aaye

kuch naya to us sapne mein tha
humara chand lamhon ka saath tha
ab ki baar to tum bhi muskuraye
kum se kum sapne mein to tum aaye

woh ajabb nazar se dekh raha tha
meri baat ko yunhi tatoll raha tha
maine kaha tum kis baat se ghabraye
woh bas sapna tha jismein tum aaye

sansoon ka tana bana-bun raha tha
un batoon ka charcha chal rha tha
maine pooch ab ki baar kyon sharmaye
yeh to ek sapna hai jahan tum aaye

use bhi meri baat pe yakin na tha
laga jaise sapne ki baat banata tha
kaise kehta dilbar tumpe dil aaye
phir samjhaya bas sapna mein tum aaye

umr bhar

aapke aane ka brahm raha umr bhar
zinda raha na raha par khyal raha umr bhar

kuch hasratein thi jo mil na sakii
par mujhe un arzoon ka inteezar raha umr bhat

aftaab dasht mein jhulsa ke chal diya
mujhe tab bhi us badal ki umeed rahi umr bhar

sukhi hai yeh zameen aaj tak yahan dekho
yeh bhi kuch boondoon ko tarastsi rahi umr bhar

na barasa koi badal yahan aaj tak to kya
mere aankhoon se to barsa hai ye pani umr bhar

rokta kyon hai barasne se mujhe aye dost
aaj tak Kapil dabata raha hai yeh ufaan umr bhar

shyaam na aaye

Tried to club two languages one in alternate line...with some sufi touch. Just another experimental attempt.

ratt kati jaagde, raah vekhde
subah tak bhi shyam na aaye
sara din main ravah takiyan
shaam dhali shyaam na aaye

main thaki buhe beh-beh ke
par aaj milne shyam na aaye
kis nu sadan ki lab lyave
shaam dhali shyaam na aaye

main umraan di daras dewani
ek jhalak liye shyam na aaye
kiven pukaraan main hun daso
shaam dhali shyaam na aaye

araaz sune na mendi shyaam
yug beeta par shyam na aaye
horr kisse nu sadd kandene
shaam dhali shyaam na aaye

main kamli kise horr na jaana
umr guzari par shyam na aaye
ik naam di rataan lagayi par
shaam dhali shyaam na aaye

Wednesday, June 13, 2012

main phir bhi ab nahin rukta

kisi ki awaaz ko nahin sunata
dhoop ya baarish yunhi chalta
manzil mile na mile mujhe aaj
main phir bhi ab nahin rukta

kahan hai woh rasta kya janoon
kaunsi manzil thi kisse maloom
kheenchta mujhe kabse magar
main phir bhi ab nahin rukta

tum pakadoge haath to kya hoga
bichaoge nazarein to kya hoga
hoon manchala main chahe kitna
main phir bhi ab nahin rukta

pukarta mujhe hai dur se koi
dhundhali si hai surat wohi
woh aata meri aur badta yenhi
main phir bhi ab nahin rukta

batao use ki woh manzil nahin
raat ki meri koi sarai nahin
par aaj bhi main awara nahin
main phir bhi ab nahin rukta

Tuesday, June 12, 2012

main dhoodta hoon

main dhoodta hoon har jagah kyon use
zindagi ki is udhed-bun mein bas use
samajh nahin pata kya deta woh mujhe
ek aur dard lene ke liye dhoondta use

meri tamanna bhi kuch mujhsi ajeeb hai
woh bhi kambhakht chahati hai bas use
chod aaya tha uski gali ko dur kahin
phir bhi arzoo hai ki nahin bhulati use

kya keh ke pukaroon nahin janata main
koi naam to abhi tak diya nahin hai use
uski woh kashish aaj bhi dil mein hai
aur dil ne bahut pyar se saheja hai use

kab tak dabake rakhoonga main ufaan uska
bahut chaah se sapnoon ne sajaya hai use
na dikhe woh aaj bhi to aur bhi aacha hai
maine kum-se-kum khwab mein basaya use

Monday, June 11, 2012

aaj chada hai ye chand phir kis ke liye

aaj chada hai ye chand phir kis ke liye

woh to aaye nahin ek baar milne ke liye
aur hum chod aaye the woh ghar unke liye
kashmaksh ki dil ne bahut aapno ke liye
hum fakeerana reh gaye aye dil tere liye
khazana apna ye sansein hain jeene ke liye
tamanna be_zaar hui kambhakht dil ke liye
lau jala rakhi thi dil ne parwane ke liye
kambhakht aaj nahin aaya wo jalne ke liye
kyon jala rakhe diye, ye roshni kiske liye
nahin aaya wada kar ke bhi milne ke liye
pukarata aye dil tu unhe kis baat ke liye
kya yeh zilat kaam thi tere jeene ke liye
suna yeh aasmaan hai dur taroon ke liye
aaj chada hai ye chand phir kis ke liye

Sunday, June 10, 2012

dhoondta khud ko

dhoondta khud ko hoon, par mujhe rasta pata nahin
kyon hoon bhatakta jab mujhe manzil ka pata nahin

kis aur jaoon, har modd pe hi main sochta bas yehi
har raste pe lagta hai ki rasta to yeh sahi nahin

poochoon kis se safar mein aage ki dagar kahan hai
jab meri manzil ka pata main khud hi janata nahin

ruk gaya hoon phir main dekh ke naya sa modd aage
na bata kis aur jana par ye bata kis aur jana nahin

Saturday, June 9, 2012

naam ki haqqiqat

naam ki haqqiqat mili ke main kuch bhi nahin tha
apnon ne uthaya tha jab zameen ke layak nahin tha

aaj roko tum unko ke yeh to kabhi sahi nahin tha
main dur raha sab se ke yeh mere liye nahin tha

main ek zara tha jo ek jhonke se hi udd gaya tha
aaj ahsaas hua ki kuch phookoon pe chad gaya tha

nahin koi bhi phoonk deta to main kahin nahin tha
mujhe aaj pata laga hai ki uddana mera nahin tha

pada hoon khaak mein ke main ismein mil gaya tha
na uthaoo phir mujhe ke main girkar dahal gaya tha

kuch hilta hoon nikalte kadmoon ke saath aaj bhi
shayad sahi hasr hai jo main bin pankh udd gaya tha

Thursday, June 7, 2012

koi nahin tha

aaj shayad wahan koi nahin tha

bas dhoond ki chadar thi
jismein shayad koi chal raha tha
kuch kadmoon ki ahaat thi
jaise koi bahut jaldi mein tha

shayad kuch bhool gaya tha
jisse woh wahan khoj raha tha
ghup andhera bas wahan tha
magar woh fir bhi dhoond raha tha

main ek pal ruk ke chal diya
socha ki shayad koi majboor tha
har ahaat pe ussi ko dhyan diya
jaise woh bas mujhe hi dekhta tha

main kyon nahin ruka
shayad woh bas madat chahta tha
main kyon nahin ruka
shayad woh wakiyaa karna chata tha

darr to tha mujhe kuch
jo mein usse dekh kar sahma tha
tha uski ahaat mein kuch
jo main ghabra kar nikala tha

wahan dur se dekhta raha
par dhood chatane pe koi nahin tha
main to wahin khada raha
par raste par ab koi nahin tha

aaj shayad wahan koi nahin tha

Wednesday, June 6, 2012

adhoori kuch hasratein

adhoori kuch hasratein liye yahan jeete rahe
zindagi puri hone ki aas mein hum marte rahe

na jaana kabhi unka poore se matlaab kya tha
unhone kaha tha is liye hum use talashte rahe

agar itna dhoodte to shayad mil jata sukoon
par haal-e-dil aisa tha ki dard chunate rahe

chuna tha jo rasta woh beech mein hi mit gaya
ab bin raste ke hum sahera mein bhatakte rahe

yeh hum the ki na mila, milke bhi sahaer humko
aur hum be_wajah un ki umeed mein roote rahe

dhoond rahe the be_rang zindagi ke rang kabse
hum rangrez ke saath reh kar bhi be_rang rahe

aur kaise milta hai rang zindagi mein kissi ko
maula tujse kya kahoon ki tujhse bhi khafa rahe

Tuesday, June 5, 2012

tamanna na hui juda

tamanna na hui juda humse aaj dekhiye
mere hone ki na mujhse wajah poochiye

kal doob gaya tha aftaab yunhi tanha
aaj usi aftaab ki aap roshni dekhiye

dafn kar chuka hoon kai armaan adhoore
kuch naye armaanon ki aaj rangat dekhiye

bahut basaaye the baag jo ujaad gaye
aaj naye baag mein phooloon ko dekhiye

mahek raha hai gulshan aaj phir mera
mere gulshan mein tanhai na dhoondiye

yahan nahin milti tanhai kissi ko bhi
do pal zindagi, saath mein maza lijiye

Sunday, June 3, 2012

kis baat ki saza dete ho

hans kar baat palate ho
milkar bhi nahin milte ho
jaane kyon mayus rahte ho
kis baat ki saza dete ho

dard basa dil-e-ashna mein
rahte ho uske sath mein
khud ko kyon choat dete ho
kis baat ki saza dete ho

awaaz pe koi awaaz nahin
siski nikali, jawab nahin
tum kyon sulagte rehte ho
kis baat ki saza dete ho

jaane kya purani baat hai
par tumhe aaj bhi yaad hai
kyon use dil mein dabaye ho
kis baat ki saza dete ho

zindagi hai faqat char din
do tanha aur sulagate do din
batao kab zindagi jeete ho
kis baat ki saza dete ho

yahan manzar aur bhi hain
us paar jaati kashityan hain
tum kyon issi par rehte ho
kis baat ki saza dete ho

aa jao ek kadam badake dekho
zindagi ek bar jee kar dekho
tum kyon zindagi se darte ho
khud kis baat ki saza dete ho

Friday, June 1, 2012

jab roya

jab roya koi saath nahin tha
aansoonon ka maul nahin tha
main to yunhi bikharta gaya
ki zindagi ka hasr yehi tha

awaazoon mein dabi awaaz thi
is shor mein gum fariyaad thi
tumne sunkar bhi nahin suna
bas itni si meri dastaan thi

main phir bhi kheench raha tha
dastaan ko aaj se jod raha tha
jahan koi aapna nahin baacha
wahan rishtey dhoond raha tha

kis naam se pukaroon ab tumko
main kya kahoon is rishte ko
in sab ki is kashmakash mein
main dhoond raha tha dil ko

kya kaheta main mayus dil se
jeeti dhadkanoon ki duad se
ke kuch khwahish mat karna ab
main ubb gaya tha in sab se

Thursday, May 31, 2012

baanti zameen

ya khuda is jahan ko kya hua, ke aadami aadami se milta nahin
char kadam koi bada bhi le to, sarhadoon se paar jaata nahin

khenchi is zameen pe lakireen itani, ke zameen ab dikhti nahin
main kis se kahoon ke akhir mein do ghaz se jyada naseeb nahin

zameen to aaj baant li hai sabne, par asmaam kyon baanta nahin
kyon nahin dhakta deewar se aasmaan jaise zameen dikhaata nahin

kis ko rokun kis ko pakadoon, yahan ab koi kissi_ki sunata nahin
baheta lahu hai yeh insaan ka, isse dekh bhi dil paseejta nahin

laal hua hai rang zameen ka aaj, par shayad ab rang dikhta nahin
saane hain haath bhi sabhi ke magar aapna haath koi dekhta nahin

Wednesday, May 30, 2012

nazar aayi

uski rehmat-e-dard shahar mein na chup payi
mere chehre pe uski di har chot nazar aayi

main to churata raha aankh bhi sabse aabtak
par aansoon ki jhadi lagi to woh nazar aayi

ris raha tha dil kabse yun_hi gumsum mera
aaj aankh chalak aayi to sabko nazar aayi

jab tak sitaam sehte rahe hum chup chap yunhi
jaan ke bhi koi shaksiyat na paas nazar aayi

kyon tamasha bana rakha hai mujhe aye jahan
ek aah nikali ke bheed nikalti nazar aayi

gher rakha hai aaj mujhe is jahan ne aise
ke kisi aur jahan ki ajab shah nazar aayi

mujhe yahan jaan ke bhi koi pechanta nahin
is dard mein Kapil sabki surat nazar aayi

Monday, May 28, 2012

patang si zindagi

uljhi is dor mein fansi zindagi
aaj lagta patang si hai zindagi
ek jhonke se udati hai zindagi
hawa ke rukane se girti zindagi
kabhi hawa se bikhaarti zindagi
rang birangi chepi wali zindagi
ungaliyaan katati dor si zindagi
rishte mein ghatoon wali zindagi
ek dusare se uljhkar kati zindagi
hawa saath bin dor chutati zindagi
haath ajaaye to fir udati zindagi
nayi kissi dorr se bandhi zindagi
din udane par raath thaki zindagi
fir charakhri pe bandhi zindagi
achanak barish se chupati zindagi
us mein bhigati patang si zindagi

Sunday, May 27, 2012

dil liye na liya

dil liye na liya chain to liya hi hai
kaise pukaroon, koi naam diya nahin hai

main awaaz doon bhi tujhe to kis haq se
tune mujhe koi ikhtiyaar diya nahin hai

teri aas mein zindagi kat rahi hai meri
teri umeed se khawboon ko sajaya to hai

hai aatish-e-gul sa jalwa nigah mein
tune kyon aise palkoon ko jhukaya sa hai

un palkoon mein duba hoon kab se main
bata, tune un palkoon ko uthaya kab hai

madhosh main to aaj tak hua nahin tha
tune aankhoon mein bata chupaya kya hai

dekh ek baar mujhe to nazar se poochoon
tune aapni aankhoon se pilaya kya hai

tu bata main ab hosh mein aaon kaise
tujh se badkar jahan mein aur kya hai

duba hua hai Kapil aankhoon mein aise
jahean mein nigahoon se gehra kya hai

Saturday, May 26, 2012

nahin aaya dekhne

nahin aaya dekhne mujhe fir woh dard unka
main bach gaya dekhne ek din aur jalwa unka

jalwa-e-husn kahun ya kahun jaan-e-balab
kya farak padta hai, zikr hota hai bas unka

har mehfil mein bas nazareein dekhti unko
nahin khatam hota mehfil mein charcha unka

mehfiloon ke baad bhi dostoon daur jamte hein
aur unmein bhi bas chalta zikr hota hai unka

main kissi aur ke baare mein soochoon kaise
mere zahan mein to hai basa woh khyaal unka

dekha tha ek roz, rukh se naqab hatate hue
tabh se janata hoon dushman mera, hijab unka

kaise hataoon fir parda naqabi us rukh se
ke kyon chupa hua hai mujhse ye nur unka

Kapil jeeta kaise unko dekhe bina kya maloom
yahan to har dikhta hai bas woh chehra unka

tumhari amaanat ko

tumhari amaanat ko sambhal ke rakh na sake
bahut koshish ki par imaan bacha na sake

tum naam likh gaye the jis dil pe aapna
hum ussi dil pe ikhtiyaar kar na saake

gumm kahan, kaise hua woh dil kya jaane
hum teri yaad mein use dekh bhi na sake

soochte rahe bas tere baare mein har pal
issi sooch mein hum zindagi ji na sake

hum kaise pukarte tumhe, tum hi bataaon
tumhe dekhte, zubaan thi ye soch na sake

kya aur bayaan kare Kapil aur apni dastan
hum the ki tum pe ikhtiyaar rakh na sake

Friday, May 25, 2012

roz milte hain

roz milte hain woh humse yunhi muskurakar
lagta hai beithe dil mein ufaan daba kar

main poochon unse to yeh baat poochon kaise
woh ghar se nikalte apne sab zakhm chupa kar

shikkan nahin dekhi unke maathe pe aaj tak
kyon peete hain woh har aansoon ko hans kar

us hansi mein chupi ghutan kyon nahin dikhti
yeh zindagi jeete hain kyon ghut-ghut kar

soochta tha sabr ki koi intihaan hoti hai
intihaan kya hai, bhul gaya unhe dekh kar

Tuesday, May 22, 2012

umeed se maine

umeed se maine jab bhi chaukhat khat-khati hai
bas har darwaaze se thokar hi maine pie hai

kyon naraaz hai yeh zamaana mujhse kya jaanu
maine to iski har aahat pe nazar bichai hai

dur andhere mein jab bhi koi lau dikhi mujhe
maine woh raat bas teri umeed mein beetai hai

kissi ki umeed kaise karta andeeri gali mein
yahan to bhatakti koi ruh bhi nahin aayi hai

samjhata hoon, na ro aye dil us dil ke liye
kambhakht us dil ne zindagi bahut satayi hai

fir bhi kyon is dasht mein hawa kuch num hai
Kapil sukhi aankh aaj phir se chalak aayi hai

Monday, May 21, 2012

nahin bataya usne

chaak jigar kar phir us dil ko bhula diya usne
mujhe kyon zinda chodd diya, nahin bataya usne

tadap raha hoon aaj bhi usi ke woh zakhm liye
mere zakhm kyon nassur kiye, nahin bataya usne

sulag raha hai aaj bhi ye man usi ki yaad mein
yaad pe kyon kiya ikhtiyaar, nahin bataya usne

aaj bhi wohi daudata hai meri har nafas mein
nafas ko kiya kyon beqarar, nahin bataya usne

dekha usne aur quatl hua main bas ek nazar se
nazaroon se kyon dur kiya, nahin bataya usne

main to jee raha tha uske bin ab tak ye zindagi
Kapil butt kyon zinda kiya, Nahin  bataya usne