Tuesday, July 31, 2012

hoti humse us quatil se

hoti humse us quatil se dushmani nahin
diya usne mujhe ek chaak-jigar bhi nahin

main to firta raha awaara kuch is tarah
ki paas mere thikana bacha koi bhi nahin

ruk jata hoon kai baar carvaan chod yun
lagta hai kabhi main musafir bhi nahin

meri woh manzil kahan hai kisse maloom
is raste ka agla mod kahan pata bhi nahin

aaj phir aa khada hoon main do rahe pe
kis aur jaoon batata yahan koi bhi nahin

woh kehta tha pooch dil se tu jawab apna
par mera dil to shayad ab mera bhi nahin

kyon yakin karta main apne is dil pe bata
isne mujhe aaj tak diya kuch bhi nahin

na pukar fir deewaroon se

na pukar fir deewaroon se aaj yun humko
parda nasheen aaj phir rukh dikha humko

bahut sataya hai chup_ke tumne ab tak
ek baar to milkar bhi karaar de humko

kai baras beet gaye aaj tujhse milkar
yeh lamhe judai ke dete hain sada humko

tamanna aaj bhi jawan dil mein waise hi
tu bas aake apni ye dhakdkan suna humko

hai sitam yeh kaisa tera ab tak mujhpar
ki shahar aakar bhi nahin milta hai humko

naseeb tha nahin milne ka apna aye dil
wagarna kaun shaksh yahan rok pata humko

umeed kuch to rahi tere jaane ke baat bhi
aaj ek baar aake phir na_umeed kar humko

na pukar fir deewaroon se aaj yun humko
parda nasheen aaj phir rukh dikha humko

aaj phir milne wo yaad aayi

aaj phir milne wo yaad aayi
khate-meethe se pal saath layi

rang kore canvass ki slate
sapanoon ne fir se saans chalai

likh lo yahan jo likhna hai
saath apne umeed ki woh shyahi

kai dard juda hue, gum gaye
jab umeed ne apni surat dikhayi

kuch paas apne bacha nahin
par daman mein khushiyaan mehakai

khali haath liye firte hain
ki umeed se aur umeed jag aayi

kya huaa agar yeh sapna hua
aaj mujhe apni zindagi nazar aayi

na raha kuch bhi paas mere to
is pal ne jeene ki umeed hai jagai

Monday, July 30, 2012

main tujhse milkar

main tujhse milkar aye dil tujhe kya kehta
main zinda hoon yeh baat khudhi kaise karta
char hi din hue the mujhe yahan se gaye hue
in chaar dinno ka hashiya bayan kaise karta

kyon hoti hai hairat tujhe mere hone se ab
main tujhse ab hone ki wajah nahin dhoondta
bas aasra leta hoon is shahar mein is raat
main is shahar ko apna ashiyaan nahin kehta

safar shuru hua tha mere tere dar se kabhi
main tere hi dar par use khatam kaise karta
itne barso se sirf ek bhatakta musafir hoon
main tujhe fir se aapni manzil kaise kehta

kyon phir aata hai tu paas meri sansoon ke
tere hone se main khud pe kabu kaise rakhta
kuch bacha jasba to shayad aaj bhi hai andar
tu bata is jasbaat ko aur daba kahan rakta

aaj mat dekh in aankhoon mein is tarah se tu
mere aankhoon mein koi samandar nahin rehta
shayad aaj bhi wohi behta hua sa dariya hoon
jo kissi ke bhi rokne se kahin nahin rukhta

kyon tu aaya hai bandhane mujhe apne saath
kaisa bataoon koi pinjara aacha nahin lagta
adhana sa ek zara hai Kapil yahan kuch aisa
jo aaj kissi ki muthi mein roke nahin rukta

Saturday, July 28, 2012

ye mere hone ki saza thi

gum-e-hasti ka karam hai ki chees nikal aayi
jo bacha tha wo lut gaya, yeh aandhi jab aayi

liye firta hoon aaj bhi usi aashiyaan ki aas
jisne bhigoya har baras, jab bhi barsaat aayi

sar chupaoon aur kahan tu bata aye mere dost
shahar mein laut kar sabki shaksiyat nazar aayi

hain yeh aandhiyaan bhi kuch ajeeb zara dekho
ki aankhoon mein dhool ke siwa koi shah na aayi

sitam hasti pe hua nahin mere jeene mein aisa
ye mere hone ki saza thi Kapil fir unki yaad aayi

kabhi humse to kabhi barsaat se

kabhi humse to kabhi barsaat se shikayat karte ho
kyon tum is mausam ki sadaa ko ek sazaa kehte ho

bahut berukhi thi zindagi mein abhi tak aye humdum
kyom aaj is baraste sawaan se ruswa hue bethe ho

fikr rehti hai humein to har kadam par bas yeh hi
tum mausam ki khata par khudko gunhagar samajhte ho

janate hain sabhi mausam ki fidrat badalti char din
aur tum un char dinno mein zindagani dhoondate ho

nahin chadta hai rang mausam pe bhi paani ki tarah
aur tum beraang paani mein bhi rangoon ko dekhte ho

aaj rangrez bulao ki paani ka rang to batlaye woh
tum aaj rangoon ke maalik ko bhi naye rang dete ho

kabhi humse to kabhi barsaat se shikayat karte ho
kyon tum is mausam ki sadaa ko ek sazaa kehte ho

Wednesday, July 25, 2012

aaj aansoon se mulakat hui

kuch bhare man se ye baat hui
shayad unse akhiri mulakat hui
dil bhi kuch beitha sa tha mera
ki aaj aansoon se mulakat hui

yaadoon ko sanjoy beitha raha
ki bachi bas yehi saugaat rahi
phir aayegi na khabar unki ab
unke jaate asmaan se barsat hui

main kabhi roya nahin tha itna
jitni yeh saawan ki fuhar hui
is sitam pe kaise rokta khudko
ki aaj aansoon se mulakat hui

kadam nahin badate us gali se
jahan apni yeh aakhiri baat hui
dekhta hoon aaj ussi jagah ko
jahan pehli pehli mulakaat hui

main liye firta hoon wo tanhai
jis mein bas teri hi yaad rahi
aur kisse milta main rote hue
ki aaj aansoon se mulakat hui

Tuesday, July 24, 2012

aaj hi subha hui

kaisi awaaz suni,
kya fariyad hui
apni mohobat mein
fikr bekaar hui

nazar aayi nahin
aankh talabgar hui
anjaan umeed mein
inse kya khata hui

brahm unka raha
raah pe nigah rahi
aaj aise din guzra
raat bezaar hui

aahat aayi magar
dhund se chupi rahi
umeed jagi rahi
milke puri hui

kaisa khwab tha
unse mulakat hui
band aankhon mein
unse baat hui

jag kar lagta hai
baat baki rahi
char kadam ka fasla
ek umr ki duri hui

do kadam badaye
do ki guhaar hui
in kaanon mein
aur kaise bahar hui

haath tham ke
bin kahe baat hui
jo bachi umeed thi
na_umeedi ke par hui

kyon na aaye milne
issi ki darkaar rahi
aaj mil gaye tum
baas aaj hi subah hui

Sunday, July 22, 2012

baagh ki dastaan

mujhe mere hone ka gumaan nahin
jab hrra tha tab sab aye yahin
mujh mein patiyaan khil aayi aur
phool-patiyaan tod bikhrayi kahin
pakshiyon ne aawaz se chehkaya mujhe
bachoon ne patiyon pe khela yahin
aur kabhi aate the milne kai dil
saath rehte kuch baat karte nahin
char kadam chalte the saath dost
aur phir beith batiyate the yahin
par kya hua us daur ko kya jaanoon
aaj yahan ab koi dikhta hi nahin

mujhe mere hone ka gumaan nahin
ab dasht sa rahta hoon main yahin
ek pata bhi mujh mein bacha nahin
koi saath dhool to le jaata nahin
awaaz aaye to koi kaise aaye yahan
veerane mein koi parinda ab nahin
ab hrra bachha koi mera hissa nahin
mere saath to ab koi khelta nahin
barsoon hue do dhadkte dil dekhe hue
ki koi ankhoon mein sharmata nahin
saath kya hota hai main kya janoon
dostoon ke quafile ab dikhte nahin
par kab kab tak rahega yeh daur ab
kal to phool patiyan khilengi yahin

Friday, July 20, 2012

hum kabhi to

hum kabhi to bin parde ke ro lete
man halka hota to shayad jee lete
roz dekhte hain woh muskurate hue
gumnasheen hote to saath ro lete

hum kis_se kehte gum-e-arzoo apni
woh humnasheen hote to samajh lete
kya hai bilakhti zindagi mein rakha
woh gumnisaar hote to hansa dete

hum kaise umeed karte sang-dil se
woh dil hote to kabke samaa lete
meri kisi arzoo ki kya qudr jaanib
dilruba hote to saath nibha lete

kuch raste mein aaisa aaya to nahin
phir kaise hum unhe haath bada lete
aaj char kadam bhi saath na de sake
woh humsafar hote to haath bada lete

hum dard-e-dil liye firte hain aawara
Kapil kaise unse awaargi chupa lete
na thi koi umeed dil-e-aashna ki to
phir kaise is shahar ashna bana lete

Thursday, July 19, 2012

aaj phir daur quatl-o-gar ka aaya

kuch hasratoon ko aadmi dafna aaya
lautate hue shamshir bhi utha laya
dikha na use fir samane koi dost
woh kitnoon ke lahu se naha aaya
aaj phir daur quatl-o-gar ka aaya

sunaii deti hai cheekhian har taraf
ki aaj aadmi khud ko hi maar aaya
jaise kaata hai badte haath ko usne
waise woh aaj apna zameer beech aaya
aaj phir daur quatl-o-gar ka aaya

masumiyat ka hua hai khoon aaj dekho
woh har maasum ko bilakhta chod aaya
jis baache ko zindagi kya nahin pata
us baache ke haath bhi lal kar aaya
haif! aaj phir daur quatl-o-gar ka aaya

woh kaise baat karta hai sukoon ki
jo baase shahar ko dasht kar aaya
kaise jee paayega woh tanha yahan
woh aapne hum_kadam ko maar aaya
aaj phir daur quatl-o-gar ka aaya

Tuesday, July 17, 2012

har baar sunta hoon

har baar sunta hoon kisi ko sukuun nahin milta
main zamana hoon mujhe apna hashr nahin dikhta

chand khawhishein aadmi ki na mil payi to kya
is baat pe yahan aadmi aadmi ki nahin sunata

main kaise rokuun khud ko ab khud ke quatl se
yahan to koi meri zara bhi parwah nahin karta

quatl-o-gairaat ka daur dekh chuka hoon main
tum batao inse bura raqeeb mujhe aur kya milta

main dekhta hoon bebas yun khud ko lutate hue
is_se bura kya hoga ki main khud ko nahin rokta

main kyon karoon parwah is badate hue hujoom ka
main zamana hoon, main ab kissi ki nahin sunta

Monday, July 16, 2012

kyon aata hai baatoon mein

kyon aata hai baatoon mein phir woh naam uska
mere ghar se uske ghar ke safar mein peigam uska

char din se chal raha hoon usi ke ghar ki aur
kaun jaane kyon dur hai itna yeh makaan uska

koshish karta hoon raat sone ki jab bhi main
nahin deta hai aankhein mundane woh khyal uska

bechain ho kar bhi raat nahin bad sakta aage
kitani andheri galiyon se nikalta rasta uska

char kadam shayad chal paya hoon char roz mein
kinhi tang galiyon se guzarkar milta makaan uska

mere saath chalne ki zid na karoo musafir tum
do bashindon ke liye nahin bana hai ghar uska

kal ka din shayad mujhe uski gali par la dega
kaise jeunga jab nahin yaadoon mein satana uska

milkar hi poochunga jeene ki ek nayi wajah usse
agar milne pe Kapil jeene dega muskurana uska

aaj bhi zahan mein taza hai woh ruksaar mere to
kya kahein is jahan kahan noor hai jaise uska

Sunday, July 15, 2012

tham ke chalna

dard dil mein,
inteezar ankhoon mein,
umeed ka daman
tham ke chalna

main pukarta hooon,
dil-e-arzoo ko
tum bas yeh haath
tham ke chalna

kahin hote nahin raste
kabhi milti nahin manzil
par himat bandhaye rakhna

dostoon ke hujoom na sahi
ho dushmanoon ki dewar sahi
par tum tanha hi aage badna

kya kehta hai zamana
kya kehti hai fiza
iski parwa na kar
tum aage kadam rakhna

aaye koi mushkil
sataye koi uljhan
tum umeed ka daman
tham ke chalna

sukoon ankhoon ko milta nahin
karar dil ka kahin rehta nahin
tum dil mein phir bhi umeed rakhna

milenge hum phir
ek din hum bhi
is ashnaa mein yunhi
bas tum kahin na rukna

khata ankhoon ki thi
bayan karti zuban thi
tum us ek pal ko
tham ke chalna

woh char din the
jab bas hum tum the
tum un lamhoon ko
tham ke chalna

Saturday, July 14, 2012

dhuan dhuan

dhuan dhuan hai manzil,
bas apna hai yeh rasta,
chuta peeche kitna kuch
ab un sab se kya vasta

ab dhuan dhuan hai fiza
pukarta mujhe yeh rasta
manzil ki ab fikr kahan
saathi kahan hai tu bata

kuch kadamoon pe zindagi
kahan khadi mujhko bata
kahin se koi awaaz nahin
aur har taraf hai rasta

kis aur jaon, kya janoon
mujhse baat kar aye rasta
munh pher khada hai woh
usko mujhse ab kya vasta

musafir main hoon nahin
in carvaan se kya vasata
koi mujhe pechanta nahin
kaise kare bayaan dastaan

main kaun hoon, kahan hoon
is baat ko hoon talashta
kaun si thi manzil meri
mujhe is sab se kya vasta

aage bhi ek raah padi hai
bas yeh rasta mujhe pukarta
kyon rokta mujhe jaane se tu
mujhe yahan kaun pechanta

bas dhuan dhuan yaad hai
aur dhuan dhuan hai rasta
dhuan dhuan aur char kadam
saathi kahan hai yeh bata

Friday, July 13, 2012

unke siwa kuch bhi nahin

in patharii aankhoon ko abhi bhi chain nahin
in_mein sirf ek inteezar hai koi aaram nahin

ek khat aaya to unhe iska bhi ehtaram nahin
sirf peigaam-e-yaar hai, deedar-e-yaar nahin

khat ke har harq pe dard milla, sukoon nahin
is dard-e-dil ki unke siva koi marham nahin

jawaab mein chaak-jigar apna, koi harq nahin
unke inteezar mein kambhakt marta bhi nahin

besharam aansoon hain mere ki rukte hi nahin
duniya dekhti rehi, inhe parwah kisiki nahin

main aaj zinda bas unse apni sansoon se nahin
mere jeene ki wajah unke siwa kuch bhi nahin

Thursday, July 12, 2012

der aaya durust aaya

kabhi waqt, kabhi bewaqt, tera khayal aaya
jalwa-e-balab liye bas ek tu hi na aaya,

beetiey hain kai sawan tere inteezar main
sawan phuhar to laya par tera khat na aaya

ab kis_se kehta main woh haal-e-dil apna
jab ek lamha kehkar tu umrr bhar na aaya

yeh umrr guzari hai yunhi kuch tanha aapni
tu ab jalwa-e-husn leke aaya to kyon aaya

dekh use aaj bhi kashish dikhti rukh mein
phir kaha husn se ki der aaya durust aaya

Monday, July 9, 2012

aaj zorr se barsa hai badal

kuch zulf sa kala hai badal,
har taraf chaaya hai badal
samandar sa ghera yeh badal
aaj zorr se barsa hai badal

kahin bijali chamki nahin
ki zorr se garja hai badal
pyase pyass ko bhuja rahe
aaj zorr se barsa hai badal

jab sab akhiyaan taras gayi
tab dikha humko yeh badal
sukhi dharti phat gayi hai
aaj zorr se barsa hai badal

har koi yahan sar chupa raha
phir aaj neeche uttra badal
pakshi bhi aasra le chuke ki
aaj zorr se barsa hai badal

sirf umeed ki trishna liye
nachta hai morr dekh badal
machate dekh kar hi shayad
aaj zorr se barsa hai badal

Saturday, July 7, 2012

mere chehre pe

mere chehre pe aaj ek muskurahat aayi
unki surat dikhi aur fiza mahek aayi

ek baar hi jo milli woh nazar unki
meri sansoon mein nayi rangat aayi

lagta hai aaj dekh ke yeh surat unki
nayi si subha aaj naha ke samane aayi

aye aftaab na kar jaldi tu badane ki
aaj ek nayi si subha ki aaj ban aayi

kyon nahin sunta bata yeh araaz meri
ek lamhe mein bata kya baat ban aayi

ruk kar is nazare ko dekh to loon
ab aagle hi din phir yeh subha aayi

tamanna ek thi hazar puri kar di
tere saath aaj yeh kaisi fiza aayi

aur kya mangata main is zindagi se
ek aah bhari aur duniya chali aayi

Thursday, July 5, 2012

aansoon

unhe dekh ke ek baar ke liye ruk gaya tha aansoon
fir to ajab si khushi thi ki chalak aaya tha aansoon

zindagi mein khushi milti hai kai alag shakal lekar
kabhi ek tamanna ke dikh jaane pe beh aaya tha aansoon

main mehroom raha kissi bhi hasratoon ki manzil se aur
ek arzoon ke mil jaane pe yunhi nikal aaya tha aansoon

javan raat ke tasavur mein kuch khalish hi aisi thi
bewajah hi in nam ankhoon se nikal aaya tha aansoon

main guzara hoon pehle bhi kissi aur carvaan ke saath
yeh wohi shahar, wohi gali jahan tapka aaya tha aansoon

dard dasht mein nahin, dasht ke veeran ahsaas mein hai
kabhi is dasht mein tanha reh kar gum gaya tha aansoon

Wednesday, July 4, 2012

zindagi mein har modd pe

zindagi mein har modd pe log to bahut milte hain
khairiyat hai ki dard ke badal kuch hi se milte hain

tanhai koi arzoo nahin hoti kissi bhi zinda dil ki
phir bhi hairaan hoon woh kaise tanha khush rehte hain

char kadaam chalne ko kahoon to aise dekhte hain
jaise khata kar di ho maine aur sazaa woh soochte hain

hain shaks kai un jaise shayad dikhte fiza mein
yeh diloon mein jalte shoale hain, kum hi milte hain

bahut suna tha yahan ke bashindoon ke baare mein
hum to jis-jis se milte hai woh kuch tote se dikhte hain

kaii hastiyoon ke girbaan pakad ke dekhe hain
bahut to bahar se kuch aur andhar khokle nikalte hain

main pukaroon kisse poochta phir unhi se hoon
woh meri hasti ki is laachari pe phir zor se hanste hain

baras baras

kuch humari bhi sun le araaz
ab ki baar to tu zor se baras

patharai ankh paunchane baras
kuch ankhiyoon ke saath baras

yeh akhikyaan gayi taras taras
ae megha ab to tu garaj baras

sawan mein baras bhadoon baras
mausam hai jaata ab to baras

is baar kuch aise gajab baras
jaise na barasa kai baras baras

sukhi dharti pe tu jaldi baras
pyasi nadiyaan hain baras baras

sukhe hue in khaliyan pe baras
kuch sulagate sholoon pe baras

de ja tu phir se jeevan ka ras
aye zindagi boond ban ke baras

Tuesday, July 3, 2012

jaane kis umeed mein

jaane kis umeed mein na soye raat bhar
be_wajah khwaboon se mehroom rahe raat bhar

shayad sab tham gaya tha chandni ke saath
aur hum bekaar chand ko dhoondate rahe raat bhar

na waqt ka hosh, na waqt ke hone ka yakin
is waqt ke ahsaas se bhi hum dur rahe raat bhar

yeh dil shayad roz ki tarah hi dhadka hoga
par hum gum kissi aur dil ke ahsaas mein raat bhar

shayad mil raha tha dil bin kuch kahe un_se
mere dil ko jaane kyon yehi dhoka raha raat bhar

subha hui to laga yeh subha kyon ho gayi
humnein to ek palak bhi na jhapkai raat bhar

Monday, July 2, 2012

kuch khamosh lamhoon ki

kuch khamosh lamhoon ki gunjaati baat rahi,
bas sirhane ki woh baatein humein yaad rahi

milte hain musafir roz chand se guzarte hue
aur humein to woh tanha chandani yaad rahi

guzarii hain raatein yunhi takte aye aasmaan
kya batayein char ghadi ki neend saugat rahi

kissi umeed se na dekha humnein unke rukh ko
lau bujhi, raat gayi par woh mulakat yaad rahi

chand lamhoon ki thi woh baat jo ho na saki
kaampate hootoon ki woh uljhan bas saath rahi

aaj phir yaadoon ki barish mein bheege hain
gile man mein bhi woh judai hi humein yaad rahi

do lamhoon bad rakha tha sar seene pe rote hue
sawaan ki woh bheegi raat bas apne saath rahi

kuch khamosh lamhoon ki gunjaati baat rahi,
bas sirhane ki woh baatein humein yaad rahi

Sunday, July 1, 2012

dili itni bedard nahi

dili itni bedard nahi mujhe tadpta chod de
yeh to kuch apni hi kismat thi jo saath na de

main mehroom raha iski kushi se na jaane kyon
dawa-e-aks hai ke phir jeene ka mauka de de

na roak mujhe char kadaam chalne se aye dost
shayaad yeh lamhe woh pehle si zindagi de de

tamashaii bani rahi hai duniya har modd par
shayad koi be_jaan sa modd he zindagi de de

nikalaa hoon phir unhi puarni si galiyoon se
kahin koi humraaz milkar woh bhuli yaad de de

jab kabhi umeed nahin rahi thi jeene ki mujhe
shayad na_umeedii se nikalne ki phir dawa de de

char hi kadam chalna mujhe aye shahar yahan
ab ki baar Kapil ko tu jeene ka jasbaa de de

kyon mere hone pe

kyon mere hone pe hai ghabrata koi
jhuki aankhoon se hai sharmata koi
maine to kissi se kuch kaha hi nahin
phir kyon mujhse nazar churata koi

bula kar khud mujhe is mehfil mein
mehfil mein tanha chodd jaata koi
har taraf dekhta hoon main yahan
milta yahan bankar ajnabi har koi

hashr aisa raha mehfil se nakal kar
jaise shahar mein ho ajnabi har koi
pukaroon kaise main us ko yahan pe
kaisi jagah ke lagta ek sa har koi

main bhatak raha tha galiyoon mein
aur rasta naya hi batata har koi
mujhe jaana bas ussi ke ghar ki aur
likhta naam uska ghar pe har koi

bahut be_abru hokar chale hai hum
ki is hashr pe taane deta har koi
na pukar mujhe phir se mehfil mein
yahan meri haisiyat janata har koi