Tuesday, July 17, 2012

har baar sunta hoon

har baar sunta hoon kisi ko sukuun nahin milta
main zamana hoon mujhe apna hashr nahin dikhta

chand khawhishein aadmi ki na mil payi to kya
is baat pe yahan aadmi aadmi ki nahin sunata

main kaise rokuun khud ko ab khud ke quatl se
yahan to koi meri zara bhi parwah nahin karta

quatl-o-gairaat ka daur dekh chuka hoon main
tum batao inse bura raqeeb mujhe aur kya milta

main dekhta hoon bebas yun khud ko lutate hue
is_se bura kya hoga ki main khud ko nahin rokta

main kyon karoon parwah is badate hue hujoom ka
main zamana hoon, main ab kissi ki nahin sunta

No comments:

Post a Comment