Sunday, October 28, 2012

mufalis si hoti hai

mufalis si hoti hai likhne waloon ki zindagi,
hum nahin bikate to hoti thokaroon mein zindagi

na de koi tauhmat mujhe aye shahar bikane ki
sokhe patoon ke beechone pe nahin katati zindagi

kitana begairat hai aye shahar dekh khud ko
roz sota hai aur main soojaon to hai biki zindagi

dekh liya hai tera har chehra to maine aaj
likhne ko keh, na choddi tune pad_ne ki zindagi

pandit kazi bhi khafa ke ab likhta koi nahin
tu bata agar hum chodd de to kyon begairat zindagi

char alfaaz the 'Kapil' aur sab bik gaye aaj
ab bin alfaaz likhe hi kategi yeh meri zindagi

Saturday, October 27, 2012

kuch aur hi padta hoon

kuch aur hi padta hoon, kuch aur hi likhta hoon
is raat ke aaghosh mein main khud ko dhoondta hoon

na de awaaz koi in shaher ke andheroon mein mujhe
main in andhere veeranoon mein khud ko dekhta hoon

bahut dekhe hain mukhotay maine tere aye shahar
kaun dost, kaun hai dushman main yehi sochta hoon

aye zamaana, maine to dushmani ki nahin kisi_se
fir kyon main yahan in bashindoon se ulajhta hoon

ab hai rehna mujhe yahan par to faqat chaar roz
main musafir hoon yahan ek carvaan dhoondta hoon

kahan baste hain carvaan shaheroon mein 'Kapil'
kyon apne dil ko main ek jhoota dilasa deta hoon

bahut mushkil se jeeta hoon

bahut mushkil se jeeta hoon, aur meri ajmaish na le
aaj zinda hoon tu is baat ki mujh_hi se gawahi na le

faqat chand lamhoon ka khel baacha hai paas to apne
kaise dhoonde hain yeh lamhen is baat ki bahi na le

hisaab rakha nahin hai maine teri kissi bhi baat ka
aaj tu mujhse meri chahat ka koi naya hisaab na le

main tere na milane ki shirq kar raha hoon kabhi se
is ibaadat-e-ishq se tu khud_ko khuda samajh na le

iqraar karta hoon be_panah mohobaat mujhe tujhi se
mere is iqraar pe 'Kapil' dewangi ki shauharat na le

Thursday, October 25, 2012

kuch ankhoon mein kashish baaki hai

kuch ankhoon mein kashish baaki hai
na jaa ri sajaari meri baat baaki hai

aur koi bahana na mila to yaad aaya
tere waade ki woh ek raat baaki hai

aa beith paas sun fir mujhse tu ki
woh khwaboon mein ki baat baaki hai

lagta barsoon hue hain tujhse mile
aa dekh meri abhi saans baaki hai

dekh do din baad kya haal hua hai
is but mein ab kitani jaan baaki hai

de haath woh apna utha le mujh ko
ke Kapil, ab bas teri aas baaki hai

Wednesday, October 24, 2012

tere chehre pe

tere chehre pe jab tak mere dhyan raha
main kahan tha is baat se anjaan raha

hue mudat ke tu nahin milta hai mujhko
phir bhi mujhe bas tera inteezar raha

chod aaya hoon har kuche pe pata apna
jahan-jahan mujhe tera ye ahsaas raha

bas ek baar khat mein usne naam likha
jaane kab tak woh kagaz yun nam raha

aaj bhi sahejta hoon us fepe ko aise
jaise is mein koi naya peigaam raha

Kapil aur kaise kehta aajao milne tum
ke ek aur baar milne ka inteezar raha

Sunday, October 21, 2012

meri tanhai mein aake

meri tanhai mein aake na aawaz de mujhko
kahin aisa na ho main tanha na reh paaon
nahin milega mujhe yeh jaanata hoon main
toh pukaar ke na ja, ke tarasta reh jaaon

aajmaish aisi na kar aye gum-nashin mere
ke main bas yahin par tut ke bikhar jaaon
de na dilasa koi jhooti tu apni yun mujko
ki inteezar ke siwa usmein kuch na paaon

hai umeed teri mujhe shayad aaj bhi kahin
tere begair isi umeed pe zindagi jii jaaon
na le mere sabrr ka aur imtihaan aye dil
chod de ab ke main kuch to zinda reh paaon

tadap raha hoon main kabse tere hi liye
tu bata main is haal mein aur kahan jaaon
khada teri hii gali mein kabse hai Kapil
is kuche ke siwa main chain kahan paaon

Saturday, October 20, 2012

tere shahar mein yeh kaisi rasam-adayegii hai

tere shahar mein yeh kaisi rasam-adayegii hai
har shaks milta hai par lagta woh saudaii hai

bahut dhoonda maine ek hum-nasheen yahan
par jaane kyon har dil hi karta be-wafaii hai

char dewar mein band main kab thak beth-ta
bahar dekhta hoon rukhi si mauj se shanasai hai

nahin dikhta yahan kahin koi qatraa boond ka
aisa kyon hai ki fiza mein sukhi si saddaii hai

hain daud mein sab bashinde yahan par magar
kahan ki daud, yeh baat khud_hi se chupai hai

khada hoon teri talash mein ek mod pe aakar
kaun jane ab kis aur tu hai, kis aur judaii hai

de awaaz bhi tu agar to Kapil ko aaj de kaise
tere shahar mein awaaz dene ki bhi manaii hai

Friday, October 19, 2012

teri talash mein khudko aur tanha paya

teri talash mein khudko aur tanha paya
aye dil-e-barbaad bata unse kya paya

thi na manzil meri tu phir bhi ae dil
tu kya jaane dil ne inteezar se kya paya

hai yeh mohobaat kis ajab marz ka naam
bata aye dil tune dil laga kar kya paya

nahin thi dushmaani is zamaane se kabhi
aaj zamaane ko rusva kar tune kya paya

hoon tanha aaj bheed mein tere bigair
bata tune bhi mujhe sata ke kya paya

kyon chupata hai tu dard apna mujhse
yeh dard ankhoon mein kab chup paya

main teri umeed mein hoon aaj bhi zinda
til-til mar kar bhi tere bin na mar paya

dekh kya haalat hui meri yahan Kapil
ki dasht mein koi saher na mil paya

tarasta tha roz main us aftaab ke liye
aaj dhalta hua sa woh dur nazaar aaya

teri talash mein khudko aur tanha paya
aye dil-e-barbaad bata unse kya paya

bigade rukh pe

bigade rukh pe aaj kyon satata hai zamana humko
nahin aata mohoobat mein haal-e-dil chupana humko

do ghadi mili thi nigah kabhi ek nazaneen se apni
ke phir nahin yaad raha palak jhapkana bhi humko

kya batayein aisa hua us ruksaar ka asar hum par
ke nahin aaya kabhi ek nazar utha ke chalna humko

woh bedard chala gaya chodd kar humein wahan aise
kab din dhala raat hui, kuch khabar nahin humko

aaj bhi guzar jaata hoon jab kabhi usi mod se phir
bas yaad aata hai wohi thehra hua sa ek lamha humko

dekho aaj phir jaa rahein hain woh phir samane se
koi to kehdo ke naqaab hata dikha de jalwa humko

parda-nasheen se koi poocho ki kya hai marzi uski
kya kare Kapil, nahin aata uske siwa khayal humko

Monday, October 15, 2012

mil jaaye zindagi

kabhi hansati, kabhi rulati hai zindagi
har lamhe mein naya rang dikhati zindagi
kuch bitey lamhoon ka malaal karti zindagi
aaj chehre pe chehra chadati hai zindagi

mujhe shahar dar shahar duadati zindagi
har mod pe naye log milati yeh zindagi
yun betahasha chaha hai maine to isse
aur apni chahat har dum lutati zindagi

main ruth jaaon to mujhe manati zindagi
sarhaane par mere baal sehlati zindagi
mujhe har dum seene lagati yeh zindagi
aur fir ek roz ruth ke jaati woh zindagi

jitana manao par nahin manati zindagi
aaj ek bada sa zakhm deke jaati zindagi
hamesha har ek mod pe saath deke bhi
ek mod pe aake yunhi chod jaati zindagi

aaj awaargi mein hoon talashta zindagi
kya mil payegi mujhe do pal ki zindagi
yehi soochta hoon ab main kabse yunhi
kahin do pal to 'Kapil' mil jaye zindagi

Sunday, October 14, 2012

woh char din unka

woh char din unka milne aana, woh baat-baat par muskurana
aye dil chal sambhal sambhal ke, kahin tu hi na bahek jaana

aaj is zameen pe chamak hai, aye aftaab tu na sharma jaana
yahan bas unka jalwa-e-husn hai, nazar tu unpe na ruk jaana

ab bahar bhi sooch rahi hai, yahan kaun jaanega uska aana
yeh unka aangan hai, yahan kab hua hai kissi bahar ka jaana

dil-e-bekhabar dekh, kya hashr karta hai unka khwab mein aana
kaise jee payega Kapil jab ho jayega us dil-nashin se samana

Saturday, October 13, 2012

tu dil-e-ashna chod gaya

tu dil-e-ashna chod gaya, is_se bura kya hoga
kya hai teri marzi bata, mujhe aur gum na hoga

jo kabhi chirag-e-dil tha, aaj monh mod gaya hai,
dil-e-aatish se to poocho ab jalne se kya hoga

char din the paas wo hasrat mein guzar gaye hain
aye dil ab guzare waqt ka malal karne se kya hoga

aye zamana dekh le tu, hum to guzar chuke hain,
kyon dekhooon tujhe main, ab mudane se kya hoga

kuch nahin tha paas, baachi aas liye the bethe,
jo tu na kuch kar saka to Kapil aas se kya hoga

Friday, October 12, 2012

ankhoon se ashq chupana

ankhoon se ashq chupana kuch aansan hota hai
par sisakte dil ko hansaana mushkil hota hai
char din se dur to saan lena saza hota hai
kaise bataoon, tum bin jeena kaisa hota hai

darwaazon mein rona, bahar hansna hota hai
bhaari mann ka bhoj uthana mushkil hota hai
raah wohi jis_pe yaadon ka pulinda rehta hai
batao tum bin yaad mein jeena kaisa hota hai

jab dekhna har ghadi raah ko dhooka hota hai
har aahat pe dil phir umeed kyon rakhta hai
aas bandhti hai roz teri kuch aisa lagta hai
jab nahin aate tum to jeena bezaar hota hai

kaisi hai tanhai ke chand bhi ruswa rehta hai
khamosh si dadkhanoon mein dil chup rehta ha
ab roz yun tanha sirhane pe sar rakhna hota hai
bheed ho jitani par dil wahan sulagta rehta hai

Wednesday, October 3, 2012

aaj phir ussi ghar laut aaya mann

aaj phir ussi ghar laut aaya mann

jahan kuch diwar mein silan thi
chat bhi kahin kahin se gum thi
sitaron ki us chatt ke neeche
aaj jaane kya soochta hai mann

tapakati boond bhigo rahi thi
bistar ke kinare beh rahi thi
us sili si deewar pe jaa kar
aaj kyon bheeg aaya phir mann

woh barish jo baras rahi thi
aur upar_ki chat tapak rahi thi
ki tabhi garaj ke badal bola
aaj kyon saham gaya yeh mann

kahin tamanna paas nahin thi
in armanoon ki bhent chadi thi
jo gum gayi woh meri sansein thi
aaj shayad use hi talashta mann

samane wohi tuti munder khadi thi
waise hi ye deewarein silli thi
maine bhi kabhi jee zindagi thi
aaj phir ussi ghar laut aaya mann