Sunday, December 30, 2012

aadmi, doosre aadmi ke baad

kyon uthata hai dhuan aaj aag bhujne ka baad
woh dekh sar jhukaye khada aadmi, doosre aadmi ke baad

bikhri padi thi izzat kissi mod pe to yun_hi
aur tamashi bana khada tha wahan aadmi, aadmi ke baad

siskiyaan goonj rahi hain har sadak se uski
aur bhagta fir raha hai yahan aadmi doosre aadmi ke baad

jeene ki ek umeed thi jo usse mil na saaki
issi liye shayad sar jhukaye khada aadmi, aadmi ke baad

band sadkoon mein hukumraan chupke beith gaye
are neta kaise chunta hai tujhe aadmi, doosre aadmi ke baad

band ho gayi cheekh-cheekh woh aawaaz to aaj
aur behra ban ke khada raha wahan aadmi, aadmi ke baad

bahut tha guruur use apne aadmi hone pe magar
aaj sharamsaar hua hai woh ek aadmi ki harkaar ke baad

kyon uthata hai dhuan aaj aag bhujne ka baad
woh dekh sar jhukaye khada aadmi, doosre aadmi ke baad

Sunday, December 23, 2012

...na dekh (a take on what happened today)

hai awaaz aayi kis ki, kis jagah se na dekh
yeh shahar-e-barbaad hai, tu isse na dekh

bahut jee liya tune ab dar bahar jaane se
yahan haivaan hi baste hain, yahan na dekh

hai gungoon ki basti, chupi kahin andar
bahar lathiyoon ki barssat hai, na dekh

main khada hoon hairaan pareshaan magar,
butt banne_wale pathar hain, unhe na dekh

hai umeed kaisi hasrat-e-butt-e-nakashi se
yeh apne guroor mein hain, us aur na dekh

unchi deewarein hain, aur unche darwaaze
band khidki se cheekh nahin sunte, na dekh

kyon fainkta hai pathar tu, us aur bata
sheeshe sab lathi se ghirre hain, na dekh

woh kya jaane takleef, tere jeene ka dard
kaise umeed rakhta hai wo sunege, na dekh

jiske liye biche hue hai kaleen roz naye
wo pathar ki sadak pe kya ayenge, na dekh

din beeta raat aayi, aur koi umeed nahin
aaj phir khoon hua, ek beiti gayi, na dekh

yeh teri ki karistani hai, teri hi galti
jise chuna tune wo badal gaya, usko na dekh

Friday, December 14, 2012

kuch hawa bhi hai aaj sard si

ek chees uthi purane dard ki
kuch hawa bhi hai aaj sard si

lab thar-tahara rahein hain ki
zubaan bhi hai aaj khamosh si

aankhon ne phir dekha unhe
par abhi diloon mein duri si

kuch kadam ka hai fansala
beech tamannaein dariya si

nahin jaati hai chod kyon
woh umaang adheer beetaab si

hai udaasi mujh mein aashna
kyon kuch mere hi ek aks si

udhed bun hai mujh mein inki
jaise jang-e-quatl-o-gaar si

mit gaye ye sabhi butt yahan
hai maut bhi ab khamosh si

na dikha chehra-e-saraab ki
kuch hawa bhi hai aaj sard si

bahut raat baad aaj need aayi

aaj chand ne chandani failayi
bahut raat baad aaj need aayi

dar raha andhere se kuch yun
saher tak aankh na lag paayi

raha intezaar aftaab ka aise
jaise uspe apni jaan ban aayi

bahut chahaa tum saath ho par
pehlo mein behthi rahi tanhai

kuch khwaab rahe undekhe aur
andhere ki haqiqat nazar aayi

hawa ki dastak pe laga tum ho
bahar koi surat na nazar aayi

raha brahm itne roz yehi dil
aur dil-i-tamanna na mil payi

aaj nikala hai chand phir se
aaj phir teri surat nazar aayi

aaj chand ne chandani failayi
bahut raat baad aaj need aayi

Friday, December 7, 2012

waqt-e-sahera ka safar

waqt-e-sahera ka safar itna asaan na tha
kuch hanseen laherein kuch toofanoon ka basera tha

chand kadamoon ke fansale rahe darmiyaan
tab_hi maujoon ne mera woh aashiyaan udheera tha

phir se banaya tha wahin ek ghar meine
par kambhakht ek lahar ne use reet mein milana tha

bahut koshish ki wahan fir ek ashana ho
sab ki dushmani thi ki usi ashiyaan se guzarna tha

ab jaoon to waqt se bhaag kar jaoon kahan
mujhe is waqt ke thapedoon ko abhi aur sehna tha

kuch baaki hai ranjish is waqt se meri abhi
warna kaun Kehta 'Kapil' tujhe yahan aur jeena tha

Thursday, December 6, 2012

tujhse dur rehkar

tujhse dur rehkar meri koi hasti nahin
tanha yeh bedard zindagi, zindagi nahin

yaad aati hai, har pal unhi lamhoon ki
jin mein saath mere, tere siwa koi nahin

aaj aalam hai, saansein ahsaan karti hain
jaise inki mujhse koi bhi pehchaan nahin

hoon intezaar mein har dum, dum bhar kar
kambhakht ziddi yeh dum bhi nikalta nahin

ab dhundali si yaad aati woh surat teri
par zahan mein uske siwa kuch bhi nahin

lagta hai tum khade ho us parde ke peeche
guhar par bhi kyon tum nakab hatate nahin

hai dhal raha aftaab badd raha shab ki aur
tum mujhe kyon apni sahar dikhate hi nahin

hai iltija 'Kapil' ki tujhse to yeh aakhiri
ki mera khud pe bhi ab koi ikhtiyaar nahin

shahar-e-wafa ki...

shahar-e-wafa ki bewafai ka aalam na poocho
is dil ke fir tootne ki tum wajah na poocho

woh to hai ek adhani jaan aur tamashai kai
tum mujhse us tamashe ki jag-hasai na poocho

hai chand lamhoon ka mail fir judaa zindagi
is zindagi ki mujhse koi aur kahani na poocho

hoon beitha main sochta kisi mod pe ae shahar
mujhse mere dil ki barbaad haalat na poocho

ek kadam pe tu hai aur ek pe dasht-e-veerann
is dasht se agale shahar ka pata na poocho

bahut hua 'Kapil' yahan par maatam-e-dosti
dafn hue huoon ka is kabr se naam na poocho

yeh gumnaam safar hai, gumnaam guzaar jayega
is safar meri zindagi meri zubani na poocho

Wednesday, December 5, 2012

ae dil-e-beqraar

ae dil-e-beqaraar unhe dekh khud pe ikhtiyaar rakhna
woh misaal-e-husn-e-lajawaab hain, kuch khayal rakhna

surkh laal, khil rahi hai har kali us rukhsaar par
ye nazuki-gulaab ki hai, in laboon ko sambhale rehna

khatam hoti nahin khwahish deedar-e-chasham ki unke
yahan gehra samandar hai, soach ke in_mein garq hona

hai aayi awaaz unki kahan se aaj in veeranoon mein
yeh gunjaati vadiyaan hain, peecha sooch ke karna


dekha tha unhe bas ek baar to haal yeh hai 'Kapil'
mil jaayein to kahan dil aur kaise aaye dil chaina

Saturday, December 1, 2012

bahut dur faila hai

bahut dur faila hai is shahar afsana tera
jo bhi milta hai yahan milta diwana tera

jis kisi se poocho woh ussi aur jaata hai
jis taraf hai basaya tune woh majma tera

poocha sabse batao kya hai jalwa-e-shahar
par har shaqs ki zabaan pe bas jalwa tera

do ghadi baat ki maine yahan ek ajnaabi se
aur uski har baat mein aaya zikr hai tera

main kaise kehdoon usko na ched ae aatish
wo pal mein jaan jayega rishta mera-tera

nazar bachaa sabse chal raha hoon 'Kapil'
kahin to miljayega mujhko woh makaan tera