Tuesday, January 31, 2012

mere aashiyane mein

mere aashiyane mein na koi hasratein baachi hain
main zinda hoon par mere koi khwab hi nahin hain

kyon rokata hai woh mujhe samandar mein dubane se
kashtiyaan kai par kissi mein baadbaan nahin hain

kyon pukaratein hai mujhko aaj woh dur ke toofaan
sunai dete hain par abhi is Ravish pe nahin hain

nazar dhoondati hai kisko is bujhte zalzaale mein
yahan paani hi dikhta hai aur koi moti nahin hain

talaashta hoon mein phir kisse kinare ke farsh pe
jo beech samanar nahin, woh kinare pe kahan hain

dekh phir se un hasratoon ko main sooch raha hoon
yahan dasht mein saraab to kai par sehar nahin hain

Sunday, January 29, 2012

mere pehlu mein bethoo

mere pehlu mein bethoo tum ghadi do ghadi
aayi hai rut phirse aapne milan ki wahi
mere pehlu mein bethoo tum ghadi do ghadi

aaj rangat hai phooloon mein phir se wahi
o sajan mere sajan tum milne to aao sahi
tumhari raah dekhoon main kab se khadi
mere pehlu mein bethoo tum ghadi do ghadi

aye sajan aate ho tum jab bhi milne kabhi
khilte hain mere gulshan ke phool sabhi
hain sunaati aaj koyal bhi kook phir wahi
mere pehlu mein bethoo tum ghadi do ghadi

aaj dekhi aankhoon mein khushi phir wahi
dur se aate dekha hai kadmoon ko yahin
kyon chupe ho, satate ho tum aaj is ghadi
mere pehlu mein bethoo tum ghadi do ghadi

saamane aate ho tum phir kyon milte nahin
tum dil ban_ke dil mein phir rehte nahin
mere pehlu mein bethoo tum ghadi do ghadi
aayi hai rut phirse aapne milan ki wahi

mere pehlu mein bethoo tum ghadi do ghadi
aayi hai rut phirse aapne milan ki wahi
mere pehlu mein bethoo tum ghadi do ghadi

Saturday, January 28, 2012

kabhi rota hai

kabhi rota hai kabhi rulata hai
mujhe ashkoon mein dard deta hai
sukoon milta hai dekh kar usko
phir yeh dariya yunhi behta hai

nikal abr se har pal yun aata
bas aise hi jhalak dikhlata hai
kaise kahoon main usse rukne ko
woh waqt to bas chalta jaata hai

thaamta hoom jab bhi haath uska
woh nabz pakadne nahin deta hai
bachaa kar aapni har dhadkan ko
woh mujhe jeene nahin deta hai

kuch hai fiza mein uske ghar ki
sabhi ko aapna beemar karta hai
aur lagta pehra aapne makaan pe
kissi ko wahan nahin basata hai

hua hun uske

hua hun uske sitam se yun bais, ki ab kuch samajh nahin aata
main gum-e-hasti ko dhota hoon, aur woh haath lagane nahin aata

kab se daabe hain kandhe mere, ki mujhe khada hona nahin aata
jo hota khada agar main seedha, use munh chupana nahin aata

liye firta hoon main gaflat uski, ki mujhe ispe hansna nahin aata
samajhta kya hai woh khud ko, use to bayaan karna nahin aata

kiya hai kabse Kapil dil bhaari, dard-e-dil ko roana nahin aata
kya kahon aur uski is harkat pe, mujhe ab kuch samjh nahin aata

Friday, January 27, 2012

kabhi dard

kabhi dard, kabhi khushi milti hai
na jaane phir kyon khushi nahin dikhti
in be_wajah si hasraton ki daud mein
humein do ghadi ki hansi nahin dikhti

kashmakash sabki hai bas char din
pura hone ke baad maut bhi nahin dikhti
do din ke gham mein do din ka maatam
kissiko ek din bhi zindagi nahin dikhti

andhere hazar liye phirte hain sab
par har andhere ko roshini nahin dikhti
hai raat ka tasavur bhi bahut haseen
haif! har kissiko khawabgah nahin dikhti

malaal rehta hai hamesha kuch-na-kuch
har khwahish par duniya puri nahin dikhti
mil bhi jaaye agar khu-e-yaar to kya
jeene ki hasrat kissi mein kam nahin dikhti

Tuesday, January 24, 2012

milte hain khwahishon

milte hain khawhishon ke bejaan zarr humko
quatl-o-gairat hi milli hai butoon se humko

khaamosh masalahat ki ab kisse fikr dekho
zamzama hi sunaie deta hai ab yahan humko

zamaane ka lehajaa kitna hai alayda dekho
roz keh deta hai hans ke woh khar humko

fansala kitna khaak aur mujh mein dekho
zaalim kyon aur dafn karta hai woh humko

mudatoon se karta hasrat-e-gulistan dekho
aur milti Khaasaak-e-ashiyaan ki khaak humko

hai anjaan yeh aankhon ki dagar unki

hai anjaan yeh aankhon ki dagar unki
hum aaj kaise unke veerane pad lete
hain goonjate sanaate yahan dekho
hum kaise zaamane ke afsaae sun lete

khushnuma lagta hai yeh shehar sabko
hum bhi kabhi ismein khush ho lete
par manzoor unko humari khushi na thi
wagarna hum bhi zamaane se lad lete

deite hain wafa ka dard woh mujhko
warna kuch aur wafa hum kar lete
hai tohmaat deite ab jafa ki mujhko
janate to pehle jafa hum kar lete

be_parwah khudgarzi to kabhi ki nahin
bewafa ko janate to khudgarzi kar lete
humnein diya tha umr ka ek arsa unko
us arse mein shayad hum kuch ji lete

lagata hai tang kyon yeh mahal tera
kahin aur to hum ashiyaan basaa lete
jaan kar anjaan ko ab aur kya kahein
kisi aur ko to haqiqat bayan kar lete

kuch to kaha hoga

kuch to kaha hoga zamaane ne humse
aye shor, tune awaazein dabayi humse
ki aaj kuch pata nahin chalta humein
kaun khafa hai aur kiski wafa humse

hain raste to kai dikhte yahaan par
jaane kis taraf dur hai manzil humse
aaj chaloon ussi aur main aye dost
jis raste pe har koi kafa hai humse

na_umeedi ka daman kabhi thama na tha
par aaj kambhakht umeed khafa humse
dasht-e-sehera pe to pahunch gaye hai
magar yeh sehar aaj hai rutha humse

dard milta hai dard-e-wafa se hamesha
aaj kuch dur hai unki bhi wafa humse
bahut koshishein ki humnein aye dil
par har moed par woh milte khafa humse

Monday, January 23, 2012

hai kashmakash

hai kashmakash-e-hasti meri aap na aah bhariye
yeh duniya hai aankh band kar ke chalte rahiye

hota hai hubaab-e-naam-e-jahan kya khush kijiye
teri chaukhat hi to hai aadam kyon sar dhariye

mashakat se kamai aabroo hai kaise utaar dijiye
yeh aasmaani toofaan hai aab cheethade dekhiye

koi kahe toofaan ko na sahil pe baadbaan todiye
yeh samundar ki kashti hai kinare pe na duboiye

mit raha hai mera hubaab aaj jahan mein dekhiye
Kapil hum chalein kahin aur, aadam jashn kijiye

Sunday, January 22, 2012

Zindagi

kabhi hansti kabhi hansaati yeh zindagi
aaj pankh laga ke mujhe udaati zindagi
kabhi upar kabhi neche lati yeh zindagi
mujhe har aasman ke paar lagati zindagi
kabhi milti kabhi beechadti yeh zindagi
aise hi meethe dard dekar staati zindagi
kabhi rou_ti, kabhi roulati yeah zindagi
mere har dard ko seene se lagati zindagi

kai thokaron se sambhaalti mujhe zindagi
hamesha girne par dhool se uthati zindagi
kai haath badakar pakadti mujhe zindagi
dagmane par hamesha sambhaalti zindagi
kai rastoon ko hai dikhaati mujhe zindagi
har ek bhool-bhulaiya se nikalti zindagi
kai bar chod kar hai jaati mujhe zindagi
laut kar har bar waise hi mailti zindagi

kyon dur jaata hoon main tujhse zindagi
tere sawalon se kyon hoon lajawab zindagi
kyon haar jaata hoon main tujhse zindagi
aur jeet kar bhi tere hi paas aata zindagi
kyon khafa rehata hoon main tujhse zindagi
aur phir dhoondta hoon bas tujhe zindagi
kyon hai mujhe hone ka asar tujhse zindagi
tere bina kab saans le paata hoon zindagi
kyon hai dil ko pyaar bas tujhse zindagi
hai khumaar itna ki tu dhakan meri zindagi

aaj chali hai hawa

tapakati boondein hain barish si
barf pighali hai yahan moam si
kahin naadi badi hai dulhan si
aaj chali hai hawa kuch sard si

thithur rahein hain sab dekho
suni padi galiyan aaj dasht si
baithe band darwazon mein sab
aaj chali hai hawa kuch sard si

aaj hawa kaat rahi ab shool si
paton se pighlti barf shahed si
phir nikaltein hain pakshi dekho
aaj chali hai hawa kuch sard si

hain dhaake sar aur haath sabke
phir bhi jami ungaliyan barf si
jam rahein paer jooton se bhi
aaj chali hai hawa kuch sard si

kar rahein zid baache bahar ki
par fislan hai geele farsh si
nahin dikh rahi kahin pe zameen
aaj chali hai hawa kuch sard si

angeethiyan sulagti har jagah ab
aag iski bhi chuppe us aftaab si
ab dhund se dhaki khidiyan dekho
ki aaj chali hai hawa kuch sard si

Saturday, January 21, 2012

usne milkar bhi

usne milkar bhi na izhaar kiya
mohobaat ko aur lajawab kiya

us aatish-e-gul ne jalkar
khud ko bewajah raakh kiya
hain kuch_hi sulagate sholay
jin_hone mujhe barbaad kiya
main tadapta hoon aag mein
us dil ne isse betaab kiya

usne milkar bhi na izhaar kiya
mohobat ko aur lajawab kiya

main tadapta tha dur ho kar
pass akar usne barbaad kiya
paraye sholon ka khauf kaisa
mujhe to aapno ne khaak kiya
main haal-e-dil kisse kahoon
jab apne dil ne barbaad kiya

usne milkar bhi na izhaar kiya
mohobat ko aur lajawab kiya

bas diya hai daag-e-dil usne
is daag ne mujhe roshan kiya
kai tamannaoon ko tamamm kar
dil-i-tamanna ne lachaar kiya
jise bolna tha mujhe aaj milkar
us dil-e-barbaad ne daga kiya

usne milkar bhi na izhaar kiya
mohobat ko aur lajawab kiya

Friday, January 20, 2012

bhari mehfil thi

bhari mehfil thi kabhi, aaj sab chutt gaya
mere jeena ka sahaara bhi mujhse ruth gaya

kyon hai tanha woh beitha udhar
main bhi to veerano mein gum gaya
bulata hoon to bhi nahin sunta
meri aawaz ko woh bhi bhul gaya
aaj bad_nam nahin mein yahan
aur mere naam bhi usse kho gaya

bhari mehfil thi kabhi, aaj sab chutt gaya
mere jeena ka sahaara bhi mujhse ruth gaya

hai gaya woh to mehfil se meri
saath dostoon ka majmaa leta gaya
dekhta hoon jo kissi bhi aur main
doston ka hona ab dhundlata gaya
nazar kamzoor ho chali thi meri
uska jaana roshni ko bhi lete gaya

bhari mehfil thi kabhi, aaj sab chutt gaya
mere jeena ka sahaara bhi mujhse ruth gaya

sochta hoon ab dur nikal chaloon
itne mein woh carvan guzar gaya
chal raha tha phir bhi saath tere
tere nishaanon se dil shadab gaya
ho sake kahin tanha basar karoon
sunkar woh duniya se chalta gaya

bhari mehfil thi kabhi, aaj sab chutt gaya
mere jeena ka sahaara bhi mujhse ruth gaya

Wednesday, January 18, 2012

mere paas sawaal kuch hain

mere paas sawaal kuch hain
par jawaab ki majbooriyan hain
jo kuch karte hum vahan pe
to zamaane ki ungaliyan hain

hai aapne darmiyaan kaun
ki aaj bhi duriyaan hain
hum dono yeh chahte hain
phir bhi yeh tanhaiyan hain

hum chale the saath mil kar
par kinaroon ki duriyan hain
kabhi ho sake to tum dekho
majhdhar mein kashtiyan hain

mere paas sawaal kuch hain
par jawaab ki majbooriyan hain
jo kuch karte hum vahan pe
to zamaane ki ungaliyan hain

loog humein kehte deewana
yeh loogon ki bastiyan hain
yahan mohobaat karna jurm
aur baandhati riwayatein hain

main kehta hoon tum sun lo
toadani kabhi to rasmein hain
aaj chalo saath mere tum
nibhani humein kasmein hain

mere paas sawaal kuch hain
par jawaab ki majbooriyan hain
jo kuch karte hum vahan pe
to zamaane ki ungaliyan hain

kuch hai to tum aaj kehdo
hum aawaaz ko taraste hain
jo tum nahin hote to mere
sanate bhi goonjate hain

aaj chalo saath do kadam
beech itne hi fasale hain
ab mujhein tham lo tum
bahaein failaye khade hain

mere paas sawaal kuch hain
par jawaab ki majbooriyan hain
jo kuch karte hum vahan pe
to zamaane ki ungaliyan hain

Tuesday, January 17, 2012

nahin milta pata

nahin milta pata, ki woh kehte bura hai dafn hona
ya khuda koi pooche unse, kya aacha hai garq hona

ho farak zariya, par hai har zariye bas pura hona
paas hai aatish-e-gul, to kahan dur hai khaak hona

koi bachae chaman ko, kyon hai naseeb mein aag hona
baras raha hun kab se, fir bhi is dil ka khaak hona

hogi dilagi tumhari, hai mere dil ka yeh taar hona
tha khel yeh char din ka, aur Kapil ka dil barbaad hona

mast maujoen mein

mast maujoen mein kyon tanha rehte ho
aap kyon mujhse yun ruthe se rehte ho

pukarta aasmaan hai, chale aao
bahaar aayi, bahar ke sang aao
mudatein ho gayi hai milke aapse
ab ke baras to yunhi milne aao

mast maujoen mein kyon tanha rehte ho
aap kyon mujhse yun ruthe se rehte ho

raasta tak rahi kabse aankhein
birha main tadap rahi aankhein
yun tut gayi aas yahan pe sabaki
phir bhi intezaar mein aankhein

mast maujoen mein kyon tanha rehte ho
aap kyon mujhse yun ruthe se rehte ho

aansoon chalak rahein nayanon se
jaise baadal takraya ho parbat se
kuch dur hai chahe yeh toofan abhi
kashti aapni bhi hai dur sahil se

mast maujoen mein kyon tanha rehte ho
aap kyon mujhse yun ruthe se rehte ho

mere makaan ka

mere makaaan ka yeh kaise hashr hua
dil-e-barbaad na kabhi aabad hua

hai dard bahut ab seene mein mere
woh teer laga par paar na hua

is aadhe dhanse teer se kya hasil
na mara main na hi zinda hua

hai haal aisa kisi se bayaan na hua
teer-e-nazar ka nishan na hua

nishan dhoondate hoon main is shaher
woh shaher tha jo dasht hua

jal rahi hai khaak dasht ki kab se
is aag ka koi nishan na hua

nishaan bas us teer ka ab nasuur hua
kapil mohobat ka jasba adhura hua

Sunday, January 15, 2012

kyon milti har

kyon milti har baar saza humko aabad hone ki
hum barbaad hi aache the, jab teri khidmat ki

laaoon kya, mere kuche koi phool nahin lagta
jab se hawa ne rukh hai badali, uski gali ki

soochate hain hawa ko bas mod diya khud unhone
ya rab nadaan hain, unhe kya pata kaisi khata ki

kyon lagta unhe har bulandi pe yun ikhtiyar
khudaya, nahin janate woh Kashish garq hone ki

mazaarien to banati hai bas dafn hote huoon ki
koi to nishaani dikhaoo mujhe tum garq hone ki

tha gumaan mujhe

tha gumaan mujhe khud par, ek haqiqat ne zameen pe la diya
jo uddta tha kabhi aasmaan mein, use yun thokar pe la diya

jod raha tha chun kar tinke, sooch kar unhe eetei ghar ki
ek halke hawa ke jhoonke ne hi, us ashiyaane ko daha diya

hoon khadaa aaj phir main, liye kuch baache un_hi tinko ko
par koi khawab nahin raha, jismein tinkon ne ghar bana diya

hun phirta gali dar gali, kahin milta nahin mujhe aashiyan
aur is sardi ki hawa ne, suukhe tinkon ko dhuan kar diya

kuch milta nahin Kapil dhunoon se, isse kya pakad paooge
is khwaboon ki mandi ne, mujhe ek bhi khwab jeena na diya

Saturday, January 14, 2012

sardi ke parinde

aaj veerane sab gulshan shaher ke,
bas sukhe darakht aur khizaan ke udde pate hain

aaye to parinde naye kai is baras
par purane hain jinke bane reh jate gharonde hain

naye parinde to mehmaan bas ek mausam
dikha jalwa char din, fir ek baras ke zakhm hain

woh soona baras, tanha kuch mausam
un parindoon ke bina khali sab asmaan bhi hain

kaun bhare soone asmaan mein rang
asmaani rango~n ke karobaar bhi parindon ke hain

baraf pighalti, ye bahar aati goya
aagli baraf tak mere parinde chodd ja rahein hain

hum saya

kya chahte hain woh meharbaan ho kar
main to aaya hi tha yahan khud ko kho kar

mujh mussafir ka yahan kuch bhi nahin
kyon rookta hai fir woh mere dost ban kar

kissi rishte ki darkar main kyon karta
mujhe to loota hai zamaane ne aapne ban kar

koi kehde zamaane se mujhe rasta na bataye
hum to woh mussafir hain jo aaye manzil chod kar

manziloon se nahin milta mujhko sukoon
hain raste mere saath kab se raaz-dar ban kar

aye raste kehde aaj tu unko ek baar
laut jaayein woh ab ghar ko Kapil meri sun kar

main jitna bhi kahon woh meri nahin sunta
saath rehta hai kyon hamesha mera hum saya ban kar

Friday, January 13, 2012

doobtaa jaata hoon

doobtaa jaata hoon samandar mein, ki kahin koi pakadne nahin aata
hun beparwah kab se teri ankhoon mein, wahan dhoondaney koi nahin aata

hai samandar yeh haseen kitna, main koi aur sahara nahin chahataa
paar karta tha jo kabhi taeir kar har samandar, usse ab taeirna nahin aata

beshumaar hain tere khwaab yahan, ki khawboon ka tasavur to kar loon
na poocho koi mujhse inki kahani, aise khwaboon ko bayaan karna nahin aata

darta tha dil kabhi marne se, woh beech samandar nikalna nahin chahataa
dil-i-tamanna hai izhar ki, par dil-e-barbaad ko izhaar karna nahin aata

Kapil quatl kar rahi aankhein uski, un nazaroon ko kuch aur nahin aata
hai teer-e-nazar paar dil ke, yun quatl ho kar mujhe jeena nahin aata

is zameen mein

uski berukhi mili hai bhari mehfil mein
aaj sard hawa chali hai shaher mein

sukha hai sab kuch mere gulshan mein
naye patoon ka inteezar kab se aangan mein

ab kuch dikhta nahin hai din mein bhi mujhe
hai dhua sa faila in sari fizaon mein

thithur rahi hai baastiyan kab se dekho
ke ab itani bhi garm aag nahi asmaan mein

bataaon main pakadoon aftaab ko ya usko
dikhta dono mein koi bhi nahin is dhund mein

nikal ke ghar se main chaloon kis aur
uska pata hi nahin hai yahan ke nakshe mein

roz kyon dikhta hai nikal kar mod se
jab basar hi nahin hai uska is zameen mein

hai jeena bahut aasaan

hai jeena bahut aasaan, kuch dost bana ke dekho
haath maien bhi badaa dunga, is aur aa ke to dekho

kyon roote ho sara sara din aur sulagte ho raat bhar,
khushiyan bahut hain, tum gam sab bhula kar to dekho

bhara mann hai to kya, pal mein halka ho jayega
is ghaane badal ke jaise, ek baar yu baras ke dekho

rukh kyon ho chupate, ki hoti num hain aankhen sabki,
inhi ankhoon se kabhi, kissi quatil ka quatl karke dekho

hota hai dard jeene main, aur dard quatl hone mein,
jo sake to kabhi kissi dard pe, yun mar ke bhi dekho

dard hota seene mein, dard ko takat bana ke dekho
jee jaoge yeh zindagi, kissi dil mein dhadak kar dekho

Wednesday, January 11, 2012

kuch gum liye

kuch gum liye jeete hain, ki kahin to gum_nisaar hota
agar hum kuch roo lete, to shayad yeh dard khush hota

umada hai hujoom har jagah, ki kahin to woh tanha milta
agar do pal ki guftagoo karte, to yeh dard hi davaa hota

veerane hain bheed ke, ki hazaron mein dil tanha dikhta
sirf woh dil hi saath hota, to yeh makaan bhi abaad hota

hai shorat-e-mufalsi to kya, yeh dil to mera ameer hota
jo kabhi woh mil gaya hota, to main issi khaak mein hota

ajnaabi ke jaise

ho sake to milo aaj fir ajnaabi ke jaise
hairan hon~n dono, pehli mulakat ke jaise

mehak jaye aangan, woh bahar ho jaise
khil jaye gulshan, nayi si dhoop ke jaise

chalein bheed se do gumnaam hon~n jaise
tham jayein dekh kar, woh khuda ho jaise

thartharaien lab, sard raat ki kampan jaise
sharmaein do palkein, nayi dulhan ho jaise

ho sake to milo aaj fir ajnaabi ke jaise
hairan honn dono, pehli mulakat ke jaise

rukh ka noor

hai uske rukh ka noor, yahan ka ujala dekhiye
shama kab ki bujha chuka, ab unka jalwa dekhiye

hai tej roshni yahan, kahoon unse parda kijiye
kyon karte andhere se parda, naqab hata dijiye

hain kuch makaan darmiyan, pathar hata dijiye
bahut chadaie thi deewarein, ek eet gira dijiye

eeton se banaya tha gharonda, isse basa dijiye
dhoondta hoon main ghar tera, rasta dikha dijiye

khada hoon dar pe kab se, kuch to innayat kijiye
yeh husn hai, nahin sunte chahe zarr kata dijiye

thokar par kata zarr hai mera, kuch reham kijiye
Kapil dil-e-barbaad ka kissa hai, khaak kijiye

Tuesday, January 10, 2012

faqat ye Zindagi

faqat ye zindagi hai do pal ke jaise
kyon milte ho mujhe ajnabi ke jaise

tum milte ho has-has zamane se
kyon parda hai kara parwane se
dekhte tum chupke jharonkon se
hai inkaar kyon is mohobaat se

faqat ye zindagi hai do pal ke jaise
kyon milte ho mujhe ajnabi ke jaise

hai samaa bandha yahan ab to aao
koyal kook-kook gaa rahi sun jao
aayi bahar phoolon se na sharmao
is parda-naqabi ko ab to hata jao

faqat ye zindagi hai do pal ke jaise
kyon milte ho mujhe ajnabi ke jaise

ho khelte aaj bhi tum mujh se
kyon bolte yun jhoot khud se
kashish dono mein barason se
fir bhi hai inkaar apne dil se

faqat ye zindagi hai do pal ke jaise
kyon milte ho mujhe ajnabi ke jaise

ched mujhe khud ko tum na satao
jalti shama hai isse na bhadkao
jal jayega sab dil aur na behlao
faqat chand lamhe hain chale aao

faqat ye zindagi hai do pal ke jaise
kyon milte ho mujhe ajnabi ke jaise

zara ruk beith

zara ruk beith paas mere tu
tujhse do baatein kar loon
dikha jhalak apne mukhade ki
tujhe ankhoon mein bhar loon

aaj meri behoshi pe tu na ja
zinda hun zara dum bhar loon
aye zamaana hosh mein na la
kuch ek naye se khwab je loon

hai roshni bahut tez sone ko
teri zulf se parda kar loon
sakht bahut hain pathar neche
teri zanoon pe sar dhar loon

utha na mujhe aapne aghosh se
main pal mein zindagi je loon
tha bejaan sa main pada yahan
milkar tujhse sansein le loon

kya wajah thi milne ki aapne
ab dil tujhse mohobat kar loon
phir mud dekh ek pal is taraf
main aankhen do char kar loon

Monday, January 9, 2012

kuch to ajaab hai

kuch to ajaab hai shaksiyaat mein uski
zehan mein reh jaati kambhakt yaad uski
karoon kya ilaj main is lachaar dil ka
har jagah hi dikhti hai isko surat uski

dikha chuka hun isse hakim rukman ko
phir bhi nahin jaati yeh beemari iski
dikha chuka hun sab nazare zameen ke
par inse nahin ab banaati tabiyat iski

jawaan dil hai aur kya samajhaun isko
bekaar hai yun karna roz intezaar uski
kyon jalaa raha hai khud ko aag mein
dur tak nazar nahin aati parchaii uski

kab tak yun liye beithega us parchai ko
yaad aati hai mujhe woh zindadili iski
jab se laga hai iske dil pe marz uska
shaksiyat badal gayi hai mere dost iski

pareshan hun marz pata hai illaj nahin
kaise jaaye basi is makaan se yaad uski
koi nahin janata kaunsi buti ilaj iska
shayad abhi bani hi nahin hai dawa iski

Sunday, January 8, 2012

Jaane kya gila hui

jaane kya gila hui mujhse zamaane ko
tanha chodd diya aaj thokar khane ko

dhund raha hoon kabse ek aashiyane ko
bas gharoonda chahiye sar chupane ko
muflasi thi to nahin magar aye shaher
teri shorhat ne kara kangal deewane ko

jaane kya gila hui mujhse zamaane ko
tanha chodd diya aaj thokar khane ko

aaj firta hun maara sa main galiyon se
koi deta nahi ek chat sar chuppane ko
rab tujhse kya main fariyad aur karoon
tune to jahan sara diya basar karne ko

jaane kya gila hui mujhse zamaane ko
tanha chodd diya aaj thokar khane ko

aye muhaleih tu kyon hansta mujh par
aaj chaand hai mera saath nibhane ko
gar chaand na hota to koi gum nahin
sitaroon ka aangan hai baat karne ko

jaane kya gila hui mujhse zamaane ko
tanha chodd diya aaj thokar khane ko

kal fir naya suraj nikalega asamaan
nayi gali pakadenge makan talashne ko
koi dil milega jo milkar saath beithe
aur kabhi to raat naseeb hogi soone ko

jaane kya gila hui mujhse zamaane ko
tanha chodd diya aaj thokar khane ko

kabhi to milo

kabhi to milo tum dil ki tarah
seena sakht hai pathar ki tarah

hai awaaz aayi kuch to nayi
ek cheess si uthi hai kahin
bad rahi hai dhadkan kahin
mujhe bas woh pal do yahin

kabhi to milo tum dil ki tarah
seena sakht hai pathar ki tarah

kyon milte berukhi se hamesha
ki sada rehta main pareshan
na toote nazuk dil-e-sheesha
saare baazar na bane tamasha

kabhi to milo tum dil ki tarah
seena sakht hai pathar ki tarah

kabhi to pighlao dil-e-mom ko
lagne do usmein bhi aanch ko
dafn kardo kahin mere hosh ko
aaghosh unka mubarak dil ko

kabhi to milo tum dil ki tarah
seena sakht hai pathar ki tarah

tumhare siwa na dil yahan koi
mera sira jode kaise aur koi
sehar hai nayi par na aata koi
tum ho bas tum ho na aur koi

kabhi to milo tum dil ki tarah
seena sakht hai pathar ki tarah

Thursday, January 5, 2012

...nahin milta

mere armaan ka kya hasil khoye dil mein kyon hai rehta
karoon pura main kaise usko gar dil milta to woh milta

pada hai rista dil barsoon to naya kya uske khanjar ka
gar hota kuch naya usmein to aaj yeh ghaav bhaara milta

kiye sabne zakhm jigar par ki ab jigar hi nahin dikhta
aata ban ke woh gumnashin to yeh jigar laal nahin milta

but-parasti kari kafir ne fir bhi but meri nahin sunta
ki barsoon ibadat uski aur woh aaj bhi Kapil nahin milta

gar karta khidmat khuda ki woh bhi ab tak mil gaya hota
kaisi hai inayaat uski ki saal bhar mujhse nahin milta

jo kal tha

jo kal tha woh aaj sab gum gaya
aaj kal shayari ka jasba mit gaya
jise dekh shayar karte the shayari
woh sab beete ek zamaane ho gaya

na shama rahi, na parwana dikha
aaj ki roshini mein purana ho gaya
baat karte the saat samandar ki
yahan jahaj pe bas naam reh gaya

karta tha baat jatan chalne ki
gaadi se woh bhi dhuan ho gaya
woh khat na likhne ka tasvuur
aaj ke daur mein khafa ho gaya

likhte kabhi bagh bageechon pe
aaj shaheron mein woh gum gaya
kabhi tha mushkil dariya par jana
ab woh char kadam ka pul ho gaya

kahan dhoondun ab oos ki boond
farsh par se sab kuch udd gaya
kahan nishan hai kadmoon ke
tar ki sadak pe sab mit gaya

le aaye mehfil aaj fir shama
mere aage woh aaj rakha gaya
kaise ho jaon gazal sana main
mahaul mien sher bhi dab gaya

Wednesday, January 4, 2012

jab na tha

jab na tha tu, to main kuch na tha
aaj hai tu, to bhi main kuch nahin
mujh gumnaam ko yahan kya haasil
jo tera naam hai to anjaan koi nahin

phirta hoon anjaan galiyon se main
milta in veeranoon mein koi nahin
naam hi baas jab le leta hoon tera
phir veerne yahan kahin bhi nahin

kahan dhoondoon aapne veeranoon ko
hai tere nazdeek jagah kahin nahin
sochta hun purani basti chala jaon
par basti mein janata ab koi nahin

bhul chuki yeh basti kab ki mujhe
is basti ka ab main bashina nahin
bhulon kaise main yeh basti aapni
is basti ke begair mera koi nahin

nikala hoon pehchani si galiyon se
mere aapne to yahan par ab koi nahin
naam yahan bhi le leta hoon jo kabhi
paraaya phir to koi gair bhi nahin

aata hoon phir laut ke tujhse milne
chaukhat pe santari ab janata nahin
bandh hain yahan sab darwaaze dekho
in makaanon se tu ab nikalta nahin

bahut chad gayi hain deewarein iski
deewaroon pe se main jhankta nahin
hain aati awazeen bhaar sheeshe ki
andar ki deewarein aise girti nahin

jaane bache kitane sheeshe ab wahan
pathar to kabhi maine phenka nahin
dua karta hoon khairiyat ki unki
aise tukdoon mein woh jeeta nahin

aayi hai khabar aaj unki to ya rab
khairayaat pe jaane ka gila nahin
salaam karta hoon is aur se usko
suna dekha usne shayad kuch nahin

Tuesday, January 3, 2012

kyon hai mujhse

kyon hai mujhse woh kafa yun
ki arzoon ka kuch pata nahin
milta tha jo kabhi dil bankar
us dil ka kissiko pata nahin

hai pata milla mujhe to aaj
par us pate woh milae nahin
likhee hain kai arziyan use
par kissi arzi ka jawab nahin

kahan dhoondoon unko aye dost
unke makaan ka thikana nahin
hai yeh dil deewana sa to mera
yeh kissi aur pe rukta nahin

ab ek dil hai aur ek woh hain
dono yun kahin tikate hi nahin
pakadoon haath main kaise unka
aise kabhi kafile chalte nahin

yeh kafile aage badate gaye
aur humne unhe pukara nahin
bas ankhoon ki ek jhalak mili
aur lab se koi ek awaaz nahin

na rok unko ki woh dil nahin
mere jeena ki koi doar nahin
aaj ravaan hai kuch khwaab to
aur baachi meri koi aas nahin

tooti aas ka kya kahiye unko
unke siwa mera ab koi nahin
rukne ka na hai jasba unko
mere jasboon ka koi rab nahin

rab pe ikhtiyar karta kaise
rab to kissi ek ka hua nahin
jab tak dil tha woh mera tha
rab ban ke woh sirf mera nahin

Monday, January 2, 2012

Kabhi to yun

kabhi to yun milte ho tum mujhko mere aapno ke Jaise
aur kabhi moonh pher lete ho shaam ke aftab ke jaise

tabeeyat raavaan hoti hai har shehar, dhoop mein teri
aur issi se mehroorm rakhte faeil ke badara ke jaise

hai is chandani raat ka angaan kuch bhara-bhara sa aaj
kyon mujhse ankh-micholi khelte tum sitaron ke jaise

hain raaz to kai chupaye is kaali raat ne bhi mujh se
jaane kyon raaz kholti chandani ab subah dhoop ke jaise

raazdaar kahan hain jise dard-e-dil ka haal bataien
yahan razdaar badalte hain har sehar aftab ke jaise

tum raazdaar ho kar bhi kyon beithe yun anjaan ban_kar
mere veerane goonjate kissi puarane khandar ke jaise

in veeranon se hoti thi aachi dosti kabhi teri to Kapil
chiraag-e-dil kyon jaale beithe ho tum shaama ke jaise

na ban kar shaama mere ghar mein aana tum ab ke baras
kahin khaak na ho jaaon main wahin pe patange ke jaise

Sunday, January 1, 2012

aaj beraang paani

aaj beraang paani mein rang dekha
bandha maine woh awara dariya dekha

dar-dar dagmata dariya dolta dekha
reh-reh rang rangta rangrez dekha

hai kuch laal aaj yahan paani mera
khwab mein usse chudaa daale dekha

us aur hain rang hara-bhara kabse
kissan ka khoon-passena falte dekha

neela hai rang asmaan ka mera yahan
hai is amber ko parbat ko chute dekha

parbat ki chadar kuch saleti kuch safed
jaane kabse hi barf ko pighalte dekha

kuch to rang hai hatoon mein mere bhi
aapna rang maine basanti hai dekha

aaj rang de rangrez tu yeh chola mera
issi chole ko kabhi khwaab mein dekha

na pooch kaun sa rang hai Kapade ka
tujhe to berang se rang banate dekha

aati nahin hai

aati nahin hai ab unko hayaa, kya kijiyega
yeh mohobbat hai, aye zamane kya kijiyega

aaj bahut milta hai sukoon beechad ke unse
ki kal milke unse koi naya khwaab buniyega

hota hai aaj dard dil mein fir, milke unse
kashmakash-e-justjoo hai, aur kya suniyega

hai mere daag-e-dil mein ab koi tadap nahin
mera charaagar, dekh kar soochta reh jayega

dhuan-e-chiraag abhi tak kissi ko dikha nahin
yeh sulagta dil hai, qaiyanaat puri jalayega

kaun jaane ab, dekh kar unka yeh jalwa balab
yeh zamaana kab tak, hosh mein yun reh payega

bahut milti hai rehmat mujhe, unse jeene ki
poochiye unse, yeh dil kab tak dhadak payege

har nafas hai betaab unki to kabhi se Kapil
wohi jaane woh kab meri yeh betaabi mitayega