Saturday, January 14, 2012

sardi ke parinde

aaj veerane sab gulshan shaher ke,
bas sukhe darakht aur khizaan ke udde pate hain

aaye to parinde naye kai is baras
par purane hain jinke bane reh jate gharonde hain

naye parinde to mehmaan bas ek mausam
dikha jalwa char din, fir ek baras ke zakhm hain

woh soona baras, tanha kuch mausam
un parindoon ke bina khali sab asmaan bhi hain

kaun bhare soone asmaan mein rang
asmaani rango~n ke karobaar bhi parindon ke hain

baraf pighalti, ye bahar aati goya
aagli baraf tak mere parinde chodd ja rahein hain

No comments:

Post a Comment