Thursday, January 5, 2012

jo kal tha

jo kal tha woh aaj sab gum gaya
aaj kal shayari ka jasba mit gaya
jise dekh shayar karte the shayari
woh sab beete ek zamaane ho gaya

na shama rahi, na parwana dikha
aaj ki roshini mein purana ho gaya
baat karte the saat samandar ki
yahan jahaj pe bas naam reh gaya

karta tha baat jatan chalne ki
gaadi se woh bhi dhuan ho gaya
woh khat na likhne ka tasvuur
aaj ke daur mein khafa ho gaya

likhte kabhi bagh bageechon pe
aaj shaheron mein woh gum gaya
kabhi tha mushkil dariya par jana
ab woh char kadam ka pul ho gaya

kahan dhoondun ab oos ki boond
farsh par se sab kuch udd gaya
kahan nishan hai kadmoon ke
tar ki sadak pe sab mit gaya

le aaye mehfil aaj fir shama
mere aage woh aaj rakha gaya
kaise ho jaon gazal sana main
mahaul mien sher bhi dab gaya

No comments:

Post a Comment