Wednesday, February 29, 2012

हर धड़कन पे लगता है दिल तुम हो

हर धड़कन पे लगता है दिल तुम हो
मेरे इस जीने का सबब बस तुम हो
हर धड़कन पे लगता है दिल तुम हो

कुछ है अफीम सा तस्सवुर में तेरे
क्यों हर शक्स पे लगता है तुम हो
मेरे इस जीने का सबब बस तुम हो
हर धड़कन पे लगता है दिल तुम हो

धुआं सा फैला है इस फ़िज़ा में आज
मुझे हर आहट पे लगता है तुम हो
मेरे इस जीने का सबब बस तुम हो
हर धड़कन पे लगता है दिल तुम हो

झोंका कहीं पर गुल पे से गुज़रता है
और हर खुशबू पे लगता है तुम हो
मेरे इस जीने का सबब बस तुम हो
हर धड़कन पे लगता है दिल तुम हो

मेरी राहों में कितने मोड़ मिलते हैं
हर एक मोड़ पे लगता है आगे तुम हो
मेरे इस जीने का सबब बस तुम हो
हर धड़कन पे लगता है दिल तुम हो

आज मिले मुझे एक पल के  लिए
तमन्ना थी कि जीने में वोही पल हो
मेरे इस जीने का सबब बस तुम हो
हर धड़कन पे लगता है दिल तुम हो

Tuesday, February 28, 2012

अपनी तो रवां होती है

अपनी तो रवां होती है रात आज उनके साथ होने से
और एक वोह हैं जो खुश होते हम पे सितम होने से

तेरे होते मैं थामूं कैसे इस दिल को अब धड़कने से
और तेरे जाते सम्भालूँ कैसे खुद को बर्बाद होने से

सरे बाज़ार बचूं कैसे में आज खुद बेआबरू होने से
रोकूँ कैसे ज़माने को इस हश्र का तमाशाई होने से

क्या हो आज अगर चल भी दूं दूर मैं तेरे इस कूचे से
और फिर बचूं कैसे तेरी याद में यूँही गर्क होने  से

कौन जाने क्या फरक पड़ा है मुझ पर तेरे होने से
देखना यह है की तू बचाए कैसे कपिल ख़ाक होने से

Sunday, February 26, 2012

राह तकते हैं उनकी

राह तकते हैं उनकी, पर वोह कहीं दिखते नहीं
अपने दरवाज़े पे मिलने कभी आये वो नहीं

बीत गया लम्हा कल ही उनके मिलने का यहीं
इम्तिहान इंतज़ार का इससे ज्यादा कोई लेता नहीं

अगर आयें तो कहना अब उनसे ऐ ज़माने तुम्ही
आज उनके तस्सवुर में बइठे यहाँ हम ही नहीं

यह कह कर दिल-ऐ-बर्बाद को मिलता चैन कहीं
उनसे खफा होकर तो मिलती मुझे सांसें नहीं

हैफ! किससे  कहें हम दिल-इ-तमन्ना या रब,
आज यहाँ हम मरतें हैं और उन्हें फिक्र्र नहीं

Saturday, February 25, 2012

हैं वीराने कितने

हैं वीराने कितने अपने यहाँ, किसी सहेरा के दश्त जैसे
झाँकते हैं कुछ लोग यहाँ, तमाशबिन  गुज़रते बदल जैसे

हुआ है एक अरसा अब तो, पर बरसा नहीं कोई बादल
बाँध कर अब रोकूं कैसे इसे, यह फिसलता वक़्त के जैसे

आज तक ना कोई बादल रुका, ना पेड़ की छाँव मिली
जलते दिन में चलता गया, कोई बठकता मुसाफिर जैसे

सुलग रहा हूँ कब से मैं, उस एक तन्हा आफताब जैसे
राहा ढूँढूं नहीं दिखती, बिन बादबान की कश्ती के जैसे

ये कश्ती है तैर जायेगी, और धुल दफ़न कर जाएगी
इस तैरने-दफ़न में क्या फर्क, हश्र तो दोनों में एक जैसे

अब दिखता है बस रक्स मुझे, इस रेत्त का, इस रेत्त का
 खफा हैं यहाँ की आँधियाँ भी, मैं यहाँ नागवार जैसे

Wednesday, February 22, 2012

क्यों मुझे छेड़ जाते हो,

कोई पूछे तो क्यों कहते हो,
की तुम तन्हा छोड़ जाते हो।
मेरा दिल तुमसे धडकता है,
फिर क्यों मुझे छेड़ जाते हो।

ना हो कर तुम साथ होते हो,
मुझे हर मोड़ पे मिल जाते हो।
आँखों से आंख मिचोली कर,
तुम क्यों मुझे छेड़ जाते हो।

मेरी इन साँसों को बांधते हो,
तुम तो मेरी नब्ज़ जानते  हो।
एक बार यूँ  पल्कें झुका कर,
फिर क्यों मुझे छेड़ जाते हो।

तुम मेरे हर गम से मिलते हो,
और खुशियों में शामिल  हो।
फिर मुझसे खुद को छुपा कर,
तुम क्यों मुझे छेड़ जाते हो।

आज तुम फिर मुझे देखते हो,
फिर तुम मेरी और बढ़ाते  हो।
क्यों मुझसे ना बात कर के,
फिर क्यों मुझे छेड़ जाते हो।
तुम क्यों मुझे छेड़ जाते  हो,

Monday, February 20, 2012

अजन्बी

ऐ अजन्बी तुम क्यों हर मोड़ पे यूँ मिल जाते हो,
 दो पल में ही मेरी हस्ती का सामान दे जाते हो।
कुछ पल रहते हैं बेहिस से हम यहाँ पर तनहा,
होश आने पे क्यों आँखों से ओझल हो जाते हो!

अजन्बी  तुम हर पल को बेमौल कर जाते हो,
क्यों एक पल के बदले उम्र का दर्द दे जाते हो।
मैं तड़पता हूँ यहाँ, हर बार मिलकर तुमसे,
क्यों दर पर आ कर बिन मिले चले जाते हो!

तुम बताओ कहाँ-कब करूं मैं इन्तीज़र तेरा,
तुम तो वक़्त-बेवक्त कहीं नज़र आते हो।
किस से पुछूं  मैं इस शहर में पता तुम्हारा
इस शहर में तो तुम अजन्बी नज़र आते हो।

क्या काहूँ और मैं तुमसे गुमनाम दोस्त मेरे,
क्यों अजन्बी हो कर भी दोस्त बन जाते हो।
देखते तो तुम आज भी मुझे हो गैरों के जैसे
क्यों ओसत हो कर  अजन्बी नज़र आते हो।

है दश्त यहाँ पर तो क्या

है दश्त यहाँ पर तो क्या,
कहीं तो ज़मीन हरी होगी।
रहा प्यासा मैं बरसों तो क्या,
कहीं तो यह बदरा बरसेगी ।

 उभरती कई तमनाएं दिल में,
कभी एक तमन्ना तो पूरी होगी ।
आज चल चुका हूँ मैं कश्ती मैं,
कभी तो यह माझी से पार लगेगी।

भीड़ का तो है बड़ा साथ अपना,
कहीं तो तन्हाई नसीब होगी।
 है रखा सर जांनॉ पे तेरे अपना,
कभी इसे जुल्फों की छांव मिलेगी।

हैं ज़ख्म मिले दिल को कितने,
 कहीं से तो एक चीस उठेगी।
दबा रखे हैं कब से आंसूं कितने,
कभी तो लहू की बूँद टपकेगी।

न रोको तुम टपकते लहू को मेरे, 
इस लहू के  साथ तेरी याद निकलेगी।
अटकती सांसें इस लहू के निकलने पर
तुम जाओ तभी कपिल की जाँ निकलेगी।

- कपिल बजाज

Sunday, February 19, 2012

Kahin

ab nazar unse milti hai kahin
ye dhadkan baddati hai kahin
tasavur kar ke unka, ya rab
gOOm hai dil ka chain kahin

tha andhera jab ghar pe mere
tab bhi saher hoti thi kahin
intihaan-e-intezar tha mujhe
tab bhi dil milte tha kahin

aaj pukaarte hain mujhe woh
kuch aur ab sunai deta nahin
woh na pukare mujhe tab bhi
unki awaaz hi hoti har kahin

sirf awazoon ka hota bayaan
lagta kaanon pe illzaam yahin
par kya karoon mein khud ka
unki tasveer dikhati har kahin

sun_ne dikh_ne pe to jee lete
par unka ahsaas bhi hai yahin
kiya band andhere kamare mein
par unki roshni hai har kahin

yeh faqat aaj ka aalam nahin
kuch aur mujhe dikhta nahin
koi pooche to jaa ke unse ab
unka kya bigaada maine kahin

Saturday, February 18, 2012

dein awaaz woh

dein awaaz woh mujhko, ek arzoo nikharti hai
bemiyaad inteezar se, yeh dhadkan badti hai

tanha in lamhoon ka, humnein hashr dekha hai
unke saath hote hi, dil ka rukna dekha hai

do pal rukane ki, kum hi mauhalat milti hai
dur hokar ab unse, bas maut naseeb hoti hai

jeene ki chahat, dil gum ko gale lagata hai
judai ke woh pal, ye dil kahan jee pata hai

roku kaise lamhoon ko, har lamha fisalta hai
band muthi se bhi, reit sa girta rehta hai

kabhakht waqt nahin rukta, yeh kaun kehta hai
unki ankhoon mein, waqt ko chupte dekha hai

Thursday, February 16, 2012

tere dar hum

tere dar hum kya fariyaad karte
haal yeh hai ki dekh aah bharte
kyon yun_hi hum tera zikr karte
tu bata kaise hum jeete ya marte

tere bagair hum kaise yun hanste
tere bagair hum kaise rau lete
faqat khushi bas khwab mein dete
tere bagair hum kaise jee lete

khudai tumhari tum nahin samjhate
aise kaise tumhe khuda kar lete
hain aaj tumhari gard se girte
gar khuda ho to hum gardishein lete

tere gum se hum the tanha aache
yun marne se to hum do pal jeete
jaanate tumhe, dil mein na rakhte
ab dilnashin ka kya malaal karte

Wednesday, February 15, 2012

Hoon BarBaad main yahan

hoon barbaad main yahan kabse, mujhe kheechoon dur abaadi se
karta aabad mujhe kyon phirse, dikhta hoon par mar gaya kabse

hui hai shohrat barbaadi se, ki sab pehchante hain hashiye se
kyon num shaher is shohrat se, mujhe haasil kya is shohrat se

khud hi poocho tum shaher se, woh chahta kya mujh mussafir se
nahin darta main chalne se, batao hain dur kitani manzil se

bhatakte hain mussafir se, girte yahan hum unki thokaroon se
milaaO mujhe us musafir se, jiski ruki hai barbaadi manzil se

hoon barbaad main yahan kabse, mujhe kheechoon dur abaadi se
karta aabad mujhe kyon phirse, dikhta hoon par mar gaya kabse

Monday, February 13, 2012

hoon dhoondta

hoon dhoondta main yahaan tumhe kabse
hain tanhaan dil kii dhadkaane kabse
hota tha samaa yeh ravaan buss tumse
kyon nahin milte ho tum milkar mujhse

is bheed mein ho gum tum kahan mujhse
sajaye beitha tha main to khwab kabse
tha sukoon mujhe mila wahan par tumse
ab is bechain dil ko nahin chain kabse

kyon rehte ho kate-kate se yun mujhse
mere sulagte dil ka koi asar nahin kabse
bezaar pada rehta hoon main alag tumse
kyon rooth kar milte khwab mein mujhse

ho roothe to miloo na khwab mein mujhse
tasavuur de ke na ho fir judda mujhse
nahin milna to kyon karte baat mujhse
kyon dur rehte ho yun karib aake mujhse

Sunday, February 12, 2012

mere shaher mein

mere shaher mein to log pooch rahein hain
hum mille ek baar, par ab durr khade hain
kuch baatoon ka zamaane ko kiya illm hoga
beech aapne jaane kitane fansale pade hain

na the fansale kabhi itane apne darmiyan
aaj jitane ghere yeh zakhm hue pade hain
kuch galat-fahmiyoon ki bus baat thi yeh
aaj aapni hasti ki haiqqiqat baane hain

haqqiqat aisi bayaan main karoon kiss_se
zamaane ke paas bahut fansane padde hain
hans lete kuch aur is_pe bhi yahan woh
aur bhul jaata do riste dil baache hain

in dil_oon ki bhi ajab halaat yahan hain
hum dur aur dil abhi bhi saath khade hain
hain hum dono issi dariya ke kinare magar
beech aapne jaane kitane fansale pade hain

Saturday, February 11, 2012

jo dil na hota

jeene ka aapne koi to sahara hota
jadojahad mein kahin to sukoon hota
tadap raha hoon kabse liye dard kai
jo dil na hota to yeh dard na hota

kya karoon ab is kambhakht dil ka
do pal ka to ismein kahin chain hota
zaalim dil dhadakta bas unke liye
woh na hota to dil na dhadakta hota

hai ajab shaksiyat bhi unki ya rab
hasti mein unki kuch to mamooli hota
hai har ek naksh unka bedaag dekho
gar koi daag hota, woh woh na hota

hain daag kahan nahin jahan bata
dokha dekho bus nazaroon ka hota
rooz takta zamaana daag-e-chand ko
jo daag na hota woh chand na hota

aaj poochonga issi chand se main
bata uska dil hota to kaisa hota
chandani to hai hamesha uske saath
woh tanha rehta to mashoor na hota

mashoori bahut milti hai unke saath
yeh tanha dil aur unka veerana hota
har saath se milla hai dard dil ko
jo yeh dil na hota to dard na hota

lagta nahin

lagta nahin koi sunta dil ki
awaazein hai kai par lagati sannate si
awaazon ki hasrat bas zindagi
aur woh hi hai jo rehti yun tanha si

kaun sunega yahan baat aapni
bheed hai bahut par hai bas ajnabi si
kya zikra karoon aye zindagi
tu bhi to hai aayi milane mehmaan si

chala tha leke khushi kissi ki
sambhal na paya main usse ek dil si
ab bas mayusi hai kuch dino ki
kuch aapni kuch duniya ki di hui si

poocho to yeh duniya kiski
kyon hai ukhadi rehti yeh aadami si
milti bas aadhi hasrat is ki
woh bhi kuch aapni kuch maangi hui si

aage zindagi mangoon kiski
sansein to chalti hain jaise udhar si
kaise jiyun zindagi udhar ki
Kapil tohmat hai khuld se nikale si

Thursday, February 9, 2012

Kahin arzoo~nn

kahin arzoo~nn ke janaaze nikalte hain
kidhar hasratoon ki maiyat mein rote hain
do pal ki khushi ka mujhko kya haasil
mere chehre se dard bhi ruswa hote hain

faqat chahate the udd_na hum to ek baar
har baar Uchal_kar khaak mein milte hain
apne is hashr ka main kise sabab kahoon
khud ko zakhm dete aur khud_hi rote hain

kya hai majboori is kadar jeene ki humko
har lamhaa kyon ghut-ghut ke jeete hain
kis_se karein anjaam-e-sitaam ki fariyad
yahan par hum khuda ko bhi taraste hain

sitam kum the, ki ab dasht mein ghar hai
aur is saawan mein paani ko taraste hain
haif! ab koi to yahan aake pooche kapil
ki phool khizaan mein kyon girate hain

aapni mohobaat mein

aapni mohobaat mein koi ruswaii na hoti
aaj phir yeh hawa yun bhi sard na hoti
agar tum sun_lete aawaz kisii dil ki
yeh dosti dushmani mein kabhi na badalti

thi kashmakash zinda rehne ki ab tak
is dil-e-barbad mein umeed nahin rehti
hai kashmakash aaj phir se is dil mein
dur tum hote to yeh hal-chal na hoti

tum pass aakar ched gaye kyon purane tar
phir umrr daraz saaz ki dhun mehsus hoti
aaj tum dur hi rehte to dil aacha rehta
kum-se-kum khwab mein yeh surat na hoti

be_khudii mein jee rahe the ab tak hum
tanhai se aage koi be_parwahi nahin hoti
kya dikhate ho tum ab parwah kar ke meri
beete lamhoon ki kahin bharpai nahin hoti

kho~ chukaa hun char din jusst-a-joo ke
waqt se mujhko koi moholatt nahin milti
sans leta Kapil kab se har bar sooch kar
par soochne se to sansein nahin badati

Wednesday, February 8, 2012

kyon nahin milte

kyon nahin milte ho tum ek_bar milkar
tod dete ho dil, dil ka brahm dekar
kyon nahin milte...

aaj aashna dil tujh_mein bas aks unka
bata kaise hai lagta mehmaan basa kar
kyon nahin milte...

jaanate aaj ke kush hai dil kitna mera
dard bichadta hai mujhse ashk ban kar
mere is baehte se dard ko yun na roko
bichad jayega maajhi se dariya ho kar
kyon nahin milte...

dil ko naye dard ka hai gumaan kaisa
aur gumaan bhi sharmata unko dekh kar
dekhne waloon ko main kaise mode_oon
aankh dekhti nazaroon ko apna bana kar
kyon nahin milte...

rokte kyon ho har baar khaak hone se
patanga jeeta hai har baar khaak ho kar
kyon nahin milte

kyon nahin milte ho tum ek_bar milkar
saath chalte dariya ka kinara ban kar
kyon nahin milte...

Thursday, February 2, 2012

Jaanata hoon...

jaanata hun gum_geen woh hai
par uska chehra Daga deta hai
mere saath to hai woh dikhta
par yeh ek saraab sa rehta hai

poochon us_se is haal ka sabaab
aur woh hans kar taal deta hai
hai kehne ko saath woh sabakey
woh_hi saath uska dard deta hai

dikhta nahin hai koi bhi ashk
par dil uska roota rehta hai
maathe pe na uske koi shikan
par toofan dil mein rehta hai

jaata hoon main jab bhi roone
woh hamesha kaandha deta hai
apani baar kuch bhi na keh kar
woh bas yun sulagta rehta hai

boojhaon aag main kaise uski
woh shama sa jalta rehta hai
jo milti hai koi bhi lau usko
woh usmein bhi khaak hota hai

mere har gum mein shareek hokar
woh mujhe kuch aapna lagta hai
aur na bata ke mujhe dard aapne
woh pal mein paraya karta hai

koi yun hi

koi yun_hi milta nahin kissi se
phir kyon milti hai gaflat un_se
kashmakash-e-hasti kaise kahoon
par sitam kum nahin quatl-o-gar se

unke hona ka yakin kaise karoon
unki shakisyat dur in aankhon se
main tarastaa raha unke deedar ko
woh dur rahey aapne ikhtiyaar se

meri na_umeed ka aalam aisa na tha
guliistan bhi mehroom aapne gul se
hain veerane bacche aashiyaane mein
aur ruhein tadap rahi intezaar se

main biimar kaise poochon illaj un_se
mere marz ka illaj dur chaaragaar se
kuch soch kar woh ab bhi hans raha
shayad gurur hai use mere halaat se

koi yun hi

koi yun_hi milta nahin kissi se
phir kyon milti hai gaflat un_se
kashmakash-e-hasti kaise kahoon
par sitam kum nahin pura hone se

unke hona ka yakin kaise karoon
unki shakisyat dur in aankhon se
main tarastaa raha unke deedar ko
woh dur rahey aapne ikhtiyaar se

meri na_umeed ka aalam aisa na tha
guliistan bhi mehroom aapne gul se
hain veerane bacche aashiyaane mein
aur ruhein tadap rahi intezaar se

main biimar kaise poochon illaj un_se
mere marz ka illaj dur chaaragaar se
kuch soch kar woh ab bhi hans raha
shayad gurur hai use mere halaat se

Wednesday, February 1, 2012

aapne dard ka

aapne dard ka tujh_se bayaan karoon kaise
is haqiqat ko kissi_ka fasaana karoon kaise

tu dil ban_kar bhi dil mein na reh saka dilbar
ab kissi aur ko is dil ka mehmaan banaoon kaise

kya bataoon main chaah kar bhi tanha na ho saka
bataa to sahi teri yaad ko dil se mitaoon kaise

teri haasti ka asar hai shayad yahan zamaane ko
tu hi bata is zamaane ko main ab samjhaoon kaise

barbaad hua main kabse tere peeche chalte chalte
koi samjhaye is diwanagi se khud_ko bachaoon kaise

sulag rahii hai teri aag kab se jigar mein mere
kuch suraag to ho ki iss_pe main bujhaoon kaise

sukoon detein hain dost par bas ranj dosti teri
ya rab bata is ranj ke nishaan ko mitaoon kaise