Thursday, February 2, 2012

Jaanata hoon...

jaanata hun gum_geen woh hai
par uska chehra Daga deta hai
mere saath to hai woh dikhta
par yeh ek saraab sa rehta hai

poochon us_se is haal ka sabaab
aur woh hans kar taal deta hai
hai kehne ko saath woh sabakey
woh_hi saath uska dard deta hai

dikhta nahin hai koi bhi ashk
par dil uska roota rehta hai
maathe pe na uske koi shikan
par toofan dil mein rehta hai

jaata hoon main jab bhi roone
woh hamesha kaandha deta hai
apani baar kuch bhi na keh kar
woh bas yun sulagta rehta hai

boojhaon aag main kaise uski
woh shama sa jalta rehta hai
jo milti hai koi bhi lau usko
woh usmein bhi khaak hota hai

mere har gum mein shareek hokar
woh mujhe kuch aapna lagta hai
aur na bata ke mujhe dard aapne
woh pal mein paraya karta hai

No comments:

Post a Comment