Saturday, January 26, 2013

main tere paas aaj rang sabhi chodd aaya

saamaan samet main kuch apna chodd aaya
main tere paas aaj rang sabhi chodd aaya

rasta lamba safar mushil, boojh bhaari ki
saath apne bas yeh gum-e-shyahi utha laya

kahan gira, kisse mila, kya maloom mujhe,
par jaanta hoon, peeche zindagi chod aaya

kuch beraag si lagti yeh zindagi mujhe ki
main tere paas aaj rang sabhi chodd aaya


be-sabrr guzari hai, har raat tere begair
aur main chasm jala-jala khud hi jal aaya

bebas aalam hai apna bhi ab kuch yun dekho
ki main ankhoon ankhoon main raat kaat aaya

na tu aaya, na aayi teri koi khabar mujhko
aur main tanha hi yeh zindagi guzar aaya

aur kitana rang paate rangrez dost mujhe ki
jab main tere paas rang sabhi chodd aaya



guzare din, mahine, saal-dar-saal tere begair
ab tanhai ka aalam aur mann tanha bheeg aaya

raste chale, manzilen chuti, kuch mil na saki
har guzare makaan mein kuch-na-kuch bhool aaya

chand lamhein mile jo zindagi se udhaar mujhko
unhe bhi main teri chaukhat pe sambhaal laaya

sahej rakhta hoon woh saath ke pal, woh rang
ki main tere paas abaaki sab rang chodd aaya

Sunday, January 20, 2013

na woh, na khabar unki

na woh, na khabar unki aayi hum tak
yeh raat kati aankh mein saher tak

agar aa jaati koi aahat bhi unki to
jee lete hum bhi kuch unke aane tak

kuch umeed, kuch dard raha phir bhi
aur aah nikalti rahi jaan jane tak

dum bhar ke saans leta hoon har dum
aas rahi unke us khwab ke rehne tak

besabab koi yunhi rukta nahin 'Kapil'
par unki intihan rahi hosh rehne tak

Friday, January 18, 2013

khud ko hi bhoolna chahta hoon

aa dekh tere binaa main kitana tanha hoon,
kuch hairaan bhi ke ab tak kaise zinda hoon

na aayi koi bhi khabaar mujhe tere aane ki
phir bhi main tere inteezaar mein rehta hoon

lamhein gaye, din beete, guzare saal-dar-saal
par har dhadkan mein, tujhe sochta rehta hoon

kahan par woh din kate, kahan beete woh saal
tere bina main bas ghadiyaan gin.ta rehta hoon

jahan dekhoon bas dikhti hai wohi soorat teri
yaad aur aati hai, jitana bhoolana chahta hoon

kuch tu bhi kar koshish ki na aaye yaad mujhe
ki 'Kapil' main khud ko hi bhoolna chahta hoon

Thursday, January 17, 2013

ae dasht ke veeranoon

ae dasht ke veeranoon tum le lo mujhe aaghosh mein
main thak gaya hoon jee kar yun aapni tanhaioon mein

hain maine manzar to bahut dekhe, raste bahut chode
par jaane kyon aake ruk gaya hoon teri panahoon mein

na hi koi manzil yahan aur na hi koi saathi hai aapna
bas jal raha hai yeh badan is aftaab ki baahoon mein

bas chod mujhe na kheench kahin, main ukta gaya hoon
ki na koi raha dikhi, na wajah baachi unke aane mein

yeh vasal hai din hai, yeh to meri mohobatt ka din hai
usmein ek aah bhari aur naumeed beith gaye rahoon mein

jab the chaar kadam tab bhi himmat na hui jaane mein
aaj umrr ki duri hai aur shayad ek pal unke aane mein

Wednesday, January 2, 2013

hai saans baaki

hai saans baaki is raat ke jaane tak
aur yeh chashm jal rahe tere aane tak

mudatein hui hain ab tujhse mile hue
jaan baaki hai aaj bas tere aane tak

ab saans aapni bas itna hi hai baaki   (ab inteezaar aapna bas itna hi baaki)
meri muthi se reet ke fisal jaane tak

kyon tu sochta hai aaj phir aane se
deedar de ik lamhaan guzar jaane tak

aur tujh_se main bhala kya mangoon
ye hasti hai patange ke jal jane tak

saath mere to 'Kapil' jaata koi nahin
tu bhi saath chal dum nikal jaane tak