Monday, April 30, 2012

Meri hasti pe kya

meri hasti pe kya sitam kiya ki main wahin khatam hua
kyon aaj mujhe awaaz dete ho ke dil ab bahut durr hua

khabar aati nahin ab koi ki unho_ne sun_na chodd diya
kya kare yeh dil tanha ke aaj unke gum mein barbaad hua

jo hota abaad agar yeh dil to judaa hokar kaise jeeta
rehta gumnaam saath unke, barbaad hokar iska naam hua

mere gumnaan-naam ka aur charcha yahan na aur karoo koi
aisa na keh behtoo ki unki gali se guzarna dushwaar hua

aaj bhi Kapil roz guzarta hai unke ussi dar ke aage se
jaane kya hua ke woh darr hi hamesha ke liye band hua

kiss ki justajoo

kiss_ki justajoo karta hai aye dil tu mujhse
woh to kab_ke rooth kar chale gaye hain mujhse

tu hi bata main manata to unko aaj manata kaise
haath khali aur baacha dil bhi cheen le gaye mujhse

main kis umeed pe pukarta tujhko samjahane unko
saath unka dekar aye dil tu bhi dur ho chala mujhse

liye baitha hoon khali haathoon mein wohi do pal
jinhe saath beeta cheen liya tune mera chain mujhse

aaj guhaar karoon to tu bata main karoon kis_se
yeh sahar tera hai aur yahan har koi hai khafa mujhse

kaun jaane kya gila hai tere shahar ko mujhse
ismein khata meri kya thi ki dillagi tune ki mujhse

tu bata tera shaher chodd kar main jaaon kaise
dil reh jayega yahan, dhadkan bhi juda hogi mujhse

kyon karta hai dil bekaar justajoo har dum unki
woh bhool gaye ki unhone liya kabhi dil udhar mujhse

Sunday, April 29, 2012

do raaha

dhoond raah aapni khud main
chal raha tha manzil ki aur
phir aaya do-raha ek jagah
asamanjas mein jaaon kis aur

utani hi purani utani chali
dono raahein lagati ek jaisi
koi batata nahin aage kya ho
aa padi phir duvidha kaisi

soch raha hoon kis aur jaoon
dono to samandar paar jaati
par kashti dono nahin dikhati
dono taraf dur lehrein aati

lehroon ke aane-jaane ka
ruk dekh raha hoon nazara
koi lehar kuch nahin batati
aage kya hoga yahan mera

jaane to akele hi mujhko
phir kyon dost dhoond raha
chalna to aage khud hi
par phir bhi aas rakh raha

kuch dikhata nahin us paar
jaane kya milega duniya se
kabhi soocha hi nahin maine
kya milega duniya ko mujhse

woh duniya bhi to badi hai
main adana sa aadam hoon
woh mujhse kyon aas lagaye
main to udata panchi hoon

kaise ruk paonga mein wahan
koi pinjara rok na payega
kya degi woh duniya mujhe
jo rukne pe baandh jayega

na jaane kyon sooch raha
main to abhi gaya nahin
na jaane kyon dekh raha
woh nazare jo mere nahin

main chod jaaon kaise tujhe
aye ghar bata tu hi mujhe
yadoon ki sab daulat yahan
wahan kaun sambhalege mujhe

kuch kadam hote to soochta
par kashti yeh aasan nahin
samdaar gehra yahan bahut
yahan teyrna aasan nahin

pada hun ussi do rahe par
soch raha kis aur jaaon
koi saath soochta nahin
main saath kisse le jaaon

aaj phir hai mujhe chun_na
rasta aapna khud dhoondna
raah asamanjas asaan karna
mujhe ek nayi raah ko khojna

Saturday, April 28, 2012

jee nahin sakta

tum duniya ho meri, main tumhare bina jee nahin sakta
bahut dard deta hoon, par aur kisi ko dekh nahin sakta

mujhe dard to bahut hota hai, tumhe dekh kar roz aise
kaise bataoon, yeh dard tumse bayaan kar nahin sakta

socha hai chod ke chal doon aaj main dur kahin tumse
ek baar seh loonga par roz tumhe ghutta dekh nahin sakta

chodd diya hai tumko par dil se kabhi nikal nahin sakta
yaad rakhna, tumhare aansoon saath main jee nahin sakta

time to keep moving

As i stand on the door
I see you walking away
what should i ask you
you aren'tt going to stay

Steps are small and slow
some thoughts in mind
you dont turn back once
know you have been kind

as the road ends and turn
I see you pause a while
as you see whats left
all i do is try and smile

you pick yourself, walk
moving out of my sight
its getting dark here
and you may need light

as i stumble and follow
try to look you in dark
I dont know where to find
you may need light in dark

Dejected i turn back
only to see you sitting
right in a corner
with those tears flowing

as i try and come near
I just dont say a word
know the hurt i caused
brought down your world

lead my hand to tap you
stop short of your shoulder
guess need to let you go
and not offer my shoulder

As i turn back and walk
i hear the sobs stopping
i know, you know its over
its time to keep moving.

ek aashiyaan

kya naseeb likhwa ke laye the, ke bhatakte reh gaye
ek aashiyaan banaya tha, use hum taraste reh gaye

har baras aata hoon dekhne, yahan basne ka sooch ke
bache hain veerane, ki ghar ke pathar bhi bikhar gaye

jod jaata hoon kissi tarah in patharoon ko har baar
par lagta hi jate hi sab mujhse aur dur ho gaye

yun hi har din badati hai duri in patharoon se meri
har baar pata hoon, ki kuch pathar pathar na rahe

kabhi ek umeed si thi, ki hum bhi reh payenge ismein
jaane kab uski umr huyi aur wahan khandar reh gaye

dhoondta hai Kapil ab in khadooron mein phir kisko
lut gaya sab, bas toote khwaboon ke pulinde reh gaye

more balam mohe kyon tarasaye

more balam mohe kyon tarasaye

tore bin mohe jiya na jaaye
kaun sune, mori sab batiyaan
din beeta, tanha ratiyaan
more balam mohe kyon tarasaye

tore bin mohe chain na aaye
baat karien sari sakhiyaan
main thaki jala raah batiyaan
more balam mohe kyon tarasaye

tore bin mohe laaj na aaye
dhoond chuki sari galiyaan
jaan gayi sari bastiyaan
more balam mohe kyon tarasaye

tore bin saajan dil lalchae
birah ki mari meri ratiyaan
suni hain saari galiyaan
more balam mohe kyon tarasaye

more balam mohe kyon tarasaye
tore bin mohe jiya na jaaye
tore bin mohe chain na aaye
tore bin mohe laaj na aaye
tore bin saajan dil lalchae
more balam mohe kyon tarasaye

Friday, April 27, 2012

meri deed di kook sun janda

O Mahiya tu kyon lukjanda
meri deed di kook sun janda

naiyna naiyna kardan hei
tu kyon naiyna nu takda
hun das ve mahiya menda
tu ae bhesh kyon vatanda

O Mahiya tu jado lukjanda
deed di kook te sun janda

char dihadi baad milaya
tu mainu kyon tadpanda
gin-gin raatan katiyaan
tu kyon mainu satanada

O Mahiya tu jado lukjanda
deed di kook te sun janda

roz awan main buhe tere
ahe band buha hi disda
luk gaya tu chad sabnu
mainu te than das janda

O Mahiya tu jado lukjanda
deed di kook te sun janda

laban tenu kisde daware
main ghar na koi chadeya
tu vase hun bhawein kidare
ek var dil vich vasjanada

O Mahiya tu jado lukjanda
deed di kook te sun janda

aaj piya na aaye

phir aaj piya na aaye

phir aaj piya na aaye
mora jiya mohe sataye
kuch na boli main piya se
phir aaj piya na aaye

yun har din beete
par raina na kaati jaye
O piya bahar biti jaye
phir aaj piya na aaye

aur mori araz nahin
par piya se suni na jaye
kyon dur ghar basaye
phir aaj piya na aaye

jab-jab sawaan aaye
jiya tadapt jaaye
bin piya mohe kyon tarasye
phir aaj piya na aaye

raah niharoon
tori sajan main
phir bhi tu yahan na aaye
phir aaj piya na aaye

koyal kook-kook sunaye
kyon meri na sunta jaye
tujh bin raha na jaaye
phir aaj piya na aaye

phir aaj piya na aaye
phir aaj piya na aaye

Thursday, April 26, 2012

garmi ki baarish

kuch awaazein sunai di
jaane kaise is mausam
kyon baras raha badal
aaj phir bin mausam

kuch to hoga asmaan
jo garaj raha hai aise
ab aya hai jaane use
is mausam khyal kaise

jab tapii thi dharti
pehle barsa to nahin
hua tujhe aaj yeh kya
phele mausam hua nahin

bijali gir rahi hai
har taraf aaj dekho
jaane kya soojhi hai
is mausam se poocho

bhar gaya hai paani
har gali main to aaj
nikal aayein hain mor
bhi nachane ko saath

magar jaane kya hua
suraj ko aaj ke din
chup gaya garmi mein
jaise ho lau ke bin

baras raha hai paani
kabse pyasi dharti par
umeed jag rahi hai aaj
har na_umeed dil par

paani bhi ajeeb hai
kahin jaata hi nahin
umeed se keh raha hai
na_mumkin kuch nahin

main phir soch kar
chala manzil ki aur
bheeg gaya hoon aaj
badta teezi se aur

aisi duniya nahin mangi

duniya kahin das shahh deti hai, main bas ek mangata hoon
main to woh zaraa hoon, jo zare-zare ko tarasta hai

milte hain sukoon sabko, bas mujhe mera hisa nahin milta
main sukoon talashta hoon, aur mujhe dard milta hai

kuch paas nahin mere, par main umeed sabse rakhta hoon
haqiqat ho na ho, paas khawboon ka pulinda rehta hai

bahut kuch paas mere hai, par dil ka tasavur nahin milta
maine dil to nahin manga, dil kyon firse tadapta hai

hai azaad yahan har koi, par ek main bediyoon mein hoon
unke saath udana chahta hoon, aur fansala milta hai

milte hain log to bahut mujhko, bas dildaar nahin milta
aisi duniya nahin mangi, jahan mera dil tadapta hai

bahut masoom se lagte hain

kuch hum khud se ladte hain
kuch zamaane se ulajhte hain
aur yeh sab bas is liye hai
ki aaj hum unhe dekhte hain

unmein shaitaniyan hain kitani
par bahut masoom se lagte hain
main jitani baar guzarta hoon
woh utani hi baar chedte hain
dekh loon to munh pher lete
aur na dekhoon to hanste hain

khone ka unhe koi dar nahin
woh bas be_fikre rehte hain
har khilone se khel kar woh
do din mein todd dete hain
hai zidd naye ki baache si
aur purana bhul jate hain
khilona koi dil hain nahin
aur woh dil se khel jate hain
man bharne par aage badate
aur kabhi thokar lagate hain
ya rab kya ada di hai tune
ki ada pe log mar jaate hain
par quatl kar hazaroon ke
bahut masoom se lagte hain

hum kabhi se

hum kabhi se unhe bhula chuke hain
har umeed ko khatam kar chuke hain

kahan milenge woh humein nahin pata
hum to unse bahut dur aa chuke hain

kabhi sajaaye the jo baag gullon se
hum sabhi gulshan bhula chuke hain

inteezaar rehta humein har bahar ka
aaj hum baharoon ko bhula chuke hain

bematlab hai yeh pattjhad bhi ab to
ki hum to sarre ped kaat chuke hain

kyon dhoonde hum aaj phir se unko
apne dil ko bahut samjha chuke hai

barbaad zindagi ab barbaad kya hogi
aapni barbaadi gale laga chuke hain

One that stirs

one that stirs life with a word
one that makes or breaks world
My beloved there can be no other
in your company nothing to bother
I am here in your adobe forever
let me in here my beloved lover
there is no where else to go
i am here against the flow
cause i know you are the one
you the beloved, the loved one
shining the armour or love
holding the flag of the dove
embrace me in your arms forever
and let me in for ever and ever

Wednesday, April 25, 2012

dil talashta hai


dil talashta hai par use dilnashi nahin milte
log milte hain par har ek se dil nahin milte

bayaan karoon kaise aa main unke jalwoon ko
meri zubaan ko unke like alfaaz nahin milte

yahan dekhne ke liye to bas ek shama hi thi
akeli shama ko bin ankhoon ke log nahin milte

woh bhi yun be_fikr beithe rahe shama saath
sirf shama ke tasavur wale charche nahin milte

dekh liya hai shama ne sab, kya kahein ise
majboor humein bin shama deedar nahin milte

bhatkta Kapil anderoon mein talashnein dil ko
aaj shama saath deti hai unhe dhoondane mein

Tuesday, April 24, 2012

aaj unse phir mulakat hogi

raat ko jab tanhai saath hogi
khwaboon mein unse baat hogi
chahe jitana bhi rok le duniya
par aaj unse phir mulakat hogi

dekh khwab ko jab uthenge hum
kuch apni subha se baat hogi
chalenge ghar se yehi soch kar
aaj to unse phir mulakat hogi

din chadte kuch bechani rehegi
milane ki kasak kuch aur hogi
badenge unki taraf yeh soch kar
ki aaj unse phir mulakat hogi

dopahar suraj bhi milega yun
jaise use unhi se mohobat hogi
phir kyon hai lagta par humein
ki aaj unse phir mulakat hogi

shaam aayi hai leke hawa nayi
us hawa ko bhi unki kasak hogi
chalenge hawa ke saath hi hum
ki aaj unse phir mulakat hogi

raat ko jab tanhai saath hogi
khwaboon mein unse baat hogi
nahin sunati shor mein duniya
par aaj unse phir mulakat hogi

I have the light

I have the light of your love
to take me thru all ups and down
let me live life way its meant to be
and to lift me when I am down

For there is no one but you
dancing in my chest as always
you the beloved and the loved
you the occupant of my heart
come reveal yourself to me
for what i have is your light
and rare glimpse of existence
that lingers even when asleep
you that shows me the path
leads me away from darkness
that leads me to this dance
unaware of world, I dance

Come see this new joy in me
that's nothing but its you
come feel the heart beat
each is nothing but you.

zindagi peeche reh jaati

zindagi peeche reh jaati hai unko manane mein
ek umr guzar jati hai, dil ko samjhane mein
ab aur kaise bataayein unko haal-e-dil aapna
main seena cheer baitha unko yakin dilane mein

woh mere seene mein reh kar bhi nahin mil paate
kitane din guzar jaate hain tasavur paane mein
gunjatii hain awaazein mere andaar yunhi kabse
par mudat beet jaati hai unhe baat batane mein

makaan khali rakha tha maine bas unhi ke liye
par woh kadam nahin rakhte aise garibkhane mein
beich aaya tha imaan main badaa karne ko makaan
iman khareed woh ho gaye shumar imandaron mein

aaj mujhse woh phir mere imaan ka mol karte hain
kaise bataoon farak unmein aur dukandaroon mein
main to liye khada tha yahan sab kuch unhi ke liye
aur woh mashroof rahe isse munafa kamaane mein

kho kar unhe main agar kamaata bhi to kya kamaata
dulat-e-ishq nahin bikata hai yahan dukanon mein
kya dhoond raha hai Kapil unki galiyoon mein phir
milta sab, bas dil ek nahin milta unke mohale main

dhoondte ho...

tum aaj mujhse kya apna illaaj poochte ho
main beemar tumhara mujhse dava poochte ho

garq hua hoon main to khayal mein tumhare
tum mujh par kya sukhi zameen dhoondte ho

na milkar tum le jaate ho yeh neend mujhse
to milkar tum kaise mera chain dhoondte ho

main gum gaya tha in toofanoon mein kabse
kaise makaanoon mein tum mujhe dhoondte ho

har baar chodd jaate mujhe na_umeed kar ke
mujh mein ab kis baat ki umeed dhoondte ho

aaj mujhe de ke zamaane ke tum dard sabhi
Kapil ab kaun sa naya ek dard dhoondte ho

woh mere zahan mein

woh mere zahan mein rehte hai par milte nahin
shikayat kis se karein, yahan sunta koi nahin

bedaag husn hai ki isse bayaan kaise kare koi
yahan bas ek shama hai jiski jubann hi nahin

aaj faail raha hai nurr unka yahan har jagah
chand hi baacha hai jo dekhta kuch bhi nahin

tanha chandani thi magar woh bhi ab kya karti
dekh unka jalwa aaj aati sharm use bhi nahin

shayad kuch sarsarahat hui hawa main dur kahin
unke hone tak pahoonchati koi hawa bhi nahin

yahan fiza mahek jaati unke na hone par bhi
kambhakt fool khushboo churane se rukte nahin

kaise bhul jaye Kapil unki nazaroon ke karam
ab dikhta unki nazaroon siwa kuch bhi nahin

Monday, April 23, 2012

nahin milta hai dil unka

nahin milta hai dil unka, to hum kya gilla karte
dard bahut hai judai mein, hum kaise wafa karte

yeh dard aapna hai, saath rehta hai apne hardum
khushi mehmaan hai, iske jaane ka kya gum karte

saath nahin apne, woh tabiyaat udhaar mangi thi
apni amanaat le jaane par, kis_se shikayat karte

kuch manga nahin tha, phir bhi dil diya tha humne
khud ki di cheez ka, hum unse kaise malaal karte

woh aaye the kuch pal khel kar, man aapna bharne
unke man bharne par, hum unhi_se kaise gila karte

man bhara tha, par the haath khali hamesha yahan
khali haathoon se hi hum unke liye dua hain karte
 

O! dear heart

O! dear heart why you don't listen
You know that I have been bitten
by a bug that resides deep in you
that tells there is no one but you
for I am here now in your expanse
it is to your beats that I dance
My beats seldom heard or spoken
for without you rhythm is broken
heart, head to the cries of mine
let me, my beloved, my love shine

Sunday, April 22, 2012

Dwelling in eyes...

Dwelling in eyes of own beloved
come my dear you the truly loved
here now in this moment of glory
come come join me in this story
for the colors are bright vivid
the people around are so livid
painting their color to picture
here there's no permanent fixture
my body lives just for you dear
O love, come near let soul hear
your footsteps your beating heart
for without you there is no art
the pictures I paint are all hazy
I don't fix them they say am crazy
only picture I have known is you
only song have sung is about you
I am living but without any life
My Souls food you my sole life.

jag hasta hai

jag hasta hai, tum rote ho
har gum ko to tum peete ho
sabhi se juda tum rehta ho
aaj kyon tanha tum jeete ho

goonjati yahan awaazein hain
kuch khati-meethi yadaein hain
is dard ki dabi dastanein hain
deewar ke bayaaan afsanein hain
khaak hue kitane parwanein hain
khatam tumhare deewanein hain

ab aao milkar do baatein karien
kuch aapni kahien, tumhari sunein
dard hota tumhein tanha dekh kar
aur ek tum karrate tanha ho kar
kya haasil hai tumhe is tanhai se
bas dard se bhari is shayahi se
chod do dard ka damaan tum abhi
muskurao jaise mukurate the kabhi
hum khade hain tumhari rahoon mein
ki tanhai aachi nahin baharon mein
is dard se simati dastanein hain
aaj goonjati yahan awaazein hain

Saturday, April 21, 2012

aaj phir tanha din guzar gaya

aaj phir tanha din guzar gaya

umeed ka daman thame beitha tha
aur har lamha taqta chala gaya
kuch yaadon ne mujhe dastak di
aur kuch se nata ab chut gaya
aaj ghar ki deewarein poochein
jo tera tha woh dil kahan gaya
ghar kya jaane dil manmauji ko
woh kahin dil lagane ruk gaya
sarhane mere jagah khali rahi
aaj phir tanha din guzar gaya

unki awaazein ab pukarti hain
main awaaz ki aur badta gaya
wahan aapna maine to dil paya
dil mujhse peeche hat_ta gaya
jake thamii maine bahein uski
aur woh baanh chuda daud gaya
ruthna uska sitaam kum na tha
aur woh chup-chup ke hasta gaya
itne jatan se bhi dil na maana
aaj phir tanha din guzar gaya

main pir dhoodta phirta hoon
dil na jaane kahan chup gaya
awaaz deta hoon nahin sunata
lagta hai mujhe ab ruth gaya
manaoon kaise main usko ab
woh to mujhse dur Chala gaya
kuch aur hi thi manzil uski
aur woh ab us aur badd gaya
main hoon takta raha rah uski
aaj phir tanha din guzar gaya

Friday, April 20, 2012

jaan baaki hai

choat hi lagi hai, naasur ban_na baaki hai
sitaam kuch kar le, ke abhi jaan baaki hai

kya kahoon tujhse tere aise karam ke baad
mujhe lagta hai, sun_na aur abhi baaki hai

dekha jo nazaraa kabhi aise soocha na tha
kyon ye jahan keh raha jalwa abhi baaki hai

mera jal raha tha aashiyaan is sab ke beech
main khaak hota, par tera milna baaki hai

roz tasavur karta hoon tere naye sitaam ka
kaise dil ko bataoon, sazaa aur baaki hai

suna hai sazaa milti sabko apne hi hise ki
par Kapil tujhe unka hissa milna baaki hai

main soya tha raat mein

main soya tha raat main soch kar, kal naya savera hoga
aaj dekhta hoon to wohi suraj hai, kal se aur thaka hoga
kyon hoon umeed mein main us kal ki, jisse dekha nahin
kashmakash-e-hasti hai ismein kya jaanu kaun apna hoga

shahar jisse apna samjha tha woh pal mein munh pher gaya
kaun jaane, phir mera is begaine se shahar mein kya hoga
dhoondta hoon main ek ashiyaan ab issi mein phir se kahin
dasht hi dikhte hain mujhe, ab yahin kahin mera ghar hoga

kabhi rehta tha khada apne ghar, dur dariya dekhta raha
dariya bas dekh mujhe poochta raha, bata aage kya hoga
tab na jaane kahan se ufaan aya aur main usmein garq hua
ab main poochta hoon dariya se, bata mere aage kya hoga

thamoon to thamoon kisse, yahan mera na koi sahara raha
mila bas waqt, jo kisi ka nahin woh mera sahara kya hoga
wahan par main dekhta raha aur yeh waqt bhi fisalta gaya
ab hoon bina waqt ke, Kapil ab tu bata tere aage kya hoga

Thursday, April 19, 2012

aye dost tum mujhe dushman se nazar aate kyon ho

aye dost tum mujhe dushman se nazar aate kyon ho
tumpe gumaan karta hoon, aas yeh tod jaate kyon ho
shahar mein ghar aur bhi hain yun jalane ke liye
tum hamesha mere hi ghar ko aise jalate kyon ho
aye dost tum mujhe dushman se nazar aate kyon ho

jab roona tha to tum mujhe yun chup karate kyon ho
gumnaam se dard ko na_jaane tum apna batate kyon ho
aaj hasrat hai rone ki par paas koi aansoon nahin
mere har ansoon ko tum mujhse yun chupate kyon ho
aye dost tum mujhe dushman se nazar aate kyon ho

phele milkar duniya ka gum mujhe bhulate kyon ho
fir ek din chodd tum wohi duniya dikhate kyon ho
main duniya aapni samet chuka tha bas tum_hin tak
meri yeh duniya hi ujaad kar tum ab jaate kyon ho
aye dost tum mujhe dushman se nazar aate kyon ho

pehle ek umeed jagaa ussi umeed ko dabate kyon ho
dil-e-armaan ka tum aisa hashr kar jaate kyon ho
main sab kuch bhul gaya tha tumhare saath ho kar
tum mujhe phir se mere woh zakhm dikhate kyon ho
aye dost tum mujhe dushman se nazar aate kyon ho

main tanaha rehta hoon to khwab mein aate kyon ho
meri tanhai dur kar_ke tanha chodd jaate kyon ho
main to abhi bhi rehta hoon intezaar mein tumhare
tum mere halaat pe hans kar chale jaate kyon ho
aye dost tum mujhe dushman se nazar aate kyon ho

moti bhikharte gaye

jahan moti mile unhe sahejte gaye
ek taar mein unhe hum pirote gaye
aur jane kahan se ek jhataka laga
taar tuti aur moti bhikarte gaye

chun raha hoon fir woh moti main
par ganth se woh taar rehti nahin
aur agar pehle moti pirotaa main
phir taar mein ganth lagti nahin

sahej moti aise hi aage badte gaye
bin taar ke yeh moti bikharte gaye
khoya tha inhe ek baar jhatake se
bina thokar hi yeh dur hote gaye

jo gum gaye hain woh milte nahin
aur yaad se woh kahin jaate nahin
kaise bhool jaoon main khud unko
sahejey moti zahan se nikalte nahin

kabhi hum yadoon ko bhi pirote gaye
jahan dard mila usse sahejte gaye
wahan bhi bas ek aisa jhataka laga
meri aas tuti ye moti bhikarte gaye

aaj hum, hum na hote

aaj hum, hum na hote to yeh kehte kaise
haal-e-dil tumse hum bayaan karte kaise
kasak uthati hai dil mein tumse bas yun
tum hi yahan na hote to hum jeete kaise

jeene ke liye yun bahane hazaroon hain
un sab mein se hum haqqiqat batate kaise
bayan karne ka jasba bhi tumhi se mila
agar tum hi na hote gustakhi karte kaise

aur bhi hoti hongi is gustaakhi ki saza
saza na paate to hum ye dard laate kaise
dard dil mein hai to kuch sunate hi jaate
par haal-e-dil tumse bayaan karte kaise

aaj hum, hum na hote to yeh kehte kaise
haal-e-dil tumse hum bayaan karte kaise
dil machaal raha tha kabse tamanna mein
dil hi na machalta to hum ab jeete kaise

abhi jee rahein hain aur hum zinda hain
agar zindaa na hote to yeh batate kaise
agar mar jaate to bhi bas yehi gum rehta
bin bole yeh baat tumhe hum jatate kaise

bahut hui bayaan karne pe charcha yahan
bayaan karte to baat yahaan laate kaise
is haseen khel chod, ab Kapil tu hi bata
yeh haal-e-dil tumse bayaan karte kaise

aaj hum, hum na hote to yeh kehte kaise
haal-e-dil tumse hum bayaan karte kaise

Wednesday, April 18, 2012

tum milne mujhse

tum milne mujhse khawboon mein aate kyon ho
main bulata hoon to har baar satate kyon ho
dil dhadak raha hai kabse bas tumhare liye
tum is dhadkan ko tasavur de badate kyon ho

agar hum tanha rehta to tumse kya gilla karta
ki humsafar ban kar tanha chod jaate kyon ho
do ghadi mili thi humein yahan saath rehne ko
tum ghadi-ghadi ghadi dekh waqt bitate kyon ho

koi aur hota to hum ek baar yeh seh bhi lete
par tum mujhe dur dekh saamane aate kyon ho
aur jab bhi main kareeb aata hoon milne tumse
tum mere yahan hone pe yun chup jaate kyon ho

yaad tumhari jab bhi nikaalne lagta hoon main
tum aapni kisi yaad se mujhe tadpate kyon ho
main tanha hi jee raha tha, khuch zindagi se
is tanhai ko cheen mere gum ko badate kyon ho

Sunday, April 15, 2012

main majdoor

na_umeedi ke baad kabhi to umeed banati hai
har raat ke baad kabhi-na-kabhi subha hoti hai
kyon ho jaoon maayus main is ek na_kaami pe
na_kaam koshishoon ke beech nayi khoj hoti hai

aap kya janoo paseene bahane ka alam kya hai
band kamaroon mein kab kissiko dhoop lagti hai
jalta hoon roz hi doopahar ki dhup ke neeche
aur baarish mein ek nayi chat doondni hoti hai

bataoo kidhar jaoon main is sab ko chod kar
aapki tarah roz mujhe roti to khaani hoti hai
mere paas kahin jaane ka koi zariya to nahin
par mere honsale se har duri yeh kam lagti hai

har baar kyon meri mehnat ko dhutkaar jate ho
ladta hoon khud se, mujhe zindagi jeeni hoti hai
zindagi jeena ka aisa matlab aap sab kya janoo
aap ko to yeh sab ek be_maani si baat lagti hai

mujhe is sab se har raat chain ki neend aati hai
suna hai aapko roz need ki goli khani padti hai
main majdoor hi aacha, ki rukhi suni milti hain
aapko khane ke liye bhi parchi likhwani padti hai

kyon hai

kyon hai berukhi zamaane se, jab aap bhi hain zamaane se
dard hota hai jab chunna padta hai, qautil ko chor mein se

quatl kara usne mera ek nazar mein, aur aah na bhari usne
guhaar karta main kis_se jab zamanna rakhta umeed ussi se

lut chuka hoon na jaane kitani hi baar main yahan ab tak
shikwa karoon main kis_se jab donno lagte bas mujhe ek se

kyon chun_ne ko kehte ho tum mujhe in do mein se ek ko hi
lagta poochet ho, kya bhala quatl hone baar baar lutne se

haif! mera hashr jo bhi hoga in mein se ek ke haath hi hoga
chun_ne ko ko chun liya humne kissi ek ko quatiloon mein se

dil machal raha

dil machal raha hai aaj phir ek baache ke jaise
aur woh hain ki ruk ke aate kisi dulhan ke jaise
tamashi jahan dekh raha chupke khidkiyon mein se
aur dikhta noor unka hai raat ke chand ke jaise

kuch aur soochoon to bhi main ab soochoon kaise
zahan mein rehte hain woh mere kissi khwab jaise
main yahan inteezar mein tha unke jaane kab se
aur woh hain ki khelte hain mujhse khilone jaise

sabr ko dekhte hain par woh dekhte betaabi nahin
yeh tamanna hai ki ab dabti nahin fukoon jaise
bhar raha tha shayad main fukein tamannaon mein
aur woh na aake chubho jaate the unhe sui jaise

khwashien hai hubaab aapni, aur jahan samandar
ubharti hain yeh bhi usmein se kissi laher jaise
shayad hai hasti bhi inki us laher ki hi tarah
mit jaate hain ubhar ke yeh bhi laher je jaise

woh to aa hi rahe hain ab tak shayad meri aur
yehi lagta hai aankhoon ko kis saraab ke jaise
yeh dasht-e-hasti to nahin thi Kapil phir bhi
zindagi meri beeti hai yahan kissi dasht jaise

Saturday, April 14, 2012

aaj kuch be_chaini si hai

aaj kuch be_chaini si hai
na jaane kyon aaj phir woh jasbaat ubharne ko hai
mehsus kiye tha jo halat humnein kabhi
aaj wohi halaat fir se hone ko hai
kashmakash hai na jaane kiski magar
mere halaat pe asar iska hone ko hai
umeed thi ki do din mein badal jaayegi duniya
duniya badali par ab aur jyaada badalne ko hai
lad raha hoon khud se hi na jaane kab se
kisi roz yeh jad-o-jahad bhi khatam hone ko hai

aaj kuch be_chaini si hai
kashmakash-e-hasti andheroon mein dhakelne ko hai
jaane kitni surangoon se guzara hoon ab tak
na jaane ab kaun si andheri gali aane ko hai
rasta kis mod mudta hai mujhe dikhta nahin
par iske siwa ab kahan jaane ko hai
dur dikhti hai ek roshni kuch aise
aur yeh rasta hai ki dusri aur jaane ko hai
chod deta is raste ko bhi mein kabhi
par shayad ek nishan ab milne ko hai

aaj kuch be_chaini si hai
chal raha hoon par na jaane paer kis manzil ko hai
in raston mein saray dikhe hain kitane
kaun jaane kis mein chain bhi rehne ko hai
main to jahan bhi ruka wahin yehi hashr dekha
har kissi ka chain khone ko hai
ab darta hoon kahin aur rukne se bhi main
meri bachi hui umeed bhi khone ko hai
pehle to aisa nahin tha mere saath kabhi
par aaj kuch be_chaini si hai

Friday, April 13, 2012

bahana waqt ka

bahana waqt ka bana kar tum chale aaye
koi ranjish nahin, fir bhi mujhe chod aaye

main tamashii banaa is zamaane ke liya
aisa laga, dil bhar gaya aur tum chod aaye

fursat-e-gunnag milta to hi kuch sochte
tumne kya soocha, wahan tanha hi chod aaye

chashma-e-ishq chada tha to kaise dekhte
tumne aankhein churai, aur takta chod aaye

faqat yeh zindagi to hai bas char pal
tumne do pal liye, aur ek wahin chod aaye

yeh waqt bhi tamashai bana dekhta raha
tum be_qadr nikale, waqt ke lamhe chod aaye

main jo gaya

main jo gaya do din ke liye yahan se
ki yeh shahar hai ab pechanta nahin
kabhi har thokar par utha jaata tha
aaj shahar mujhe sambhalta bhi nahin

do kadam badoon to badoon bhi kis aur
kissi taraf bhi kuch ab aapna nahin
aaj miloon bhi to main miloon kis se
begaane shahar ne apna koi choda nahin

phir bhi chala main aapni gali ki aur
par yeh gali to ab bilkul waisi nahin
ghar to abhi hai issi gali mein hi mera
par lagta hai woh ghar bhi mera nahin

jis makaan ko dekho woh_hi badal gaya
yun lagta hai inhe kabhi dekha nahin
har surat wahi dikhti par chahra naya
yahan har shaksh ab pehle jaisa nahin

kabhi jeena to chaha tha maine yahin
par yah shahar mera to hua hi nahin
khwashien bahut thi shahar se mujhe
par shahar ko kissi ki parwah nahin

kabhi mang_kar

kabhi mang_kar kabhi bin_mange kyon cheenta mujhse,
ya khuda bata, ab hui kya khata mujhse

is sab ke baad mere paas baacha tha bas sukun mera
aur aaj tune cheen liya usse bhi mujhse

kabhi shikan na aayi har ek carvaan lutane pe bhi
har daulat chodd kyon cheena chain mujhse

kabhi samjaha nahin tha keemat do paloon ki neend ki
neend lekar cheena hai woh khwab mujhse

main khwab aur naye bhi dekhoon to ab dekhoon kaise
lut chuke hain aaj sabhi armaan mujhse

Thursday, April 12, 2012

jo jaa chuka

jo jaa chuka hai, tum kyon use aawaz dete ho
gade murdoon ko kyon tum fir se zinda karte ho

main to khush tha kab se rah is kabr mein hi
gulistan basaane ka tum kyon khwab rakhte ho

phool kabhi-kabhi khil jaatey hain mujh par
aur tum mujhe un phoolon se mehrum karte ho

main to mehrum hua hoon aapne makaan se kab ka
ab ghar nahin to kyon basane ki baat karte ho

ruka tha basne, kabhi zindagi mein main bhi
par tum poochte rahe kyon safar mein rukte ho

tum kabhi ruke hi nahin is safar mein to yun
hum khaak hue aur tum khaak se umeed karte ho

jaaon to kidhar jaaon

kyon hai lagta ki main khud ko bhul jaaon
tu hi bata aaye dil mein kaise chain paaon
kuch talashtii hain tamannaein har jagah
adhuri talash liye jaaon to kidhar jaaon

talash kiski hai khud mujhe hi nahin pata
batao is bin manzil ki talash se kya paaon
manzil hoti bhi agar to mujhe milti kaise
nayi manzil talashney jaaon to kidhar jaaon

chal rahi hain andhiyaan kai man mein mere
in ukhedti andiyoon se dur main kya paaon
main jal raha hoon yahan kabse bas yun hi
sulagta man lekar ab jaaon to kidhar jaaon

ghutan hoti hain mujhe tang makaanoon se
par makaan se nikal asmaan tale kya paaon
tang dil_on ki basti main tu hi nazar aata
tu hi bata tere siwa jaaon to kidhar jaaon

Wednesday, April 11, 2012

shor bahut hai

khudkushi kaun khud ki khushi se karta hai
kamzarf zamaana hai, aapne gham ko meri khushi kehta hai

mera na kuch karke yeh barbaad karta hai
main kuch karoon to, meri nakaam koshishon pe hansta hai

bhaagna chahoon to bhi bhaag nahin sakta
main zamaana hoon, bhagana mujhe khud se hi juda karta hai

yeh kasoor tera hai main ab kis_se kahoon
deewarein sunati hain, aur mera kehna mujhe barbaad karta hai

tere darmiyan chup koi rahe to rahe kaise
shor bahut hai, is mein chup rehna mujhe na_gawaar lagta hai

bulane pe

bulane pe nahin aana yeh unki ek aada ho gayi
unke shahar mein unse baat hue mudat ho gayi,

gunjaati hain aaj meri awaazein yahan har aur
bina kissi bhi jawab ke to aaj shaam ho gayi

darr raha hoon ki kahin khud ko to nahin sunta
aaj mere veeranon mein bachi aas bhi kho gayi

unke hone se to tha gumaan kabhi mujhe khud par
par unke na hone se khushfahmi bhi chali gayi

band karloon aankhein to bhi surat wohi dikhti
in ankhoon ki unke siwa sab se dushmani ho gayi

kyon kholte hai palakein hum phir aaj yahan par
bina unki suraat dikhe to aaj quayammat ho gayi

woh nahin milte Kapil yahan to kya gum karta
is inteezar mein dar-o-deewar se dosti ho gayi

dard mein bhi

dard mein bhi woh sukun ki baat karte hain
woh to mar_kar bhi jeene ka dum bharte hain

hum to dum bharte rahe unka yunhi har dum
aur woh un lamhoon ko bhulaane ko kehte hain

kaise bhool jayein hum unke diya rang sabhi
unhi rangoon se abhi bhi khud ko rangte hain

aaj bhi rangat koi dekhoon to nahin bhaati
unke aage to sab rang bhi pheeke lagte hain

aaj juda hain rang is mausam se bhi kahin
aur mausam unhi se rang ki guhaar karte hain

guhaar humnein bhi ki kabhi kuch lamhoon ki
par woh na milkar bas waqt ki duhai dete hain

Kapil waqt tab bhi tham gaya tha aur aaj bhi
tab niharte the aur aaj hum dhoondte hain

Monday, April 9, 2012

nodes of String

nodes of string strum low and high
need some new feathered wings to fly
for my flights gone be high and long
and also need to hear sound of gong
Oh! they sing so well loud and clear
In flight that's what I want to hear

they don't sing often, neither I fly
but don't want miss them in the sky
I hear their rhythmic dreams beat
wings cripple in their moments heat
Oh lord, let me fly and let me hear
sound of the gong is just too dear

what shall I choose between the two
either passion or love, have no clue
who do Icall now to make this choice
who is the one to head to my voice
Oh heart you are the target of hunt
and you have to bear choice's brunt

Sunday, April 8, 2012

aaj roko na babul mujhe (Bidai based)

aaj roko na babul mujhe, main to piya ke saath chali

aawaz na de aye ghar mujhe, main tujhe yun chod chali
roona mujhe ab nahin, main saajan ke saath hoon chali

aaj roko na babul mujhe...

ghar ke dharwazoon se kehdo, main kunjiya chod chali
tasveeron bayan karna kabhi, jo main yadein chod chali

aaj roko na babul mujhe...

babul jaanu main dard tera, aur isse main sahej chali
main ladd_on se hoon pali, fir bhi tujhse dur chali

aaj roko na babul mujhe...

mujhe de na kuch babul, main sath le tera sikhaya chali
ye bhi teri seekh hi thi, ke main hans piya ghar chali

aaj roko na babul mujhe, main to piya ke saath chali

yeh waqt guzar jayega...

yeh waqt guzar jayega
har lamha mit jayega
aaj main hoon, tum ho
kal doosra Zinda kehlayega

zindagi bahut badi hai
khwab adhoora reh jayega
jitni bhi karoon koshish
kuch kaam to reh jayega

pura hota hai kuch agar
dil nayi hasrat layega
khwahishoon ka mela hai
ek ke baad doosra aayega

soocha baand loon main isse
par waqt kahan ruk payega
ek lamhein ko thamta hoon
to dusara fisalta jayega

fisal rahi hai yaadien bhi
ye waqt ka khel kehlayega
bhari thi kasmein pyar ki
woh pyar wahin reh jayega

kaun rukta hai kaun jaata
yeh tanta laga reh jayega
main khada hoon kis jagah
yeh koi nahin batlayega

soocha tha kal jiyunga
aaj woh lamha fisal jayega
soochta hoon kal jiyunga
woh pal jaane kab aayega

aaj ko maine dekha nahin
kal usse saath le jayega
aaj ko maine jeeya nahin
kal ki vedi pe chad jayega

aaj, yeh lamha, pal abhi
agar tu ismein jee payega
aaj, yeh lamha, pal abhi
jeeyega to kya shoak manayega

last chance

Pangs of separation tear my heart
for she still lives in, deep there
her smile ,haunts me, my dreams
for her lips, all red, full and living
as a person and cherished dream
for i still need just her to live

my breath still holds for her look
that one rare glance she used to put
slow and steady my heart moves away
but still skips a beat or two for her
that perfection in her just unmatched
for no god can recreate its magic

rarely does one create life so pure
I was afraid to touch her or talk
for she is so innocent so pure
the fear of blemish holds me back
for courage, that I do not lack
i am here living just for her sight

for she still lives on here alone
or does she live just unaccompanied
i wait for minutes and seems hours
there is no sight better than hers
i am still longing for that glance
for i know this is my last change

Saturday, April 7, 2012

kyon leta hai

kyon leta hai mera imtihaan woh har lamha aise
main thak gaya hoon, bata do pal beithoon kaise

kai hasratein hain, par ek bhi puri nahin dikhti
ya khuda tu hi bata main har armaan dabaoon kaise

kar raha hoon jad-o-jahad main roz kuch is tarah
yahan jeena hi mushkil hai to khush rahoon kaise

main to bas chahta tha ek chat aur chain ki neend
jaane kabse is daud mein hoon isse nikaloon kaise

rukna bhi chahoon to bata khuda main rukun kaise
daudati duniya mein ab raundane se bachoon kaise

loot ke le jaate

loot ke le jaate ho do pal chain ke mere
kyon aate ho tum roz khayaloon mein mere,

bhoolna chahta hoon main woh guzare lamhe
par tum kyon kuredte ho purane zakhm mere

chala to tha dur main tere ghar se us waqt
fir kyon saamne aate ho khwaboon mein mere

main kar raha hoon koshish jeene ki yahan
phir kyon ched jaate ho ufaan man mein mere

darta hoon laut ke aane se teri gali mein
aaj hanste hain log yahan haalaat pe mere

main kar raha hoon saamana aaj khud hi se
aur ek tum ho jo hanste ho dard pe mere

aaj gira hoon

aaj gira hoon main tut kar us aasmaan se
barbaad hua hoon kissi shaukh ke andaaz se

mila tha us_se ek roz main bade shaunk se
be_abru hokar nikala gaya aaj uske kuche se

ahsaas uska aaj bhi mehsoos ho raha hai
ek baar kabhi woh laga tha mere seene se

kaise sunata main dil-e-barbaad ka kissa
laboon ko siya tha usne kabhi ek boose se

bhool jaaon main kaise usse koi batlao
maine to jeena seekha hai usi haseen se

har din duniya

har din duniye main ajnabi hain milte
aaj mil ke bhi tum mujhe hi nahin milte

is duniya main gum to sab hi milte hain
bas mujhe ek tum hi kahin nahin milte

uske us dar bhi haath khaali hain milte
sirf mandir jaane se to Ram nahin milte

dekho, hai ajab sa reela ab is duniya ka
bin maange bhi duniya se gum hazar milte

paas rehkar kabhi dil se dil nahin milte
aur dur hokar kissi ke mehboob roz milte

bin talashe hum soch rahe manzil mil jaye
sirf hath ki lakeeron se makaan nahin mile

chup ke dekhte ho par saamane nahin milte
tum kyon sirf meri is parchai se ho milte

bhatak raha hoon kab se veeranoon mein
kambhakt yahan bhi tum tanha nahin milte

Friday, April 6, 2012

aye zindagi tujhe main hansa doon

aye zindagi tujhe main hansa doon

teri hasartoon ko main aaj saja doon
teri hansi pe main khudko luta doon
agar milta hai yahan karaar tujhe to
main issi jagah ko jannat bana doon
aye zindagi tujhe main hansa doon

aa paas to dil se dil ko mila doon
kuch lamhoon mein zindagi beeta doon
jo teri marzi ho saath hone ki mere
to us pe main yeh zindagani luta doon
aye zindagi tujhe main hansa doon

tere zahan se har shikwa mita doon
aa paas mere tujhe main sanwaar doon
ho agar tamanna chand ki tujhko to
aaj chand ko bhi zameen pe la doon
aye zindagi tujhe main hansa doon

guzarna tujhe ho to phool bicha doon
in rastaoon se main kante hata doon
jo tujhe ho is raste se koi gila to
palkoon pe bitha manzil pe la doon
aye zindagi tujhe main hansa doon

phoolon ko tere laboon se rang doon
gulshan ko teri mahek se khila doon
dekhte hain sab teri taraf hi yahan
tu kahe to aankh pe parda laga doon
aye zindagi tujhe main hansa doon

aye zindagi tujhe main hansa doon

raat hai jawan jawan

raat hai jawan jawan,
yeh raat hai jawan jawan,

raho do pal saath yahan
gum woh khumar kahan
bana lo issi se jahan
raat hai jawan jawan

pukarta hai ye jahan
kya bacha hai wahan
dekho bas aage yahan
raat hai jawan jawan,

ye bhegi rut bhi jawan
dastak de bahar yahan
kuch khile phool jawan
raat hai jawan jawan,

ek sard barish yahan
hai mehakti dhara yahan
waqt ka hisaab kahan
raat hai jawan jawan,

aag hai dil mein wahan
aag hai dil mein yahan
sulagti andhiyan jawan
raat hai jawan jawan,

phir chale tum kahan
maheka ke ye tanhaiyan
sath bas ye tare yahan
raat hai jawan jawan,

raat hai jawan jawan,
yeh raat hai jawan jawan,

Thursday, April 5, 2012

kyon milne ki saza

kyon milne ki saza dete ho tum mujhko
main mit chuka hoon, aur kya mitaoge mujhko

tarikh bayaan degi mere us hashr ka ab
tum woh baat yaad kara kar kya satate mujhko

main bandha hoon is zameen se kab_se
tum kyon juda karte ho khuu-e-yaar se mujhko

laga hai ek pehra meri sooch pe bhi ab
kyon lagta hai sooch ko daba mitaoge mujhko

khyaal pe koi paabandi lagi nahi aaj tak
kaid karke kaise rakhoge dur khwab se mujhko

jab koi dard mila

jab koi dard mila to woh bhi seh liya humne
tumhari gali se nikalne par jee liya humne

kuch to inteehaan hogi imtihaan ki tumhare
hans kar quatl hona bhi manzoor kiya humne

zinda hoon quatl hokar bhi kaise na poocho
tumhare liye to shakal ko badal liya humne

shakal na bhi badalte to kya koi asar hota
tumne kaha tha to har phool tod diya humne

aaj sab gulistaan mehroom guloon se dekho
yunhi yahan har gulistaan ujaad diya humne

bad_dua dete hain sab baghbaan mujhe to kya
tumhare liye duniya ko bhi ruswa kiya humne

aaj Kar ruswa duniya ko Kapil Kahan jaooge
tumhare liye Khuda to bhi khafa kiya humne

kabhi hans leta hoon

kabhi hans leta hoon to zinda hoon main aaj yahan par
wagarna unke sitaam hi bahut the mujhe khaak hone ko

ajab kashish unki nazaroon mein hoti thi kabhi yunhi
aur us pal unki ankhein kaafi thi mujhe duboone ko

main wahan se agar bach bhi jaata to kya gazab hota
ek woh surat hi bahut thi mujhe aaj yahan mitane ko

woh har baat pe kehte hain kasoor dil ka hai mere
kaise samjhaoon hum kab se khade hain dil dene ko

ek woh hain jo lete nahin kuch bhi Kapil se aaj bhi
aur ek main hoon jo hoon taiyaar har shah lutane ko

Wednesday, April 4, 2012

main intezaar mein

main intezaar mein tha par tu na aaya
dil zakhmi tha par ismein lahoo na aaya

zakhm to risse bina bhi dard dete hain
Kyon kehte ho, lahoo bina dard na aaya

dard tanhai mein nahin kaise samjhaon
jab-jab maine dil lagaya dard saath aaya

dil lagaya tha dillagi ke hi liye tumse
alam ab yeh, bas tumhara hi khayal aaya

main khud ko ab kaise rokun is khayal se
mujhe to har lamha bas tera khayal aaya

saaz ko dil

saaz ko dil mein ched kar bhi
tum kyon nahin awaaz dete ho
mere dil mein reh kar bhi tum
kyon aaj mujhe awaare kehta ho

bhatak raha tha dar-badar main
tum kyon yun saath bhatakte ho
nikaala gaya tha main wahan se
kyon mere saath tum nikalte ho

shahar tha woh to kabhi mera
tum kyon use hi yaad karte ho
woh to kabhi mera hua hi nahin
kyon us shahar ko taraste ho

hain sulagti tamannayein aur
kyon us ek arzoo pe roote ho
hum to chun_ne aaye the moti
aur tum khud moti bikherte ho

saheje the mushkil se ye humne
tum ek pal mein unhe lutate ho
samandar, bas yeh bata mujhko
palkoon se kitane ashk sahejte ho

Tuesday, April 3, 2012

kuch awaargi hai meri

kuch awaargi hai meri ki woh ruth jaate hain
kyon tanha rehta hoon yeh pocchte rehte hain

tanha din to bahut se log yahan kaat lete hain
khoobsurat raat ke veerane sab_ko satate hain

yeh raat ki madhoshi hai hum bhool jaate hain
unse dur hokar bhi aghosh mein kho jaate hain

yeh din jal raha hai aur hum sar chuppate hain
unki zulfoon ki chanv mein hum sar rakhte hain

thake hua hoon main aur woh haat pher jate hain
zanoon ka sukoon kaisA yeh hum unse batate hain

koi pooche  kyon woh aise palkein jhukate hain
samandar mein dubne se palkoon se rok jate hain

kashmaksh hasti mein woh tanha chod jaate hain
woh nazar aate hain to hum saans le paate hain

Monday, April 2, 2012

Alone (Written Feb 2002)

Alone

Just when the world
seems,  alone and far,
A desire to live here
creeps with the moon, alone.

Its the immotions
lonely, afraid
they just dont let,
let me go away, alone.

The vision of life
that lives in me,
that haunt me,
my dreams, mine alone

The droplets from eyes,
ah! those tears,
dripping down ,
each, still alone.

The path i tread
stays put , here,
I move along with
men, but the path alone.

The bright lovely sun
the life and light
of this lonely earth,
the sun, alone.

I know of just ,
just one universe,
and i know it
stays there alone.

i stand here,
among the masses
with life all round,
thinking i am alone.

This one was written in Feb 2002. Just got my hand on it again today and posted. 

Sunday, April 1, 2012

dhoop ke baadal ab chat chuke hain

rang-birange asmani phool khile hain
aangan mein pakshi chahek rahe hain
kuch khate kuch meete log mile hain
dhoop ke baadal ab chat chuke hain

hum to ab unse milane chalein hain
yun kab se hum betaab khade hain
ghadi dekhe bin inteezar kare hain
dhoop ke baadal ab chat chuke hain

dur se sunai deti kuch awaazen hain
kuch unki baat karti fizayein hain
duniya wale to unko pooch rahe hain
dhoop ke baadal ab chat chuke hain

dekho is lamhen woh yahin aate hain
milne ko woh bhi betaab bade hain
hum bas unko aate dekh rahe hain
dhoop ke baadal ab chat chuke hain

aaj to woh mere samane khade hain
kal ke baad unse hum aaj mile hain
bin bole yeh do naina bol rahe hain
dhoop ke baadal ab chat chuke hain