Wednesday, April 11, 2012

bulane pe

bulane pe nahin aana yeh unki ek aada ho gayi
unke shahar mein unse baat hue mudat ho gayi,

gunjaati hain aaj meri awaazein yahan har aur
bina kissi bhi jawab ke to aaj shaam ho gayi

darr raha hoon ki kahin khud ko to nahin sunta
aaj mere veeranon mein bachi aas bhi kho gayi

unke hone se to tha gumaan kabhi mujhe khud par
par unke na hone se khushfahmi bhi chali gayi

band karloon aankhein to bhi surat wohi dikhti
in ankhoon ki unke siwa sab se dushmani ho gayi

kyon kholte hai palakein hum phir aaj yahan par
bina unki suraat dikhe to aaj quayammat ho gayi

woh nahin milte Kapil yahan to kya gum karta
is inteezar mein dar-o-deewar se dosti ho gayi

No comments:

Post a Comment