Thursday, April 26, 2012

garmi ki baarish

kuch awaazein sunai di
jaane kaise is mausam
kyon baras raha badal
aaj phir bin mausam

kuch to hoga asmaan
jo garaj raha hai aise
ab aya hai jaane use
is mausam khyal kaise

jab tapii thi dharti
pehle barsa to nahin
hua tujhe aaj yeh kya
phele mausam hua nahin

bijali gir rahi hai
har taraf aaj dekho
jaane kya soojhi hai
is mausam se poocho

bhar gaya hai paani
har gali main to aaj
nikal aayein hain mor
bhi nachane ko saath

magar jaane kya hua
suraj ko aaj ke din
chup gaya garmi mein
jaise ho lau ke bin

baras raha hai paani
kabse pyasi dharti par
umeed jag rahi hai aaj
har na_umeed dil par

paani bhi ajeeb hai
kahin jaata hi nahin
umeed se keh raha hai
na_mumkin kuch nahin

main phir soch kar
chala manzil ki aur
bheeg gaya hoon aaj
badta teezi se aur

No comments:

Post a Comment