aaj kuch be_chaini si hai
na jaane kyon aaj phir woh jasbaat ubharne ko hai
mehsus kiye tha jo halat humnein kabhi
aaj wohi halaat fir se hone ko hai
kashmakash hai na jaane kiski magar
mere halaat pe asar iska hone ko hai
umeed thi ki do din mein badal jaayegi duniya
duniya badali par ab aur jyaada badalne ko hai
lad raha hoon khud se hi na jaane kab se
kisi roz yeh jad-o-jahad bhi khatam hone ko hai
aaj kuch be_chaini si hai
kashmakash-e-hasti andheroon mein dhakelne ko hai
jaane kitni surangoon se guzara hoon ab tak
na jaane ab kaun si andheri gali aane ko hai
rasta kis mod mudta hai mujhe dikhta nahin
par iske siwa ab kahan jaane ko hai
dur dikhti hai ek roshni kuch aise
aur yeh rasta hai ki dusri aur jaane ko hai
chod deta is raste ko bhi mein kabhi
par shayad ek nishan ab milne ko hai
aaj kuch be_chaini si hai
chal raha hoon par na jaane paer kis manzil ko hai
in raston mein saray dikhe hain kitane
kaun jaane kis mein chain bhi rehne ko hai
main to jahan bhi ruka wahin yehi hashr dekha
har kissi ka chain khone ko hai
ab darta hoon kahin aur rukne se bhi main
meri bachi hui umeed bhi khone ko hai
pehle to aisa nahin tha mere saath kabhi
par aaj kuch be_chaini si hai

No comments:
Post a Comment