Sunday, April 8, 2012

yeh waqt guzar jayega...

yeh waqt guzar jayega
har lamha mit jayega
aaj main hoon, tum ho
kal doosra Zinda kehlayega

zindagi bahut badi hai
khwab adhoora reh jayega
jitni bhi karoon koshish
kuch kaam to reh jayega

pura hota hai kuch agar
dil nayi hasrat layega
khwahishoon ka mela hai
ek ke baad doosra aayega

soocha baand loon main isse
par waqt kahan ruk payega
ek lamhein ko thamta hoon
to dusara fisalta jayega

fisal rahi hai yaadien bhi
ye waqt ka khel kehlayega
bhari thi kasmein pyar ki
woh pyar wahin reh jayega

kaun rukta hai kaun jaata
yeh tanta laga reh jayega
main khada hoon kis jagah
yeh koi nahin batlayega

soocha tha kal jiyunga
aaj woh lamha fisal jayega
soochta hoon kal jiyunga
woh pal jaane kab aayega

aaj ko maine dekha nahin
kal usse saath le jayega
aaj ko maine jeeya nahin
kal ki vedi pe chad jayega

aaj, yeh lamha, pal abhi
agar tu ismein jee payega
aaj, yeh lamha, pal abhi
jeeyega to kya shoak manayega

3 comments: