Friday, April 20, 2012

main soya tha raat mein

main soya tha raat main soch kar, kal naya savera hoga
aaj dekhta hoon to wohi suraj hai, kal se aur thaka hoga
kyon hoon umeed mein main us kal ki, jisse dekha nahin
kashmakash-e-hasti hai ismein kya jaanu kaun apna hoga

shahar jisse apna samjha tha woh pal mein munh pher gaya
kaun jaane, phir mera is begaine se shahar mein kya hoga
dhoondta hoon main ek ashiyaan ab issi mein phir se kahin
dasht hi dikhte hain mujhe, ab yahin kahin mera ghar hoga

kabhi rehta tha khada apne ghar, dur dariya dekhta raha
dariya bas dekh mujhe poochta raha, bata aage kya hoga
tab na jaane kahan se ufaan aya aur main usmein garq hua
ab main poochta hoon dariya se, bata mere aage kya hoga

thamoon to thamoon kisse, yahan mera na koi sahara raha
mila bas waqt, jo kisi ka nahin woh mera sahara kya hoga
wahan par main dekhta raha aur yeh waqt bhi fisalta gaya
ab hoon bina waqt ke, Kapil ab tu bata tere aage kya hoga

No comments:

Post a Comment