Friday, April 27, 2012

aaj piya na aaye

phir aaj piya na aaye

phir aaj piya na aaye
mora jiya mohe sataye
kuch na boli main piya se
phir aaj piya na aaye

yun har din beete
par raina na kaati jaye
O piya bahar biti jaye
phir aaj piya na aaye

aur mori araz nahin
par piya se suni na jaye
kyon dur ghar basaye
phir aaj piya na aaye

jab-jab sawaan aaye
jiya tadapt jaaye
bin piya mohe kyon tarasye
phir aaj piya na aaye

raah niharoon
tori sajan main
phir bhi tu yahan na aaye
phir aaj piya na aaye

koyal kook-kook sunaye
kyon meri na sunta jaye
tujh bin raha na jaaye
phir aaj piya na aaye

phir aaj piya na aaye
phir aaj piya na aaye

No comments:

Post a Comment