Saturday, April 28, 2012

jee nahin sakta

tum duniya ho meri, main tumhare bina jee nahin sakta
bahut dard deta hoon, par aur kisi ko dekh nahin sakta

mujhe dard to bahut hota hai, tumhe dekh kar roz aise
kaise bataoon, yeh dard tumse bayaan kar nahin sakta

socha hai chod ke chal doon aaj main dur kahin tumse
ek baar seh loonga par roz tumhe ghutta dekh nahin sakta

chodd diya hai tumko par dil se kabhi nikal nahin sakta
yaad rakhna, tumhare aansoon saath main jee nahin sakta

No comments:

Post a Comment