Friday, April 6, 2012

aye zindagi tujhe main hansa doon

aye zindagi tujhe main hansa doon

teri hasartoon ko main aaj saja doon
teri hansi pe main khudko luta doon
agar milta hai yahan karaar tujhe to
main issi jagah ko jannat bana doon
aye zindagi tujhe main hansa doon

aa paas to dil se dil ko mila doon
kuch lamhoon mein zindagi beeta doon
jo teri marzi ho saath hone ki mere
to us pe main yeh zindagani luta doon
aye zindagi tujhe main hansa doon

tere zahan se har shikwa mita doon
aa paas mere tujhe main sanwaar doon
ho agar tamanna chand ki tujhko to
aaj chand ko bhi zameen pe la doon
aye zindagi tujhe main hansa doon

guzarna tujhe ho to phool bicha doon
in rastaoon se main kante hata doon
jo tujhe ho is raste se koi gila to
palkoon pe bitha manzil pe la doon
aye zindagi tujhe main hansa doon

phoolon ko tere laboon se rang doon
gulshan ko teri mahek se khila doon
dekhte hain sab teri taraf hi yahan
tu kahe to aankh pe parda laga doon
aye zindagi tujhe main hansa doon

aye zindagi tujhe main hansa doon

No comments:

Post a Comment