Friday, April 13, 2012

kabhi mang_kar

kabhi mang_kar kabhi bin_mange kyon cheenta mujhse,
ya khuda bata, ab hui kya khata mujhse

is sab ke baad mere paas baacha tha bas sukun mera
aur aaj tune cheen liya usse bhi mujhse

kabhi shikan na aayi har ek carvaan lutane pe bhi
har daulat chodd kyon cheena chain mujhse

kabhi samjaha nahin tha keemat do paloon ki neend ki
neend lekar cheena hai woh khwab mujhse

main khwab aur naye bhi dekhoon to ab dekhoon kaise
lut chuke hain aaj sabhi armaan mujhse

No comments:

Post a Comment