Thursday, April 5, 2012

jab koi dard mila

jab koi dard mila to woh bhi seh liya humne
tumhari gali se nikalne par jee liya humne

kuch to inteehaan hogi imtihaan ki tumhare
hans kar quatl hona bhi manzoor kiya humne

zinda hoon quatl hokar bhi kaise na poocho
tumhare liye to shakal ko badal liya humne

shakal na bhi badalte to kya koi asar hota
tumne kaha tha to har phool tod diya humne

aaj sab gulistaan mehroom guloon se dekho
yunhi yahan har gulistaan ujaad diya humne

bad_dua dete hain sab baghbaan mujhe to kya
tumhare liye duniya ko bhi ruswa kiya humne

aaj Kar ruswa duniya ko Kapil Kahan jaooge
tumhare liye Khuda to bhi khafa kiya humne

No comments:

Post a Comment