Tuesday, April 24, 2012

zindagi peeche reh jaati

zindagi peeche reh jaati hai unko manane mein
ek umr guzar jati hai, dil ko samjhane mein
ab aur kaise bataayein unko haal-e-dil aapna
main seena cheer baitha unko yakin dilane mein

woh mere seene mein reh kar bhi nahin mil paate
kitane din guzar jaate hain tasavur paane mein
gunjatii hain awaazein mere andaar yunhi kabse
par mudat beet jaati hai unhe baat batane mein

makaan khali rakha tha maine bas unhi ke liye
par woh kadam nahin rakhte aise garibkhane mein
beich aaya tha imaan main badaa karne ko makaan
iman khareed woh ho gaye shumar imandaron mein

aaj mujhse woh phir mere imaan ka mol karte hain
kaise bataoon farak unmein aur dukandaroon mein
main to liye khada tha yahan sab kuch unhi ke liye
aur woh mashroof rahe isse munafa kamaane mein

kho kar unhe main agar kamaata bhi to kya kamaata
dulat-e-ishq nahin bikata hai yahan dukanon mein
kya dhoond raha hai Kapil unki galiyoon mein phir
milta sab, bas dil ek nahin milta unke mohale main

No comments:

Post a Comment