kyon leta hai mera imtihaan woh har lamha aise
main thak gaya hoon, bata do pal beithoon kaise
kai hasratein hain, par ek bhi puri nahin dikhti
ya khuda tu hi bata main har armaan dabaoon kaise
kar raha hoon jad-o-jahad main roz kuch is tarah
yahan jeena hi mushkil hai to khush rahoon kaise
main to bas chahta tha ek chat aur chain ki neend
jaane kabse is daud mein hoon isse nikaloon kaise
rukna bhi chahoon to bata khuda main rukun kaise
daudati duniya mein ab raundane se bachoon kaise

No comments:
Post a Comment