Monday, April 30, 2012

Meri hasti pe kya

meri hasti pe kya sitam kiya ki main wahin khatam hua
kyon aaj mujhe awaaz dete ho ke dil ab bahut durr hua

khabar aati nahin ab koi ki unho_ne sun_na chodd diya
kya kare yeh dil tanha ke aaj unke gum mein barbaad hua

jo hota abaad agar yeh dil to judaa hokar kaise jeeta
rehta gumnaam saath unke, barbaad hokar iska naam hua

mere gumnaan-naam ka aur charcha yahan na aur karoo koi
aisa na keh behtoo ki unki gali se guzarna dushwaar hua

aaj bhi Kapil roz guzarta hai unke ussi dar ke aage se
jaane kya hua ke woh darr hi hamesha ke liye band hua

No comments:

Post a Comment