Friday, April 6, 2012

raat hai jawan jawan

raat hai jawan jawan,
yeh raat hai jawan jawan,

raho do pal saath yahan
gum woh khumar kahan
bana lo issi se jahan
raat hai jawan jawan

pukarta hai ye jahan
kya bacha hai wahan
dekho bas aage yahan
raat hai jawan jawan,

ye bhegi rut bhi jawan
dastak de bahar yahan
kuch khile phool jawan
raat hai jawan jawan,

ek sard barish yahan
hai mehakti dhara yahan
waqt ka hisaab kahan
raat hai jawan jawan,

aag hai dil mein wahan
aag hai dil mein yahan
sulagti andhiyan jawan
raat hai jawan jawan,

phir chale tum kahan
maheka ke ye tanhaiyan
sath bas ye tare yahan
raat hai jawan jawan,

raat hai jawan jawan,
yeh raat hai jawan jawan,

No comments:

Post a Comment