Friday, April 13, 2012

main jo gaya

main jo gaya do din ke liye yahan se
ki yeh shahar hai ab pechanta nahin
kabhi har thokar par utha jaata tha
aaj shahar mujhe sambhalta bhi nahin

do kadam badoon to badoon bhi kis aur
kissi taraf bhi kuch ab aapna nahin
aaj miloon bhi to main miloon kis se
begaane shahar ne apna koi choda nahin

phir bhi chala main aapni gali ki aur
par yeh gali to ab bilkul waisi nahin
ghar to abhi hai issi gali mein hi mera
par lagta hai woh ghar bhi mera nahin

jis makaan ko dekho woh_hi badal gaya
yun lagta hai inhe kabhi dekha nahin
har surat wahi dikhti par chahra naya
yahan har shaksh ab pehle jaisa nahin

kabhi jeena to chaha tha maine yahin
par yah shahar mera to hua hi nahin
khwashien bahut thi shahar se mujhe
par shahar ko kissi ki parwah nahin

No comments:

Post a Comment