Sunday, April 15, 2012

main majdoor

na_umeedi ke baad kabhi to umeed banati hai
har raat ke baad kabhi-na-kabhi subha hoti hai
kyon ho jaoon maayus main is ek na_kaami pe
na_kaam koshishoon ke beech nayi khoj hoti hai

aap kya janoo paseene bahane ka alam kya hai
band kamaroon mein kab kissiko dhoop lagti hai
jalta hoon roz hi doopahar ki dhup ke neeche
aur baarish mein ek nayi chat doondni hoti hai

bataoo kidhar jaoon main is sab ko chod kar
aapki tarah roz mujhe roti to khaani hoti hai
mere paas kahin jaane ka koi zariya to nahin
par mere honsale se har duri yeh kam lagti hai

har baar kyon meri mehnat ko dhutkaar jate ho
ladta hoon khud se, mujhe zindagi jeeni hoti hai
zindagi jeena ka aisa matlab aap sab kya janoo
aap ko to yeh sab ek be_maani si baat lagti hai

mujhe is sab se har raat chain ki neend aati hai
suna hai aapko roz need ki goli khani padti hai
main majdoor hi aacha, ki rukhi suni milti hain
aapko khane ke liye bhi parchi likhwani padti hai

No comments:

Post a Comment