Thursday, April 5, 2012

kabhi hans leta hoon

kabhi hans leta hoon to zinda hoon main aaj yahan par
wagarna unke sitaam hi bahut the mujhe khaak hone ko

ajab kashish unki nazaroon mein hoti thi kabhi yunhi
aur us pal unki ankhein kaafi thi mujhe duboone ko

main wahan se agar bach bhi jaata to kya gazab hota
ek woh surat hi bahut thi mujhe aaj yahan mitane ko

woh har baat pe kehte hain kasoor dil ka hai mere
kaise samjhaoon hum kab se khade hain dil dene ko

ek woh hain jo lete nahin kuch bhi Kapil se aaj bhi
aur ek main hoon jo hoon taiyaar har shah lutane ko

No comments:

Post a Comment