chood ke sab, mille majlis mein teri
socha wahan rang-e-khusboo ka dher hoga
hairan hai ab yahan aake sab ke beech
kyon sab aankhen roshni talash rahi
aisa soocha nahi tha mehfil mein teri
ke kabhi gam-e-andhera bhi chaaya hoga
aaj to ho khade tum, hum sab ke beech
phir kyon yeh kaali ghata nahi hatt rahi
aaj garaja hai badal bhi gali mein teri
kaun jaane is ujade baagh ka kya hoga
chupp raha aftaab bhi badalon ke beech
ab hain barish ki kuch boonde gir rahi
bheegi hui si hai fiza, is ghar ke teri
sookhane tak dil-e-nishan ka kya hoga
jal raha hai yeh in chiragoon ke beech
aur issi se hain meri sansein chal rahi
jalaa rahi hai chirag mera, yeh lau teri
tere jaane pe meri sansoon ka ab kya hoga
hairan nahin main yahan aake sab ke beech
aaj sab aankhen kyon roshni talash rahi
Sunday, October 30, 2011
...khata kya hai
kabhi miluga to poochonga, baata berukhi ki vajah kya hai
agar hai dushmani to, bevajah milne ki zaroorat kya hai
yun itrata khud pe woh, kissi aur ki ab shaksiyat kya hai
maang kar leta sansein, aur ab poochta hai khata kya hai
hai mera apna to koi karkhana nahi, jo aur sanseen le aaon
bahut udhari ho chuki hai, sud ko chord bata asal kya hai
aye dil tu bankar kafir sa but, mujhse butparasti na kara,
main bin kashmakash ke ji raha tha, bata meri khata kya hai
agar hai dushmani to, bevajah milne ki zaroorat kya hai
yun itrata khud pe woh, kissi aur ki ab shaksiyat kya hai
maang kar leta sansein, aur ab poochta hai khata kya hai
hai mera apna to koi karkhana nahi, jo aur sanseen le aaon
bahut udhari ho chuki hai, sud ko chord bata asal kya hai
aye dil tu bankar kafir sa but, mujhse butparasti na kara,
main bin kashmakash ke ji raha tha, bata meri khata kya hai
Saturday, October 29, 2011
rang
aaj dikha ke nazaara hassen
aye dil ab madhoshi na dena
liye baethe hain rang itne
kissi rang ko gira na dena
kissi ek rang ki wafa mein
doosre ko tu daga na dena
hai rangon ka karobar tera
in rangon ko lutaa na dena
har ek rang ko rakhna judda
inhe inhi mein milne na dena
hai bahut yaraana rangon ka
koi naya rang banna na dena
khizan mein rangon ki bahar
sawan ne pani rang na dena
roam roam is rang se ranga
in rangon ko mitta na dena
rang de ruh, rang de sajan
phir is rang ko rakh na dena
hai yeh sab rangon ka majmaa
is majmein se chura na lena
ghulte rangon ka karvan hai
par mujhe koi rang na dena
hai rang basanti chole ka
isse rangrez rang na dena
aye dil ab madhoshi na dena
liye baethe hain rang itne
kissi rang ko gira na dena
kissi ek rang ki wafa mein
doosre ko tu daga na dena
hai rangon ka karobar tera
in rangon ko lutaa na dena
har ek rang ko rakhna judda
inhe inhi mein milne na dena
hai bahut yaraana rangon ka
koi naya rang banna na dena
khizan mein rangon ki bahar
sawan ne pani rang na dena
roam roam is rang se ranga
in rangon ko mitta na dena
rang de ruh, rang de sajan
phir is rang ko rakh na dena
hai yeh sab rangon ka majmaa
is majmein se chura na lena
ghulte rangon ka karvan hai
par mujhe koi rang na dena
hai rang basanti chole ka
isse rangrez rang na dena
Friday, October 28, 2011
kaun kehta hai...
kaun kehta hai ki door hai mujhse manzar mera
roz dekhta hoon, khuli aakhon se wo khwab mera
chand lamhon ke tasavur se nahin milta sukoon
kaash ke uske saamne khada hota ab ghar mera
khuda, agar aur diya hota tune unko bhi dil
to shayad kum hota yeh inteezar-e-deedar mera
jo dekhta woh kabhi meri nabaz ban kar chaaragar
ruk jaati saanse, na milta unko dhadakta dil mera
kehta hain zameen se hi dikhta hai jharooka uska
ab na utha sang tarash tu yeh sarhad-o-dewar mera
dekhne bethe hain usse chupkar is makaan mein
hai andheera magar nahin kum hota housla mera
na kar roshini, na dikha koi bhi haqqiqat mujhe
na tod gum-nasheen tu jeene ka yeh brham mera
roz dekhta hoon, khuli aakhon se wo khwab mera
chand lamhon ke tasavur se nahin milta sukoon
kaash ke uske saamne khada hota ab ghar mera
khuda, agar aur diya hota tune unko bhi dil
to shayad kum hota yeh inteezar-e-deedar mera
jo dekhta woh kabhi meri nabaz ban kar chaaragar
ruk jaati saanse, na milta unko dhadakta dil mera
kehta hain zameen se hi dikhta hai jharooka uska
ab na utha sang tarash tu yeh sarhad-o-dewar mera
dekhne bethe hain usse chupkar is makaan mein
hai andheera magar nahin kum hota housla mera
na kar roshini, na dikha koi bhi haqqiqat mujhe
na tod gum-nasheen tu jeene ka yeh brham mera
main chala hoon
main chala hoon dekhne duniya ko
ki bahut badal gaya hai chehra uska
badhaal firte hain har shehar hum
jaane kuan sa shehar hai ghar uska
awara liye firte hain kuch yadoon ko
aaj nahin maloom kissi ko pata uska
dard ka majma jaam raha hai dekho
har koi shaqs yahan hai beemar uska
log purane zakhm bhi liye aaye hain
ajaab hai sabko dekhne ka dhang uska
acha ho beemar aur beemar ho acha
ajeeb hashr karta hai khayal uska
dard se uski dava ka marasim aisa
haakim dang hain dekh illaj uska
main bin illaj karaye hi chal diya
aacha hone se bhala beemar uska
ki bahut badal gaya hai chehra uska
badhaal firte hain har shehar hum
jaane kuan sa shehar hai ghar uska
awara liye firte hain kuch yadoon ko
aaj nahin maloom kissi ko pata uska
dard ka majma jaam raha hai dekho
har koi shaqs yahan hai beemar uska
log purane zakhm bhi liye aaye hain
ajaab hai sabko dekhne ka dhang uska
acha ho beemar aur beemar ho acha
ajeeb hashr karta hai khayal uska
dard se uski dava ka marasim aisa
haakim dang hain dekh illaj uska
main bin illaj karaye hi chal diya
aacha hone se bhala beemar uska
Thursday, October 27, 2011
bin jaane haal...
bin jaane haal beemar ka, dekho aaj unhe khud_pe hai gumaan kitna
laga ho marz kabhi to poochte, ki bata pyale mein hai nasha kitna
aye dost dekho to mere saaki ko, jaane kyon mujhse hai door itna
shayad yehi wajah hai, aaj unhi pyaloon mein kam hai nasha kitna
nahi deta agar mujhe jaam saki, to aaj bin piye hi uth jaate hain
dekhte hain mujhe rokne ka, rakhta hai mujhpe aapna ikhtiar kitna
aaj aaya to dekha maine, hata diya hai saki ne samane ka aina mera
dekhta hoon main ke ab woh, mudane se mujhe tokk_ta hai aur kitna
ya rab! kaise bataon usko main, yeh sab aana to ek apna bahana hai
main to sirf peeta hoon us se, ki uski aankhon mein hai nasha kitna
laga ho marz kabhi to poochte, ki bata pyale mein hai nasha kitna
aye dost dekho to mere saaki ko, jaane kyon mujhse hai door itna
shayad yehi wajah hai, aaj unhi pyaloon mein kam hai nasha kitna
nahi deta agar mujhe jaam saki, to aaj bin piye hi uth jaate hain
dekhte hain mujhe rokne ka, rakhta hai mujhpe aapna ikhtiar kitna
aaj aaya to dekha maine, hata diya hai saki ne samane ka aina mera
dekhta hoon main ke ab woh, mudane se mujhe tokk_ta hai aur kitna
ya rab! kaise bataon usko main, yeh sab aana to ek apna bahana hai
main to sirf peeta hoon us se, ki uski aankhon mein hai nasha kitna
diwali
hain sajade mein biechi yeh galiyan
kuch phoolon se saji rango se dhaki,
hai shoor ka hujoom sheher main fela
aur diyon ki baraat rasta dikha rahi
hain shaamil hum bhi issi majlis mein
shahar mein aaj koi jaat nahin dikhati
khoye hain sabhi aaj is shor-o-gul mein
saj dei, sab mein aaj yeh tamana rahi
le aaye hain dost dekhon mithaiyan kai
aur sab kar rahe khushiyon ki batien kai
aaj dushman bhi milla hai mil ke gale
aaj jaise kissi se dushmani na rahi
chale sab sauda karne kuch na kuch dekho
aur saje baazaaron mein hai raunak kitni
yeh asmaa rosha hai atish baazi se aise
aaj lagta hai puri quayanat hi jee rahi
kuch phoolon se saji rango se dhaki,
hai shoor ka hujoom sheher main fela
aur diyon ki baraat rasta dikha rahi
hain shaamil hum bhi issi majlis mein
shahar mein aaj koi jaat nahin dikhati
khoye hain sabhi aaj is shor-o-gul mein
saj dei, sab mein aaj yeh tamana rahi
le aaye hain dost dekhon mithaiyan kai
aur sab kar rahe khushiyon ki batien kai
aaj dushman bhi milla hai mil ke gale
aaj jaise kissi se dushmani na rahi
chale sab sauda karne kuch na kuch dekho
aur saje baazaaron mein hai raunak kitni
yeh asmaa rosha hai atish baazi se aise
aaj lagta hai puri quayanat hi jee rahi
sard aankhon
sard aankhon se kissi ko koi umeed nahi milti
aye jaanib, tere hone ki koi khabar nahi milti
dil dar pe beetha hai aaj inteezar mein kiski
beethe rehne se kissi ko mohobbat nahi milti
aaj jayein kahan talashne hum sukoon ko aapne
shahar mein humein koi nayi jagah nahin milti
sauda bechte hain sab yahan to dil ka mujhko
in purane dukandaron ko koi aur sheh nahi milti (Sheh - Cheez, item)
chalta hoon door jab bhi in bazaaroon se main
mujhe doosre mod ke baad hi sadak nahi milti
ab chahe jahan tak bhi ho basrr aye adam tera
mujhe uske ghar ke aage koi duniya nahi milti
dost chahe dekh rahe hain hum aaj asmaanon ko
magar humein unke ghar ki pehli sidi nahi milti
bahut dhoonda hai unke kadmoon ke nishan ko
char kadmoon ke baad humein zamin nahi milti
yeh sab keh ke bhi Kapil ab tujhe kya hasil
sab dekhe to kya, bas unki tavajoe nahi milti
aye jaanib, tere hone ki koi khabar nahi milti
dil dar pe beetha hai aaj inteezar mein kiski
beethe rehne se kissi ko mohobbat nahi milti
aaj jayein kahan talashne hum sukoon ko aapne
shahar mein humein koi nayi jagah nahin milti
sauda bechte hain sab yahan to dil ka mujhko
in purane dukandaron ko koi aur sheh nahi milti (Sheh - Cheez, item)
chalta hoon door jab bhi in bazaaroon se main
mujhe doosre mod ke baad hi sadak nahi milti
ab chahe jahan tak bhi ho basrr aye adam tera
mujhe uske ghar ke aage koi duniya nahi milti
dost chahe dekh rahe hain hum aaj asmaanon ko
magar humein unke ghar ki pehli sidi nahi milti
bahut dhoonda hai unke kadmoon ke nishan ko
char kadmoon ke baad humein zamin nahi milti
yeh sab keh ke bhi Kapil ab tujhe kya hasil
sab dekhe to kya, bas unki tavajoe nahi milti
Wednesday, October 26, 2011
nishaan
khade hain aaj mehfil mein, kuch yadoon ka sahara liye,
ya tu ab mita de humko, ya koi yaad-e-nishaan na de.
shama-e-parwana nahin hain, jo is chirag mein mit jayein
khaak ho jayenge hum, agar tu saare mehfil haan keh de
bahut ho chuka sitam yahan hum par, ab teri hasti ka
chalein jayenge yahan se, zara yeh chirag to bhujne de
aaj tak nahin dekha humne, ek gul ka kahar kissi pe aisa
humko jharinte di hain aise, ke koi naag phani na de.
kyon cheela hai tune mera har woh zakhm jo tha hara,
zaalim aise nishaan diyen hain ki koi dushman na de.
ya tu ab mita de humko, ya koi yaad-e-nishaan na de.
shama-e-parwana nahin hain, jo is chirag mein mit jayein
khaak ho jayenge hum, agar tu saare mehfil haan keh de
bahut ho chuka sitam yahan hum par, ab teri hasti ka
chalein jayenge yahan se, zara yeh chirag to bhujne de
aaj tak nahin dekha humne, ek gul ka kahar kissi pe aisa
humko jharinte di hain aise, ke koi naag phani na de.
kyon cheela hai tune mera har woh zakhm jo tha hara,
zaalim aise nishaan diyen hain ki koi dushman na de.
Monday, October 24, 2011
aaye na aaye
jis jagah kal the hum,
wahin aaj khade hain
teri marzi hai sanam
tu yahan aye na aaye
kuch na badalega yahan
rahege, jaise rahe hain
tujhko chahate rahenge
jitana chahe door jaye
aaj karke mohabbat
tujhse vafa vade hain
dilagi phir na kargenge
chahe khuda bhi aaye
tere naino mein hum
sanam doob gaye hain
har bar doobenge in mein
jitni baar jaan hi jaye
tere inhi khwaboon mein
hum ab jeete rahe hain
inke sahare jee lenge
chahe naya khwab na aaye
jis jagah kal the hum,
wahin aaj khade hain
teri marzi hai sanam
tu yahan aye na aaye
wahin aaj khade hain
teri marzi hai sanam
tu yahan aye na aaye
kuch na badalega yahan
rahege, jaise rahe hain
tujhko chahate rahenge
jitana chahe door jaye
aaj karke mohabbat
tujhse vafa vade hain
dilagi phir na kargenge
chahe khuda bhi aaye
tere naino mein hum
sanam doob gaye hain
har bar doobenge in mein
jitni baar jaan hi jaye
tere inhi khwaboon mein
hum ab jeete rahe hain
inke sahare jee lenge
chahe naya khwab na aaye
jis jagah kal the hum,
wahin aaj khade hain
teri marzi hai sanam
tu yahan aye na aaye
teri yaad aayi
sanjh dhale o yaara
ke menu teri yaad aayi
hun na kar koi bahana
ke phir teri yaad aayi
yeh keh ke gaya tha
ke tu laut ke aayega
samadar paar se bhi tu
ek jhat mein aayega
aaj beete mahine barah
ke menu teri yaad aayi
hun na kar koi bahana
ke phir teri yaad aayi
tere naam ka to main
bhar prem pyala piya
tune dil le ke mera
yeh kaisa silla diya
ab mud ke aa dildara
ke menu teri yaad aayi
hun na kar koi bahana
ke phir teri yaad aayi
jadon da tu gaya hain
ae meri jindagi le gaya
bas ek vade ke baale
yeh sari umar le gaya
meri sansa nahin chaldi
ke menu teri yaad aayi
hun na kar koi bahana
ke phir teri yaad aayi
das khaton ke badale
tune ek khat na likha
kaun jane mere dil ka
tu udhar hashr ki kita
jake kyon bana hai beari
ke menu teri yaad aayi
hun na kar koi bahana
ke phir teri yaad aayi
dekh dakiye ko kabse
main thak baeth gayi
itne dino main bas
bas yehi karti rahi
na mileya koi sandesa
ke menu teri yaad aayi
hun na kar koi bahana
ke phir teri yaad aayi
sanjh dhale o yaara
ke menu teri yaad aayi
hun na kar koi bahana
ke phir teri yaad aayi
ke menu teri yaad aayi
hun na kar koi bahana
ke phir teri yaad aayi
yeh keh ke gaya tha
ke tu laut ke aayega
samadar paar se bhi tu
ek jhat mein aayega
aaj beete mahine barah
ke menu teri yaad aayi
hun na kar koi bahana
ke phir teri yaad aayi
tere naam ka to main
bhar prem pyala piya
tune dil le ke mera
yeh kaisa silla diya
ab mud ke aa dildara
ke menu teri yaad aayi
hun na kar koi bahana
ke phir teri yaad aayi
jadon da tu gaya hain
ae meri jindagi le gaya
bas ek vade ke baale
yeh sari umar le gaya
meri sansa nahin chaldi
ke menu teri yaad aayi
hun na kar koi bahana
ke phir teri yaad aayi
das khaton ke badale
tune ek khat na likha
kaun jane mere dil ka
tu udhar hashr ki kita
jake kyon bana hai beari
ke menu teri yaad aayi
hun na kar koi bahana
ke phir teri yaad aayi
dekh dakiye ko kabse
main thak baeth gayi
itne dino main bas
bas yehi karti rahi
na mileya koi sandesa
ke menu teri yaad aayi
hun na kar koi bahana
ke phir teri yaad aayi
sanjh dhale o yaara
ke menu teri yaad aayi
hun na kar koi bahana
ke phir teri yaad aayi
Saturday, October 22, 2011
Maajhi par
is paar main hoon, us paar tum ho
aur beech mein vishal maajhi hai
aaj jaana hai us paar mujhe to
par na koi puliya na kashti hai
har din aate dono, is paar us paar
woh door dekh kar laut jata hai
na koi malha, na hi hai unka pata
un tak koi sandesh nahin jata hai
chilla chilla main thak gaya hoon
par maajhi kal-kal sab dabata hai
bato kaise bhejoon sandes ab unko
bin paate koi khat nahin jata hai
aye hawa leja aaj tu sandesh mera
baas akhiri tu hi mera sahara hai
tu kyo behti nadiya ke sath-sath
jaise samandar ne tujhe pukara hai
arre koi bulao kissi malhar ko to
ab is ke siwa paas na koi chara hai
na mile malha to kachi ghadi le aao
us ghade ne jitani nadi dubara hai
ghade se na aa saka wapas to kya
wahan ussi zindagi ka sahara hai
dekh ke hum jise ab tak jeete the
wahan woh nazaara bas humara hai
aur beech mein vishal maajhi hai
aaj jaana hai us paar mujhe to
par na koi puliya na kashti hai
har din aate dono, is paar us paar
woh door dekh kar laut jata hai
na koi malha, na hi hai unka pata
un tak koi sandesh nahin jata hai
chilla chilla main thak gaya hoon
par maajhi kal-kal sab dabata hai
bato kaise bhejoon sandes ab unko
bin paate koi khat nahin jata hai
aye hawa leja aaj tu sandesh mera
baas akhiri tu hi mera sahara hai
tu kyo behti nadiya ke sath-sath
jaise samandar ne tujhe pukara hai
arre koi bulao kissi malhar ko to
ab is ke siwa paas na koi chara hai
na mile malha to kachi ghadi le aao
us ghade ne jitani nadi dubara hai
ghade se na aa saka wapas to kya
wahan ussi zindagi ka sahara hai
dekh ke hum jise ab tak jeete the
wahan woh nazaara bas humara hai
jeena abhi baki hai
hain umeedein bahut aapni
par daaman abhi khali hai
na ho udaas tu mere yaar
himmat-e-mardan baki hai
hoga kal ek to ghar aapna
jo pehli eet aaj jodi hai
pahonchenge hum aasmaan tak
baas sidi banani baki hai
pahonchenge aapni manzil pe
abhi pehla kadam badaya hai
choona taro ko hai humnein
baas pankh lagaa baki hai
hum yahan phool khilayege
par baagh abhi khali hai
hai dharti ko humein chira
bas beej dena ab baki hai
kyon tala lagaye tu khada
la chabi isse ab kholna hai
na rok humein tu jane de
ke rah bahut abhi baki hai
chahe leaa dushman sena badi
dar ke na humnein rukna hai
thak ke ab hum na haarenge
maidan mein utarna baki hai
kyon liya khade nagni talvaar
kya maarne ki baat karta hai
lauta denge yam ko bhi hum
ke aapna jeena abhi baki hai
par daaman abhi khali hai
na ho udaas tu mere yaar
himmat-e-mardan baki hai
hoga kal ek to ghar aapna
jo pehli eet aaj jodi hai
pahonchenge hum aasmaan tak
baas sidi banani baki hai
pahonchenge aapni manzil pe
abhi pehla kadam badaya hai
choona taro ko hai humnein
baas pankh lagaa baki hai
hum yahan phool khilayege
par baagh abhi khali hai
hai dharti ko humein chira
bas beej dena ab baki hai
kyon tala lagaye tu khada
la chabi isse ab kholna hai
na rok humein tu jane de
ke rah bahut abhi baki hai
chahe leaa dushman sena badi
dar ke na humnein rukna hai
thak ke ab hum na haarenge
maidan mein utarna baki hai
kyon liya khade nagni talvaar
kya maarne ki baat karta hai
lauta denge yam ko bhi hum
ke aapna jeena abhi baki hai
Friday, October 21, 2011
jeena chahta hoon
aye zindagi tere aasra chahta hoon
aaj phirse main jeena chahta hoon
kabse raha door aapni sansoon se
ab unhe mehsoos karna chahta hoon
bahut kiya aapni icchaon ka daman
aab unhe hi main panna chahta hoon
hain kuch awaazen dabi kone mein
main baas wohi sunana chahta hoon
hain ronda jin lamhoon ko pearon se
un lamhon ko chunana chahta hoon
jo kho gaye hain bitaye pal humare
un yadoon ko sahejna chahta hoon
samandar se nikalti un taragon ko
main aaj phir se chedna chahta hoon
vishal himalaya ki us apar shanti ko
aapne mein mehsoos karna chahta hoon
chahe ban jaoon tamasha sare bazaar
par aaj yahin nachana chahta hoon
aye zindagi teri har sargam ko
phir main gun gunana chahta hoon
aye zindagi tere aasra chahta hoon
aaj phirse main jeena chahta hoon
aaj phirse main jeena chahta hoon
kabse raha door aapni sansoon se
ab unhe mehsoos karna chahta hoon
bahut kiya aapni icchaon ka daman
aab unhe hi main panna chahta hoon
hain kuch awaazen dabi kone mein
main baas wohi sunana chahta hoon
hain ronda jin lamhoon ko pearon se
un lamhon ko chunana chahta hoon
jo kho gaye hain bitaye pal humare
un yadoon ko sahejna chahta hoon
samandar se nikalti un taragon ko
main aaj phir se chedna chahta hoon
vishal himalaya ki us apar shanti ko
aapne mein mehsoos karna chahta hoon
chahe ban jaoon tamasha sare bazaar
par aaj yahin nachana chahta hoon
aye zindagi teri har sargam ko
phir main gun gunana chahta hoon
aye zindagi tere aasra chahta hoon
aaj phirse main jeena chahta hoon
marasim
rang to bahut hain,
kaunsa rang bhar chaloon
saji yeh mehfil hai
kuch to arrz kar chaloon
de dum dumbhar ke
ek mehkti sans bhar chaloon
hain phool mehkte
kuch phankdiyan sehej loon
saath tere to main
yeh zindagani jee loon
agar suni raha hai
to usmein rangat bhar doon
viraanon ka dar ho
to roz mehfil saja doon
ek sans ke liye
main teri fiza mehka doon
pyase registan mein
main aaj dariya baha doon
koi marasim na ho to
main tujhe aapna keh doon
kaunsa rang bhar chaloon
saji yeh mehfil hai
kuch to arrz kar chaloon
de dum dumbhar ke
ek mehkti sans bhar chaloon
hain phool mehkte
kuch phankdiyan sehej loon
saath tere to main
yeh zindagani jee loon
agar suni raha hai
to usmein rangat bhar doon
viraanon ka dar ho
to roz mehfil saja doon
ek sans ke liye
main teri fiza mehka doon
pyase registan mein
main aaj dariya baha doon
koi marasim na ho to
main tujhe aapna keh doon
Thursday, October 20, 2011
dard mangane pe...
dard mangane pe dard na milla
mujhe seher mein aftaab na milla
ke dar andhere se na tha mujhko
par hisse ka mujhe din na milla
gilla aftaab se nahin mujhko,
woh to jahan bhar ke liya khila
afssos bas itna hai aaj mujhe
andhere mein unka tasavur na milla
kuch aisa hi hasr baagh ne kiya
kali nikali par phool na khila
phool to kai khilaye bhagbaan ne
par koi phool mujhe hi na milla
gilla baagh se nahin mujhko
woh to jahan bhar ke liye khila
afssos bas is baat ka hai mujhe
ke uska koi rang mujhe na milla
khwaboon ka karvaan hai aapna
par unka khwab tameer na hua
khwab to kai hassil hue mujhe
par seh na sake haqiqat ka silla
maayuss haqqiqat se nahin hoon
hai kuch dekhe khwaboo ka gilla
dekh ke un khwaboon ko humein
aye Kapil kuch humei na milla
mujhe seher mein aftaab na milla
ke dar andhere se na tha mujhko
par hisse ka mujhe din na milla
gilla aftaab se nahin mujhko,
woh to jahan bhar ke liya khila
afssos bas itna hai aaj mujhe
andhere mein unka tasavur na milla
kuch aisa hi hasr baagh ne kiya
kali nikali par phool na khila
phool to kai khilaye bhagbaan ne
par koi phool mujhe hi na milla
gilla baagh se nahin mujhko
woh to jahan bhar ke liye khila
afssos bas is baat ka hai mujhe
ke uska koi rang mujhe na milla
khwaboon ka karvaan hai aapna
par unka khwab tameer na hua
khwab to kai hassil hue mujhe
par seh na sake haqiqat ka silla
maayuss haqqiqat se nahin hoon
hai kuch dekhe khwaboo ka gilla
dekh ke un khwaboon ko humein
aye Kapil kuch humei na milla
Paths of glory
Streets that lead us to paths of glory
are crowded, drenched, telling a story
neither of victory nor of sorry defeat
but folk's real and extraordinary fleet
There are tales of deceit and betrayal
and also each involved entities denial
there are tales of valor and support
in crisis men offering their life boat
tales abound and persona glorified
acts in path need to be dignified
choice is ours for we make the move
to be ridiculed or be there as behoove
are crowded, drenched, telling a story
neither of victory nor of sorry defeat
but folk's real and extraordinary fleet
There are tales of deceit and betrayal
and also each involved entities denial
there are tales of valor and support
in crisis men offering their life boat
tales abound and persona glorified
acts in path need to be dignified
choice is ours for we make the move
to be ridiculed or be there as behoove
Wednesday, October 19, 2011
meri tamannaon ka...
meri tamannaon ka ajab yeh fasaana hai
kabhi ubharna hai, kabhi doob jana hai
meri arzoon ki mehfil saji hai aaj yeh
kuch ne khilna hai, baaki ne dab jana hai
massla-e-dil to kabhi yeh tha hi nahin
unhe kabhi paana hai, kabhi bhol jana hai
mujhe bas yeh tere na hone ka asaar hai
kabhi khilna hai, kabhi guom ho jana hai
kuch be_mol si khwashihon ka manzar hai
kuch kuchalni hain, baki ko jee jana hai
yeh apni nabaz ke chalne ka kehar hai
aaj humein jeena hai, kal mar jaana hai
kabhi ubharna hai, kabhi doob jana hai
meri arzoon ki mehfil saji hai aaj yeh
kuch ne khilna hai, baaki ne dab jana hai
massla-e-dil to kabhi yeh tha hi nahin
unhe kabhi paana hai, kabhi bhol jana hai
mujhe bas yeh tere na hone ka asaar hai
kabhi khilna hai, kabhi guom ho jana hai
kuch be_mol si khwashihon ka manzar hai
kuch kuchalni hain, baki ko jee jana hai
yeh apni nabaz ke chalne ka kehar hai
aaj humein jeena hai, kal mar jaana hai
Tuesday, October 18, 2011
is andhere ka
is andhere ka koi imaan na raha
unki aahat hui aur ye daud gaya
har zarra hai roshan unke aane se
par roshini ne unhe dekhne na diya
kar raha hun nawazish fir andhere ki
aur andhere ne bhi daman chod diya
main jaanib kis ki guhaar karta
ke guhaar ne bhi sunana band kiya
chahta tavaju main ghadi do ghadi
haif! waqt ne bhi monh mod liya
ab na woh mile na andhera mila
taqdeer ne humse kya gila kiya
hai kaisa ajab sa yeh manzar mera
chandani ne ab chand ko chod diya
le jaao mujhe phir us andhere mein
is roshini ne mujhe kuch na diya
unki aahat hui aur ye daud gaya
har zarra hai roshan unke aane se
par roshini ne unhe dekhne na diya
kar raha hun nawazish fir andhere ki
aur andhere ne bhi daman chod diya
main jaanib kis ki guhaar karta
ke guhaar ne bhi sunana band kiya
chahta tavaju main ghadi do ghadi
haif! waqt ne bhi monh mod liya
ab na woh mile na andhera mila
taqdeer ne humse kya gila kiya
hai kaisa ajab sa yeh manzar mera
chandani ne ab chand ko chod diya
le jaao mujhe phir us andhere mein
is roshini ne mujhe kuch na diya
Sunday, October 16, 2011
Mang Mang main mangta
mang mang mein mangta hoya
mang mang main mangi khudai
mang mang main tenu mangya
mang mang main preet rachayi
mang mang main thak-ta gaya
miliya na mainu saath jaani
dar te roz aehi mangta aaya
milya na ek vi deedar jaani
mang mang main rab nu paya
par mili mainu teri judai
mushkil he banana tera saya
assaan thi karni rab duhai
mang mang main sona labeya
par tu na diti kath di roti
us raati main bhooka soya
bhooke di hook kisse na suni
mang mang main chaach paya
par tere kol na milya pani
man pyasa main mangta reya
mendi pyaas na bujhi jaani
mang mang main mangiya sansa
mang mang main leti jindadi
jaani mang hun jo hai manga
tere naa hun likh diti khudai
mang mang main mangi khudai
mang mang main tenu mangya
mang mang main preet rachayi
mang mang main thak-ta gaya
miliya na mainu saath jaani
dar te roz aehi mangta aaya
milya na ek vi deedar jaani
mang mang main rab nu paya
par mili mainu teri judai
mushkil he banana tera saya
assaan thi karni rab duhai
mang mang main sona labeya
par tu na diti kath di roti
us raati main bhooka soya
bhooke di hook kisse na suni
mang mang main chaach paya
par tere kol na milya pani
man pyasa main mangta reya
mendi pyaas na bujhi jaani
mang mang main mangiya sansa
mang mang main leti jindadi
jaani mang hun jo hai manga
tere naa hun likh diti khudai
mere dil-nashin
mere dil-nashin ruk kar dekh le
tere beemar ka haal burra hai
tu kar sitam jitane bhi mujh par
tera diya har zakhm meri dava hai
hain kuch armaan humnein dabaye
un armaanon ka ubharna bacha hai
ek baar to tu ruk ghadi do ghadi
ke tera abhi deedar bacha hai
bulaye koi to chaaragar ko mere
ke dil ke chirag ka ilaj bacha hai
kaise kare chaaragar pe bharoosa
use dekh chaaragar ka haal burra hai
(chaaragar literally means Physician)
tere beemar ka haal burra hai
tu kar sitam jitane bhi mujh par
tera diya har zakhm meri dava hai
hain kuch armaan humnein dabaye
un armaanon ka ubharna bacha hai
ek baar to tu ruk ghadi do ghadi
ke tera abhi deedar bacha hai
bulaye koi to chaaragar ko mere
ke dil ke chirag ka ilaj bacha hai
kaise kare chaaragar pe bharoosa
use dekh chaaragar ka haal burra hai
(chaaragar literally means Physician)
Saturday, October 15, 2011
O ranjheya, Oo mende Ranjheya
O ranjheya, Oo mende Ranjheya
luk gayan jadonda tu dil mol leya
bahut cher aapa~ rahva takiyan
kise nal na teri galan kitiyan
bin patte di chithiyan likhiyan
bas aaja hun main thak gaiyan
O ranjheya, Oo mende Ranjheya
luk gayan jadonda tu dil mol leya
mujh kamali nu, gale naal la ja
dil la ke, hun te heer bana ja
menda ek bas aehi sapna saja ja
ek wari aa ja, daras dikha ja
O ranjheya, Oo mende Ranjheya
luk gayan jadonda tu dil mol leya
jindadi likhi tere naa kadon di
hun kook tu sunle mujh jogan di
main hun kuch horr na mang di
bas ik ghadi la sajan milan di
O ranjheya, Oo mende Ranjheya
luk gayan jadonda tu dil mol leya
hun main sajan tera chola lita
sajan jo tu dasya sab main kita
phir kes gal da tu badala lita
hun te aaja, manya tu hi jitya
O ranjheya, Oo mende Ranjheya
luk gayan jadonda tu dil mol leya
kyon tu mere kolo rooth gayan
O ranjheya, Oo mende Ranjheya
Another attempt at Punjabi/Hindi combination and another one based on feminine theme.
luk gayan jadonda tu dil mol leya
bahut cher aapa~ rahva takiyan
kise nal na teri galan kitiyan
bin patte di chithiyan likhiyan
bas aaja hun main thak gaiyan
O ranjheya, Oo mende Ranjheya
luk gayan jadonda tu dil mol leya
mujh kamali nu, gale naal la ja
dil la ke, hun te heer bana ja
menda ek bas aehi sapna saja ja
ek wari aa ja, daras dikha ja
O ranjheya, Oo mende Ranjheya
luk gayan jadonda tu dil mol leya
jindadi likhi tere naa kadon di
hun kook tu sunle mujh jogan di
main hun kuch horr na mang di
bas ik ghadi la sajan milan di
O ranjheya, Oo mende Ranjheya
luk gayan jadonda tu dil mol leya
hun main sajan tera chola lita
sajan jo tu dasya sab main kita
phir kes gal da tu badala lita
hun te aaja, manya tu hi jitya
O ranjheya, Oo mende Ranjheya
luk gayan jadonda tu dil mol leya
kyon tu mere kolo rooth gayan
O ranjheya, Oo mende Ranjheya
Another attempt at Punjabi/Hindi combination and another one based on feminine theme.
aye humdum ab tujh bin
aye humdum ab tujh bin raha na jaye re
ik aur basant, bahar bin beta jaye re
ab kuch to jatan karo more sanjan re
ki biraha mein mujhse na jiya jaye re
aye humdum ab tujh bin raha na jaye re
ik aur basant, bahar bin beta jaye re
yeh mausam aur swapan suhane
dil ka haal, sajan tu hi na jane
jag baeri se bas sune hain tane
sun le aaraz tu, kar na bahane
aye humdum ab tujh bin raha na jaye re
ik aur basant, bahar bin beta jaye re
unke yeh ashq ab dil hi pehchane
aaye hain hum bas tujh ko manane
chale gaye hain dost jane maane
daras dikha, baeri kar na bahane
aye humdum ab tujh bin raha na jaye re
ik aur basant, bahar bin beta jaye re
mil beth kar kisse tujhe sunane
hain khate, hain meethe se tarane
kuch teri main, kuch meri to jane
beth pass julmi aaj kar na bahane
aye humdum ab tujh bin raha na jaye re
ik aur basant, bahar bin beta jaye re
dekh kar humein na banna begane
tere dar par jhuke hain dewane
yaadoo ke un dhadkan mein thikae
mil ja sajan aaj kar na bahane
aye humdum ab tujh bin raha na jaye re
ik aur basant, bahar bin beta jaye re
ab kuch to jatan more karo sanjan re
ki biraha mein mujhse jiya na jaye re
aye humdum ab tujh bin raha na jaye re
ik aur basant, bahar bin beta jaye re
ik aur basant, bahar bin beta jaye re
ab kuch to jatan karo more sanjan re
ki biraha mein mujhse na jiya jaye re
aye humdum ab tujh bin raha na jaye re
ik aur basant, bahar bin beta jaye re
yeh mausam aur swapan suhane
dil ka haal, sajan tu hi na jane
jag baeri se bas sune hain tane
sun le aaraz tu, kar na bahane
aye humdum ab tujh bin raha na jaye re
ik aur basant, bahar bin beta jaye re
unke yeh ashq ab dil hi pehchane
aaye hain hum bas tujh ko manane
chale gaye hain dost jane maane
daras dikha, baeri kar na bahane
aye humdum ab tujh bin raha na jaye re
ik aur basant, bahar bin beta jaye re
mil beth kar kisse tujhe sunane
hain khate, hain meethe se tarane
kuch teri main, kuch meri to jane
beth pass julmi aaj kar na bahane
aye humdum ab tujh bin raha na jaye re
ik aur basant, bahar bin beta jaye re
dekh kar humein na banna begane
tere dar par jhuke hain dewane
yaadoo ke un dhadkan mein thikae
mil ja sajan aaj kar na bahane
aye humdum ab tujh bin raha na jaye re
ik aur basant, bahar bin beta jaye re
ab kuch to jatan more karo sanjan re
ki biraha mein mujhse jiya na jaye re
aye humdum ab tujh bin raha na jaye re
ik aur basant, bahar bin beta jaye re
Friday, October 14, 2011
no pain to swallow
The journey is long and slow
there are no steps to follow
come my friend beat the flow
and use some trumpets to blow
lets take each of lifes' blow
find new land yet to fallow
lets ride the tide and plow
where soil's ripe and mellow
lets scatter some fruit glow.
preserve for as water's shallow
cut the earth right from below
lets all burn bright and glow.
The journey is long and slow
there are no steps to follow
lets grind grains, make dough
mess outside nd nothig to show
lets walk from this madening row
stand and run from deep slough
not using the old banyan bough
but heseforth we never lie low
lets feel sun's radiating glow
lets move into hapiness bungalow
for there is no pain to swallow
for there is no pain to borrow
there are no steps to follow
come my friend beat the flow
and use some trumpets to blow
lets take each of lifes' blow
find new land yet to fallow
lets ride the tide and plow
where soil's ripe and mellow
lets scatter some fruit glow.
preserve for as water's shallow
cut the earth right from below
lets all burn bright and glow.
The journey is long and slow
there are no steps to follow
lets grind grains, make dough
mess outside nd nothig to show
lets walk from this madening row
stand and run from deep slough
not using the old banyan bough
but heseforth we never lie low
lets feel sun's radiating glow
lets move into hapiness bungalow
for there is no pain to swallow
for there is no pain to borrow
Thursday, October 13, 2011
is duniya mein
is duiyan mein humnein aye khuda kya kya na dekha
qayamat na sahi, par aapna tamasha-e-tamaam dekha
suna hai roz jalte hai makaan yahan
aaj aapne is aashiyane ko jalte dekha
garaz thi to khud aate the chalke woh
aaj unko bhi humse mooh modte dekha
kabhi milte the jo humse khul ke gale
aaj un sab ko haath khanjar liye dekha
is duiyan mein humnein aye khuda kya kya na dekha
qayamat na sahi, par aapna tamasha-e-tamaam dekha
jahan milta tha ruh-e-sukoon sabko
aaj us jagah laashon ko girte dekha
chalaie thi kayi nav~ humne jis mein
humnein us jheel ko ab marte dekha
ubalta tha jo khoon uske ishare par
uske jaane par bhi khoon safeed dekha
is duiyan mein humnein aye khuda kya kya na dekha
qayamat na sahi, par aapna tamasha-e-tamaam dekha
zakhm leker kheechi taqdeer ko bhi
eka-ek hi haathoon se mitate dekha
aapne armanoon se saji har ek sej ko
humnein kabhi-na-kabhi dafn hote dekha
ab yahaan bacha na tera koi brham
humnein jo teri haqqiqat ka aina dekha
is duiyan mein humnein aye khuda kya kya na dekha
qayamat na sahi, par aapna tamasha-e-tamaam dekha
qayamat na sahi, par aapna tamasha-e-tamaam dekha
suna hai roz jalte hai makaan yahan
aaj aapne is aashiyane ko jalte dekha
garaz thi to khud aate the chalke woh
aaj unko bhi humse mooh modte dekha
kabhi milte the jo humse khul ke gale
aaj un sab ko haath khanjar liye dekha
is duiyan mein humnein aye khuda kya kya na dekha
qayamat na sahi, par aapna tamasha-e-tamaam dekha
jahan milta tha ruh-e-sukoon sabko
aaj us jagah laashon ko girte dekha
chalaie thi kayi nav~ humne jis mein
humnein us jheel ko ab marte dekha
ubalta tha jo khoon uske ishare par
uske jaane par bhi khoon safeed dekha
is duiyan mein humnein aye khuda kya kya na dekha
qayamat na sahi, par aapna tamasha-e-tamaam dekha
zakhm leker kheechi taqdeer ko bhi
eka-ek hi haathoon se mitate dekha
aapne armanoon se saji har ek sej ko
humnein kabhi-na-kabhi dafn hote dekha
ab yahaan bacha na tera koi brham
humnein jo teri haqqiqat ka aina dekha
is duiyan mein humnein aye khuda kya kya na dekha
qayamat na sahi, par aapna tamasha-e-tamaam dekha
Tuesday, October 11, 2011
ab aapni ankhoon...
ab aapni ankhoon ke woh khwab chupana aur nahin
in darwajon mein ghut ghut ke jeena aur nahin
har pal pukarta yeh suhana jahan
kidhar khoya hai woh mera samaan
aaj dhuna dhuna hai neela asmaan
le aao doston aaj aapna karvan
ab aapni ankhoon ke woh khwab chupana aur nahin
in darwajon mein ghut ghut ke jeena aur nahin
hai umeed mujhe phir hasne ki
chaah ab zindagi se milane ki
kuch khati meethi si yadoon ki
le aao hawa aaj nayi baharon ki
ab aapni ankhoon ke woh khwab chupana aur nahin
in darwajon mein ghut ghut ke jeena aur nahin
aaj humein nayi rangat mil jaye
aur geet suhane maajhi sunaye
samandar se nikal kar moti laye
le aao khushiyan jo saath nibhaye
ab aapni ankhoon ke woh khwab chupana aur nahin
in darwajon mein ghut ghut ke jeena aur nahin
aaj dil ki bas tamanna yehi hai
wohi manzil phir jhoom uthi hai
raah mei kaliyan khil rahi hai
le aao zindagi ke subha hui hai
ab aapni ankhoon ke woh khwab chupana aur nahin
in darwajon mein ghut ghut ke jeena aur nahin
in darwajon mein ghut ghut ke jeena aur nahin
har pal pukarta yeh suhana jahan
kidhar khoya hai woh mera samaan
aaj dhuna dhuna hai neela asmaan
le aao doston aaj aapna karvan
ab aapni ankhoon ke woh khwab chupana aur nahin
in darwajon mein ghut ghut ke jeena aur nahin
hai umeed mujhe phir hasne ki
chaah ab zindagi se milane ki
kuch khati meethi si yadoon ki
le aao hawa aaj nayi baharon ki
ab aapni ankhoon ke woh khwab chupana aur nahin
in darwajon mein ghut ghut ke jeena aur nahin
aaj humein nayi rangat mil jaye
aur geet suhane maajhi sunaye
samandar se nikal kar moti laye
le aao khushiyan jo saath nibhaye
ab aapni ankhoon ke woh khwab chupana aur nahin
in darwajon mein ghut ghut ke jeena aur nahin
aaj dil ki bas tamanna yehi hai
wohi manzil phir jhoom uthi hai
raah mei kaliyan khil rahi hai
le aao zindagi ke subha hui hai
ab aapni ankhoon ke woh khwab chupana aur nahin
in darwajon mein ghut ghut ke jeena aur nahin
mujhe peene ka
mujhe peene ka koi aur tareeqa nahin aata
hoon zinda magar, mujhe jeena nahin aata
hai is toofan mein dolti yeh kashti meri
aur mujhe badbaan uthana bhi nahin aata
hai dariya ke paar khada woh khwab mera
aur mujhe ek dariya patana nahin aata
milta kai baar mujhe woh kissi mod pe hai
aur mujhe kuch baat karna bhi nahin aata
nikalta hai meri galiyon se roz hi woh
par mujhe jharokhe se jhankna nahin aata
chod jata hai ataki saans liye yun mujhko
kabhakht us waqt aah bharna bhi nahin aata
dil dhoond raha hai kab se dhadkane aapni
Kapil ab tujhe dil behlana bhi nahin aata
hoon zinda magar, mujhe jeena nahin aata
hai is toofan mein dolti yeh kashti meri
aur mujhe badbaan uthana bhi nahin aata
hai dariya ke paar khada woh khwab mera
aur mujhe ek dariya patana nahin aata
milta kai baar mujhe woh kissi mod pe hai
aur mujhe kuch baat karna bhi nahin aata
nikalta hai meri galiyon se roz hi woh
par mujhe jharokhe se jhankna nahin aata
chod jata hai ataki saans liye yun mujhko
kabhakht us waqt aah bharna bhi nahin aata
dil dhoond raha hai kab se dhadkane aapni
Kapil ab tujhe dil behlana bhi nahin aata
Sunday, October 9, 2011
tujhse mil kar
tujhse mil kar mujhe koi hosh na raha
saans ruk gayi aur phir bhi zinda raha
hai yeh kaisi madhoshi ab tere hone ki
bahar-e-hasti mein main tujhe dekhta raha
ab kahan hai asaar kisi afeem mein aisa
ke ek boose par saara karvaan lutta raha
aisa khanjaar nahin kissi aankh mein ab
bas nazaar se hi tu jigar ko cheer_ta raha
berang mehfil ko rangrez pal mein rang diya
aur surkh laboon se mera khwab ranga raha
jaanta hoon hai ishq ka yeh karoobar tera
iteefaq hai ke sauda hamara kum hi raha
mil baith kar to mai bhi kehta kabhi tujse
sab paya sarvar mere ab bas jeena hi raha
saans ruk gayi aur phir bhi zinda raha
hai yeh kaisi madhoshi ab tere hone ki
bahar-e-hasti mein main tujhe dekhta raha
ab kahan hai asaar kisi afeem mein aisa
ke ek boose par saara karvaan lutta raha
aisa khanjaar nahin kissi aankh mein ab
bas nazaar se hi tu jigar ko cheer_ta raha
berang mehfil ko rangrez pal mein rang diya
aur surkh laboon se mera khwab ranga raha
jaanta hoon hai ishq ka yeh karoobar tera
iteefaq hai ke sauda hamara kum hi raha
mil baith kar to mai bhi kehta kabhi tujse
sab paya sarvar mere ab bas jeena hi raha
Faqat chand lamhon...
faqat chand lamhon ka intezaar bacha hai
dikh jayen to hum kahen bimaar aacha hai
sre bazaar khade hain hum besharaam se
ke is muflis ka abhi deeddar bacha hai
unke shingar ki ab kyon hai miyaad itni
ke bas aina khush hai, zammana khafa hai
ab jhulasa rahein hain unke viirane humko
ke yeh hujoom bhi viraane mein shumar hai
besuudh pade hain uske intezzar mein hum
sab jaan kar bhi woh ab tak be_parwaah hai
hai rukh pe ab yeh zaalim naqaabi kaisi
us be_raham ka yeh ek naya hathiyar hai
kitane quatl karta hai bin dekhe hii woh
dekh le to sab kahein zamanna kharab hai
dikh jayen to hum kahen bimaar aacha hai
sre bazaar khade hain hum besharaam se
ke is muflis ka abhi deeddar bacha hai
unke shingar ki ab kyon hai miyaad itni
ke bas aina khush hai, zammana khafa hai
ab jhulasa rahein hain unke viirane humko
ke yeh hujoom bhi viraane mein shumar hai
besuudh pade hain uske intezzar mein hum
sab jaan kar bhi woh ab tak be_parwaah hai
hai rukh pe ab yeh zaalim naqaabi kaisi
us be_raham ka yeh ek naya hathiyar hai
kitane quatl karta hai bin dekhe hii woh
dekh le to sab kahein zamanna kharab hai
Saturday, October 8, 2011
Is sune makaan
is sune makaan mein aye khuda kuch bhar de
kuch aur na sahi to mujhe ek dard de de
in kantili galiyoon se bhi log nikalte hain
kuch phooloon se aaj in kant_on ko dhak de
hain beraang se gul to yahan bahut khilte
O yaar mere inko aapne rang se rang de
thake bedhe hain teri mehfil mein to sabhi
ek tasavur se tu in sabko aasmaan pe kar de
kabse khade hain hum sab sajade mein tere
tu ek jhalak dikhla aur bas ab jaan le le
aapne jeene ke liye hain sabke bahane kai
mujhe jeene ke liye bhi koi ek wajah de de
kuch aur na sahi to mujhe ek dard de de
in kantili galiyoon se bhi log nikalte hain
kuch phooloon se aaj in kant_on ko dhak de
hain beraang se gul to yahan bahut khilte
O yaar mere inko aapne rang se rang de
thake bedhe hain teri mehfil mein to sabhi
ek tasavur se tu in sabko aasmaan pe kar de
kabse khade hain hum sab sajade mein tere
tu ek jhalak dikhla aur bas ab jaan le le
aapne jeene ke liye hain sabke bahane kai
mujhe jeene ke liye bhi koi ek wajah de de
mere dil ke...
mere dil ke zakhm ko woh phir se ched gaya
ek aah nikali ke saare zamaane ne gher liya
bhare bazaar mein main aaj tamasha ban gaya
phir kise ne taras khaya aur koi hass diya
ghar main daro deewar se chupte chupate gaya
kabhakht yeh ghar hi mujhe mera kissa keh gaya
phir kabhi main aapne ghar se bahar na gaya
par mujhe har mod pe is ghar ne bhi daga diya
itne pe bhi kyon Kapil tu ibadat karta gaya
deni thi ek marham aur woh dard bharta gaya
aur woh dard bharta gaya...
ek aah nikali ke saare zamaane ne gher liya
bhare bazaar mein main aaj tamasha ban gaya
phir kise ne taras khaya aur koi hass diya
ghar main daro deewar se chupte chupate gaya
kabhakht yeh ghar hi mujhe mera kissa keh gaya
phir kabhi main aapne ghar se bahar na gaya
par mujhe har mod pe is ghar ne bhi daga diya
itne pe bhi kyon Kapil tu ibadat karta gaya
deni thi ek marham aur woh dard bharta gaya
aur woh dard bharta gaya...
Friday, October 7, 2011
hamare darmiyan...
hamare darmiyan kaun jaane
yeh anjaan doori kya hai
yahan tum yahan main aur
beech mein majboori kya hai
sawaal tujhse yeh nahi hai
ki tera woh sawaal kya hai
sawaal tujhse aaj itna hai
ki bata tera jawab kya hai
sadiyoon se nahin mila tu
bata tera aaj pata kya hai
dekh ke bhi ab andekha kar
bata tujhko milla kya hai
jab bhi rukta hoon to kyon
puchta hai ki irada kya hai
chalne ka man karta hoon to
kehta hai abhi jaldi kya hai
nahin choda kissi layak bhi
bata to tu chahata kya hai
yeh raha bhi suni padi hai
aa bhi aur tadpata kya hai
yeh anjaan doori kya hai
yahan tum yahan main aur
beech mein majboori kya hai
sawaal tujhse yeh nahi hai
ki tera woh sawaal kya hai
sawaal tujhse aaj itna hai
ki bata tera jawab kya hai
sadiyoon se nahin mila tu
bata tera aaj pata kya hai
dekh ke bhi ab andekha kar
bata tujhko milla kya hai
jab bhi rukta hoon to kyon
puchta hai ki irada kya hai
chalne ka man karta hoon to
kehta hai abhi jaldi kya hai
nahin choda kissi layak bhi
bata to tu chahata kya hai
yeh raha bhi suni padi hai
aa bhi aur tadpata kya hai
Thursday, October 6, 2011
...tera shahar tha
na mohobbat dard tha
na woh thanha dard tha
is bheed mein shayad
woh saath hi dard tha
mand si kuch hawa thi
aur suraj bhi daba tha
us bheeni si subhah mein
tera chehra ramaan tha
thi kaliya phoot rahi
woh baag bhi khila tha
aur phoolon ki rangat
tera purana udhaar tha
the kuch pakshi udd rahe
sikhaye tere ka asar tha
thi woh fiza bhi mehki si
shayad tera hi itra tha
doondate hain us jagah ko
jahan kabhi tere ghar tha
bas tera akks bassa hua
woh kuch aisa shahar tha
na woh thanha dard tha
is bheed mein shayad
woh saath hi dard tha
mand si kuch hawa thi
aur suraj bhi daba tha
us bheeni si subhah mein
tera chehra ramaan tha
thi kaliya phoot rahi
woh baag bhi khila tha
aur phoolon ki rangat
tera purana udhaar tha
the kuch pakshi udd rahe
sikhaye tere ka asar tha
thi woh fiza bhi mehki si
shayad tera hi itra tha
doondate hain us jagah ko
jahan kabhi tere ghar tha
bas tera akks bassa hua
woh kuch aisa shahar tha
Wednesday, October 5, 2011
khwahishein...
bojh khwahishoon ka hai,
main abhi tak jee na saka
sabab khwahishein hi hain,
main aage chal na saka
quatil nazar to unki hai
jiske baad koi jee na saka
beemar hone ki divangi hai
beemar aacha ho na saka
yeh ek betaab tamanna hai
unko kuch keh na saka
darr mujhe girane ka hai
main haath chodd na saka
yeh nasihoon ki mehfil hai
aur adaam tauba kar na saka (Adaam --> Adam)
ab haue ki ek nayi zid hai (Haue --> Eve)
gunah fir koi rok na saka
khuld se be_abroo hua hai (Khuld --> Garden of Eden)
aadam khuld ka ho na saka
aashiyayein ki chahah hai
aashiyaan par ban na saka
tinke to kai baar jode hain
par toofan se sahej na saka
gharonda kai baar bunna hai
aur baarish se bacha na saka
kaisa bhi ho, jahan mera hai
haif! Kapil iska ho na saka (Haif! --> Alas!)
aye baghbaanm woh gul mera hai
aur main kabhi use pa na saka
main abhi tak jee na saka
sabab khwahishein hi hain,
main aage chal na saka
quatil nazar to unki hai
jiske baad koi jee na saka
beemar hone ki divangi hai
beemar aacha ho na saka
yeh ek betaab tamanna hai
unko kuch keh na saka
darr mujhe girane ka hai
main haath chodd na saka
yeh nasihoon ki mehfil hai
aur adaam tauba kar na saka (Adaam --> Adam)
ab haue ki ek nayi zid hai (Haue --> Eve)
gunah fir koi rok na saka
khuld se be_abroo hua hai (Khuld --> Garden of Eden)
aadam khuld ka ho na saka
aashiyayein ki chahah hai
aashiyaan par ban na saka
tinke to kai baar jode hain
par toofan se sahej na saka
gharonda kai baar bunna hai
aur baarish se bacha na saka
kaisa bhi ho, jahan mera hai
haif! Kapil iska ho na saka (Haif! --> Alas!)
aye baghbaanm woh gul mera hai
aur main kabhi use pa na saka
Saturday, October 1, 2011
aabhi aabhi to...
abhi abhi to khizaa gayi hai
abhi bahar kaise aaye gi
beech mein sard hawaye hain
yeh fiza tab maheke gi
mujhse rooth chali gayi hai
nahin woh aise mane gi
ab kuch lamhoon ki doori hai
tabhi laut ke aaye gi
yeh gulshan tab mehek uthe ga
jab kaliyan khil jayen gi
yeh shahar aapna jald baase gaa
baraf ki chadar pigale gi
woh ruksaar tab hi meheke ga
jab kuch baat ban paye gi
woh makaan jald khil uthe ga
uski khushi chalak pade gi
aashiyan kahin to banega apna
kabhi aapni seher bhi ho gi
manzar koi to chahega ab apna
jab kabhi bhi bahar ho gi
abhi bahar kaise aaye gi
beech mein sard hawaye hain
yeh fiza tab maheke gi
mujhse rooth chali gayi hai
nahin woh aise mane gi
ab kuch lamhoon ki doori hai
tabhi laut ke aaye gi
yeh gulshan tab mehek uthe ga
jab kaliyan khil jayen gi
yeh shahar aapna jald baase gaa
baraf ki chadar pigale gi
woh ruksaar tab hi meheke ga
jab kuch baat ban paye gi
woh makaan jald khil uthe ga
uski khushi chalak pade gi
aashiyan kahin to banega apna
kabhi aapni seher bhi ho gi
manzar koi to chahega ab apna
jab kabhi bhi bahar ho gi
aaj pachtan nal... (Punjabi)
aaj pachtan nal mahi ki hoe
je gal saadi tu nahin manani
hun peeche mudan nal ki hoe
jad koi kook tu nahin sunani
sadi kadon di hai gawach gayi
hoon dhadkan apa~ nahin labani
o yara murat dil vich vas gayi
hun apne kaul o nahin lukani
tere kadaman wich jaan rakh diti
sajan hun horr ibadat nahin karni
tere naa~n main jindadi kar diti
rab aasi hun koi aah nahin bharni
kadon ayenga tu mere dar te mahi
assan hun aur udeek nahin karni
bas aapne rang wich rang de mahi
hun koi aur chunari nahin chadani
Tried a bit of Punjabi here with a theme based on feelings of a female longing for her beloved.
je gal saadi tu nahin manani
hun peeche mudan nal ki hoe
jad koi kook tu nahin sunani
sadi kadon di hai gawach gayi
hoon dhadkan apa~ nahin labani
o yara murat dil vich vas gayi
hun apne kaul o nahin lukani
tere kadaman wich jaan rakh diti
sajan hun horr ibadat nahin karni
tere naa~n main jindadi kar diti
rab aasi hun koi aah nahin bharni
kadon ayenga tu mere dar te mahi
assan hun aur udeek nahin karni
bas aapne rang wich rang de mahi
hun koi aur chunari nahin chadani
Tried a bit of Punjabi here with a theme based on feelings of a female longing for her beloved.
Subscribe to:
Posts (Atom)