meri tamannaon ka ajab yeh fasaana hai
kabhi ubharna hai, kabhi doob jana hai
meri arzoon ki mehfil saji hai aaj yeh
kuch ne khilna hai, baaki ne dab jana hai
massla-e-dil to kabhi yeh tha hi nahin
unhe kabhi paana hai, kabhi bhol jana hai
mujhe bas yeh tere na hone ka asaar hai
kabhi khilna hai, kabhi guom ho jana hai
kuch be_mol si khwashihon ka manzar hai
kuch kuchalni hain, baki ko jee jana hai
yeh apni nabaz ke chalne ka kehar hai
aaj humein jeena hai, kal mar jaana hai
No comments:
Post a Comment