bin jaane haal beemar ka, dekho aaj unhe khud_pe hai gumaan kitna
laga ho marz kabhi to poochte, ki bata pyale mein hai nasha kitna
aye dost dekho to mere saaki ko, jaane kyon mujhse hai door itna
shayad yehi wajah hai, aaj unhi pyaloon mein kam hai nasha kitna
nahi deta agar mujhe jaam saki, to aaj bin piye hi uth jaate hain
dekhte hain mujhe rokne ka, rakhta hai mujhpe aapna ikhtiar kitna
aaj aaya to dekha maine, hata diya hai saki ne samane ka aina mera
dekhta hoon main ke ab woh, mudane se mujhe tokk_ta hai aur kitna
ya rab! kaise bataon usko main, yeh sab aana to ek apna bahana hai
main to sirf peeta hoon us se, ki uski aankhon mein hai nasha kitna
No comments:
Post a Comment