mere dil ke zakhm ko woh phir se ched gaya
ek aah nikali ke saare zamaane ne gher liya
bhare bazaar mein main aaj tamasha ban gaya
phir kise ne taras khaya aur koi hass diya
ghar main daro deewar se chupte chupate gaya
kabhakht yeh ghar hi mujhe mera kissa keh gaya
phir kabhi main aapne ghar se bahar na gaya
par mujhe har mod pe is ghar ne bhi daga diya
itne pe bhi kyon Kapil tu ibadat karta gaya
deni thi ek marham aur woh dard bharta gaya
aur woh dard bharta gaya...
No comments:
Post a Comment