Sunday, October 30, 2011

...khata kya hai

kabhi miluga to poochonga, baata berukhi ki vajah kya hai
agar hai dushmani to, bevajah milne ki zaroorat kya hai

yun itrata khud pe woh, kissi aur ki ab shaksiyat kya hai
maang kar leta sansein, aur ab poochta hai khata kya hai

hai mera apna to koi karkhana nahi, jo aur sanseen le aaon
bahut udhari ho chuki hai, sud ko chord bata asal kya hai

aye dil tu bankar kafir sa but, mujhse butparasti na kara,
main bin kashmakash ke ji raha tha, bata meri khata kya hai

No comments:

Post a Comment