hamare darmiyan kaun jaane
yeh anjaan doori kya hai
yahan tum yahan main aur
beech mein majboori kya hai
sawaal tujhse yeh nahi hai
ki tera woh sawaal kya hai
sawaal tujhse aaj itna hai
ki bata tera jawab kya hai
sadiyoon se nahin mila tu
bata tera aaj pata kya hai
dekh ke bhi ab andekha kar
bata tujhko milla kya hai
jab bhi rukta hoon to kyon
puchta hai ki irada kya hai
chalne ka man karta hoon to
kehta hai abhi jaldi kya hai
nahin choda kissi layak bhi
bata to tu chahata kya hai
yeh raha bhi suni padi hai
aa bhi aur tadpata kya hai
No comments:
Post a Comment