tujhse mil kar mujhe koi hosh na raha
saans ruk gayi aur phir bhi zinda raha
hai yeh kaisi madhoshi ab tere hone ki
bahar-e-hasti mein main tujhe dekhta raha
ab kahan hai asaar kisi afeem mein aisa
ke ek boose par saara karvaan lutta raha
aisa khanjaar nahin kissi aankh mein ab
bas nazaar se hi tu jigar ko cheer_ta raha
berang mehfil ko rangrez pal mein rang diya
aur surkh laboon se mera khwab ranga raha
jaanta hoon hai ishq ka yeh karoobar tera
iteefaq hai ke sauda hamara kum hi raha
mil baith kar to mai bhi kehta kabhi tujse
sab paya sarvar mere ab bas jeena hi raha
No comments:
Post a Comment