Friday, October 28, 2011

kaun kehta hai...

kaun kehta hai ki door hai mujhse manzar mera
roz dekhta hoon, khuli aakhon se wo khwab mera

chand lamhon ke tasavur se nahin milta sukoon
kaash ke uske saamne khada hota ab ghar mera

khuda, agar aur diya hota tune unko bhi dil
to shayad kum hota yeh inteezar-e-deedar mera

jo dekhta woh kabhi meri nabaz ban kar chaaragar
ruk jaati saanse, na milta unko dhadakta dil mera

kehta hain zameen se hi dikhta hai jharooka uska
ab na utha sang tarash tu yeh sarhad-o-dewar mera

dekhne bethe hain usse chupkar is makaan mein
hai andheera magar nahin kum hota housla mera

na kar roshini, na dikha koi bhi haqqiqat mujhe
na tod gum-nasheen tu jeene ka yeh brham mera

No comments:

Post a Comment