Friday, October 28, 2011

main chala hoon

main chala hoon dekhne duniya ko
ki bahut badal gaya hai chehra uska

badhaal firte hain har shehar hum
jaane kuan sa shehar hai ghar uska

awara liye firte hain kuch yadoon ko
aaj nahin maloom kissi ko pata uska

dard ka majma jaam raha hai dekho
har koi shaqs yahan hai beemar uska

log purane zakhm bhi liye aaye hain
ajaab hai sabko dekhne ka dhang uska

acha ho beemar aur beemar ho acha
ajeeb hashr karta hai khayal uska

dard se uski dava ka marasim aisa
haakim dang hain dekh illaj uska

main bin illaj karaye hi chal diya
aacha hone se bhala beemar uska

No comments:

Post a Comment