mujhe peene ka koi aur tareeqa nahin aata
hoon zinda magar, mujhe jeena nahin aata
hai is toofan mein dolti yeh kashti meri
aur mujhe badbaan uthana bhi nahin aata
hai dariya ke paar khada woh khwab mera
aur mujhe ek dariya patana nahin aata
milta kai baar mujhe woh kissi mod pe hai
aur mujhe kuch baat karna bhi nahin aata
nikalta hai meri galiyon se roz hi woh
par mujhe jharokhe se jhankna nahin aata
chod jata hai ataki saans liye yun mujhko
kabhakht us waqt aah bharna bhi nahin aata
dil dhoond raha hai kab se dhadkane aapni
Kapil ab tujhe dil behlana bhi nahin aata
No comments:
Post a Comment