Saturday, October 15, 2011

aye humdum ab tujh bin

aye humdum ab tujh bin raha na jaye re
ik aur basant, bahar bin beta jaye re
ab kuch to jatan karo more sanjan re
ki biraha mein mujhse na jiya jaye re

aye humdum ab tujh bin raha na jaye re
ik aur basant, bahar bin beta jaye re

yeh mausam aur swapan suhane
dil ka haal, sajan tu hi na jane
jag baeri se bas sune hain tane
sun le aaraz tu, kar na bahane

aye humdum ab tujh bin raha na jaye re
ik aur basant, bahar bin beta jaye re

unke yeh ashq ab dil hi pehchane
aaye hain hum bas tujh ko manane
chale gaye hain dost jane maane
daras dikha, baeri kar na bahane

aye humdum ab tujh bin raha na jaye re
ik aur basant, bahar bin beta jaye re

mil beth kar kisse tujhe sunane
hain khate, hain meethe se tarane
kuch teri main, kuch meri to jane
beth pass julmi aaj kar na bahane

aye humdum ab tujh bin raha na jaye re
ik aur basant, bahar bin beta jaye re

dekh kar humein na banna begane
tere dar par jhuke hain dewane
yaadoo ke un dhadkan mein thikae
mil ja sajan aaj kar na bahane

aye humdum ab tujh bin raha na jaye re
ik aur basant, bahar bin beta jaye re
ab kuch to jatan more karo sanjan re
ki biraha mein mujhse jiya na jaye re

aye humdum ab tujh bin raha na jaye re
ik aur basant, bahar bin beta jaye re

No comments:

Post a Comment