bojh khwahishoon ka hai,
main abhi tak jee na saka
sabab khwahishein hi hain,
main aage chal na saka
quatil nazar to unki hai
jiske baad koi jee na saka
beemar hone ki divangi hai
beemar aacha ho na saka
yeh ek betaab tamanna hai
unko kuch keh na saka
darr mujhe girane ka hai
main haath chodd na saka
yeh nasihoon ki mehfil hai
aur adaam tauba kar na saka (Adaam --> Adam)
ab haue ki ek nayi zid hai (Haue --> Eve)
gunah fir koi rok na saka
khuld se be_abroo hua hai (Khuld --> Garden of Eden)
aadam khuld ka ho na saka
aashiyayein ki chahah hai
aashiyaan par ban na saka
tinke to kai baar jode hain
par toofan se sahej na saka
gharonda kai baar bunna hai
aur baarish se bacha na saka
kaisa bhi ho, jahan mera hai
haif! Kapil iska ho na saka (Haif! --> Alas!)
aye baghbaanm woh gul mera hai
aur main kabhi use pa na saka
No comments:
Post a Comment