faqat chand lamhon ka intezaar bacha hai
dikh jayen to hum kahen bimaar aacha hai
sre bazaar khade hain hum besharaam se
ke is muflis ka abhi deeddar bacha hai
unke shingar ki ab kyon hai miyaad itni
ke bas aina khush hai, zammana khafa hai
ab jhulasa rahein hain unke viirane humko
ke yeh hujoom bhi viraane mein shumar hai
besuudh pade hain uske intezzar mein hum
sab jaan kar bhi woh ab tak be_parwaah hai
hai rukh pe ab yeh zaalim naqaabi kaisi
us be_raham ka yeh ek naya hathiyar hai
kitane quatl karta hai bin dekhe hii woh
dekh le to sab kahein zamanna kharab hai
No comments:
Post a Comment