aye zindagi tere aasra chahta hoon
aaj phirse main jeena chahta hoon
kabse raha door aapni sansoon se
ab unhe mehsoos karna chahta hoon
bahut kiya aapni icchaon ka daman
aab unhe hi main panna chahta hoon
hain kuch awaazen dabi kone mein
main baas wohi sunana chahta hoon
hain ronda jin lamhoon ko pearon se
un lamhon ko chunana chahta hoon
jo kho gaye hain bitaye pal humare
un yadoon ko sahejna chahta hoon
samandar se nikalti un taragon ko
main aaj phir se chedna chahta hoon
vishal himalaya ki us apar shanti ko
aapne mein mehsoos karna chahta hoon
chahe ban jaoon tamasha sare bazaar
par aaj yahin nachana chahta hoon
aye zindagi teri har sargam ko
phir main gun gunana chahta hoon
aye zindagi tere aasra chahta hoon
aaj phirse main jeena chahta hoon
No comments:
Post a Comment