Sunday, April 28, 2013

...kyon hai

saath hokar mujhse dur kyon hai
yeh bata teri aisi marzi kyon hai

bahut dhoonda tujhko maine ae dil
tu bata mujhse aaj khafa kyon hai

hai nayi shab ki chaanv to dekh
phir taroon se dushmani kyon hai

wohi chilman wohi chandani hai
par beech parda-naqaabi kyon hai

tere dar pe hoon main aaj phir se
par har shah mein berukhi kyon hai

kuch baaki thi umeed par woh bhi
aaj mere se itani dur kyon hai

main khada hoon vahin ka vahin
tu dekh mujhse itna dur kyon hai

bewajah ki hai yeh nukta-cheeni
aur ankhoon mein ashq kyon hai

na main reh saka na tu reh saka
phir darmiyan yeh fansala kyon hai

Kapil bhatak raha sahera-sahera
par dil mein wohi bashinda kyon hai

Monday, April 15, 2013

phir kiski yaad aayi

yeh phir kiski yaad aayi
hai kyon aankh ye bhar aayi

dhoonta tha main kabhi jisse
samane wohi surat nazar aayi
hai tasveer dil mein kiski
yeh phir kiski yaad aayi

kuch khwab jo mil na saake
unmein phir wohi raat aayi
chehra unka kuch dhundla sa
batao phir kiski yaad aayi

kuch saheje the lamhein unke
un lamhoon mein phir jaan aayi
unki mahek aayi, mahek gayi
yeh phir kiski yaad aayi

chehroon ki is bheed mein
wohi surat kyon nazar aayi
hai kaisa yeh vaham mera
dekho phir kiski yaad aayi

kuch umr ke fansale rahe
kuch mausam ne li angdai
bin baadal ki barsaat mein
yeh phir kiski yaad aayi

baat ki thi unse ek humne
aaj usi baat ki goonj aayi
na woh aaye, na unka sandes
yeh phir kiski yaad aayi

tamam raat hum beithe rahe
par kuch bhi khabar na aayi
jagate ho Kapil raat-raat
batao phir kiski yaad aayi

Monday, April 8, 2013

bhatakTa mussafir

tere hone pe tujhe keh na saka
kaisa ashiq hoon, ashiquie kar na saka

aaj bhi dil pe ikhtiyaar tera
aur main tujh se haal-e-dil keh na saka

tum wahin the sada saath mere
par main mud kar saaya bhi dekh na saka

inteezar tha shayad tumhe mera
aur main yeh jazbaat bayan kar na saka

aaj ho dur tum mujhse itana ke
main chaah kar bhi tumhse mil na saka

be_taab tamanna rahi meri magar
is tamana ko apna ek rasta mil na saka

bhatak raha hoon sahera-sahera
aur tera kahin koi nishan mil na saka

de awaaz phir aaj tu hi mujhko
ki ab tak tere nishaan ko pa na saka

Kapil tu ek bhatakta musafir hai
jo kisi manzar par manzil pa na saka