Monday, April 8, 2013

bhatakTa mussafir

tere hone pe tujhe keh na saka
kaisa ashiq hoon, ashiquie kar na saka

aaj bhi dil pe ikhtiyaar tera
aur main tujh se haal-e-dil keh na saka

tum wahin the sada saath mere
par main mud kar saaya bhi dekh na saka

inteezar tha shayad tumhe mera
aur main yeh jazbaat bayan kar na saka

aaj ho dur tum mujhse itana ke
main chaah kar bhi tumhse mil na saka

be_taab tamanna rahi meri magar
is tamana ko apna ek rasta mil na saka

bhatak raha hoon sahera-sahera
aur tera kahin koi nishan mil na saka

de awaaz phir aaj tu hi mujhko
ki ab tak tere nishaan ko pa na saka

Kapil tu ek bhatakta musafir hai
jo kisi manzar par manzil pa na saka

1 comment: