Thursday, December 29, 2011

tere jaate

tere jaate hi dil ka sarmaya lut gaya
main zinda raha na raha sab bhool gaya

is muflasi ki kuch aur wajah kya hogi
mera to rab hi aaj mujhse rooth gaya

ab roothe hue ko main manaoon kaise
uski berukhi mein mera jigar jal gaya

yeh jala jigar hai, uska thikana kahan
thikanon mein; dil-e-makaan ko bhol gaya

is makaan mein tha unka basar kab se
isse bataoon kaise bashinda choot gaya

khali makaan mein goonjati hai yaadein
yaadoon ka woh chirag kab ka bhujh gaya

na dikha mujhe phir se woh zakhm purane
in zakhmoon ke dard mein Kapil chalta gaya

bahut besabr

Bahut besabr hai dil unke intezaar mein
aur ek woh hi nahin hai mere ikhtiyar mein

karta hoon koshishein roz milne ki unse
par abhi inteezar hi likha vasl-e-yaar mein

jo rakhta ikhtiyar vaqt pe to bandh deta use
jane kitane lamhein hain tasavur-e-yaar mein

kahan karoon fariyaad ab kuch lamhoon ki usse
hain fansaale abhi bahut is kuu-e-yaar mein

badh rahi hai dhadkan har kadam pe yun meri
kaun jaane kya milega is dil-e-dayaar mein

armaan kai hain aaye aaj dil-e-makaan mein
aaj mohobbat tera imtihaan hai dil-e-bahar mein

Saturday, December 24, 2011

sard mausam

sard mausam aur dhuyien ki chadar
ek garam chaadar hum bhi oedh aaye
hai aaj shaam kyon suna shehar mera
paidal hi sari galiyaan dekh aaye

beithe hain is dhalte din ke saath
sitare raat ke, phir chand ko le aaye
aapna carvaan to abhi bahut dur hai
intezaar mein hum ek jaam le aaye

yunhi tanha bethe the jam ke saath,
hum ek jaam saki ke liye bhi le aaye
diya na saath agar saki ne to kya
saamane beith ankhoon se to pi aaye

ghehra nasha hai ankhoon mein uski
hum ek umr ki madhoshi saath le aaye
na uthana mujhe is be_hoshi se ab
sab sansein uske dar par chodd aaye

kya karna hai mujhe aur sansoon ka
us pal mei kitani zindagiyan ji aaye
aaj beithe hai unki yadoon ke saath
hum khud ko bas wahin sameet aaye

mera kandha

mere kandhe se bahut milta tha woh aapni mufalasi mein
kuchla mujhe, aaj shaurhat jo mil gayi zindagi mein

bahut karta tha jado_jahad main uske sukhan ke liye
aur woh hi bhul gaya mujhe aapne sone ki kaid mein

dard to tha bhulne ka uske, par main lachar dekhta raha
shayad koi purani yaad milegi usse kissi raat khwab mein

aaj chal pada hoon fir chedne woh khwab purane se kai
kaise bethta main unhe woh khwab aane ke intezaar mein

fir ris rahe hain chede zakhm kyon lahoo balab ho kar
main to kab se de chuka hun but ko, unhi ke ikhtiyar mein

hai yeh unki zarra-nawazish kaisi, ab yahan na hone ki
faqat yeh lamha hi hai jo ab tak betha mere intezar mein

mere kandhe pe koi bojh nahin hai zimendari ka magar
main janta hoon woh toot chuka hai unki is ruswai mein

mera kandha to nahin milega, ab rakhne ko sar unhe
milegi jo tanhai to hum bhi jilenge bhare bazaar mein

Wednesday, December 21, 2011

Bahut be_sabr

bahut be_sabr hai woh, aisi nazar se dekhta hai mujhko
main ja chuka hoon dur, phir kyon hai ab pukarta mujhko

kuch to baat hui hai fiza ki, aise un_dekha kiya aaj mujhko
bahar to har daaman aayi, khizan mein kyon chod diya mujhko

yahan ranjish-e-dil hai, aur ek jalta jigar mila mujhko
mila ja_ke rukman se, phir bhi dawa-e-dil na mila mujhko

jo rakhta tha sar kaandhe, woh zarr khojta dubara mukhko
main ab toot chuka hoon, phir kyon hai dhoondta woh mujhko

chale jaao dur mujhse, ki berang chod gaya mera ragrez mujhko
main rangon se nahin khafa, kyon chod gaya har rang mujhko

sunna kar woh khwab purane, kar gaya phir se nidhal mujhko
be_dekhal kar jasbatoon se, kyon kar gaya yun azad mujhko

taklif hoti hai is azaadi se, ki raas aayi thi uski ghulami mujhko
aaj zanzeer khol kar, phir se kyon de gaya woh aasman mujhko

Saturday, December 17, 2011

Khaak (dust/mud - Mitti)

sare baazar mujhe barbaad kar, ab kyon jaata hai dur woh
main pehle se khak mein tha, mujhe aur kitna dafnata woh

hai mujhe gum marne ka nahin, bas dard kuch aur jeena ka
rondi, mujh khak ko ab kyon aapne paeron se hai udata woh

aaj mere is hashr ka sabab, kuch yahan ki hawa ka bhi to hai
dabi patharoon se hoon, kyon ankhoon mein unki hai udata woh

dar mujhe kissi begaine ka nahin, aapne kisi kumhar ka hai
dhal ke sanche mein, mujh aawara ko hai bandh jaata woh

hai taklif to bahut hoti, aise har baar girke tootne pe mujhe
par tootane pe har sanche se, mujhe azad hai kar jaata woh

dobaara mil ke khaak mein, phir se zillat pata hoon main
aur meri is zillat pe har dum, yun hi hai hans jaata woh

kabhi koi to pooche Kapil, ki kya hai koi ek armaan tera
main khaak mein hoon, par mere armaan kyon hai dafnata woh

Monday, December 12, 2011

Dilli Shehar

nikal chala hoon galiyon se
sheher hi pukarta hai goya
jaoon kis aur nahin janta
ki kahin to woh mera hoga

mod pe khade dekhta hoon
milte rang to bahut goya
bhare ajanabi shehar mein
koi to chehra jana hoga

quatl-e-aam macha hai yahan
mulkoon ki jang ho goya
qoum ke naam pe lad raha
jaise bhai-bhai dushman hoga

naam leta hai rab ka woh
bahut khudai karta goya
quatl kar aapne dost ka
jashn kyon woh karta hoga

mar kar dost ko khada hai
gazi hoga woh yahan goya
kya uski ab nayi chal hogi
dhoondata nayi ladai hoga


arse bad firse nikal kar
dekha wohi sheher goya
do thukde kate hue hain
beech ka jane kya hoga

garib-e-shehar ki hasrat
raja shehar ka woh goya
amir-e-shehar se poocho to
malik shehar ka woh hoga

chalata tej hai yeh gadi
dhul udana aaj haq goya
amir-e-shehar kya jaane
dusara usi chadar mein hoga

pearon ki awazon mein kahin
udata dhul beparwah goya
garib-e-shehar kya jane
dusare ko daag laga hoga


phir mod pe dekha raha hoon
kis pale jaaein hum goya
kabhi khud kabhi gadi se
dhul ko khub udaya hoga

beech pade hum hai shehar
dono shehar mera hai goya
jo kissi ka bhi na hua
ye shehar kissi ka kya hoga

Sunday, December 11, 2011

bin kahe

bin kahe door chali gayi hai
jaane laut ke fir kab aayegi
aankhon se kuch keh rahi hai
zubaan pe kab woh baat layegi

hai in wadoon ki zubaan nahin
aur in wadoon se mukur jayegi
kaun jane kya man mein uske
hamesha aise tadpake jayegi

jatan bahut karta hun badjaon
par yaad uski saath nibhayegi
kuch din se durr hai mujhse
sapnoon mein mujhe tadpayegi

ab kaise kehdoon sangdil usko
kuch din bad surat dikhlayegi
ub jayegi jab naye saath se
milne zaroor wo mujhse aayegi

chahe hoon main ek khilona hi
mere dil se khelne wo aayegi
toot chuka hoon kitni hi bar
marham laga fir tod ke jayegi

rokta ab main kaise usko yahan
do char ghadi saans de jayegi
band pade is bejaan se dil ko
fir se tadapta chod ke jayegi

kuch hazar

kuch hazar hasaratein dil-e-beemar ki hain
inhi hasratoon ke liye sabse lad chuke hain
mujhe kya patta, kya anjaam-e-jang mera hoga
jaane kitne dil-e-makaan se be_ghar hue hain

aaj nikal aapne makaan se durr chalein hain
kuch gunjaati dhadkanoo ko chodd chalein hain
koi samajaho, na rokk mujhe aye shaher mere
yahan fizaon mein purane chehre chupe hain

is makaan mein kai chehre badalte dekhe hain
kuch haste hasante aur kuch roote dekhe hain
dil-e-barbaad se sar-e-mehfil kya poochonn
maine to rangrez ke badalte rang dekhe hain

hosh mein ho kar bhi ab maikhane chalte hain
raat ke liye ek saki mil jaye dua karte hain
faqat na_umeedi makaan mein na basar kar le
issi liye saar-e-mehfil saki se peete hain

dekho yahan to rang-birange pyale jeete hain
kissi dukaan mein yeh bhi berang milte hain
hai kuch aisi beraang si yeh shaksiyat aapni
mere tutane par bas chubhte tukade milte hain

chalo farsh pe pade in tukadoon ko ginate hain
kabhi yeh makaan tha mera isse sehjate hain
aye zamaane tu na karna gilla in tukadoon ka
har doosre mod pe gire aise bahut milte hain

In tukdoon mein bhi kuch hazar hasratein hain
inhi hasratoon ke liye sabse lad chuke hain
kya patta, kya anjaam tukadoon mein mera hoga
jaane kitne in hasratoon ke tukade hue hain

Sunday, December 4, 2011

aaj der bahut ki...

aaj der bahut ki, khayal ne ane mein
kya bataon, tere bin main kaise jiya
mud mud rahein, ab tak dekh rahi thi
peche pada dil, jane wahan kaise jiya

aaj der bahut ki, khayal ne ane mein
kya bataon, tere bin main kaise jiya

aye man tujh mein, the kitane viraane
is soone khwab mein ab main kaie jiya
woh raat kali, hamesha khwab se darati
aye khayal bata tu yahan kaise jiya

aaj der bahut ki, khayal ne ane mein
kya bataon, tere bin main kaise jiya

bahut badati hai betaabiyan dil mein
is betabi mein kisse bataon kaise jiya
kuch naye khyaloon ka saya dekha humne
mude saye, phir khayal tu kaise jiya

aaj der bahut ki, khayal ne ane mein
kya bataon, tere bin main kaise jiya

mit gayi hasti, aaj milli bas mitti
mitti bata is basti, main kaise jiya
hai ankhon mein kuch ashqkon ki jhadi
ashq se poocho, woh gaal pe kaise jiya

aaj der bahut ki, khayal ne ane mein
kya bataon, tere bin main kaise jiya

mudati nazarein, kyon tujhe dhoondati
aye nazar bata, bin tere ab kaise jiya
kuch khoye se khayalon ki jadojahad
is ranjish mein yeh khayal kaise jiya

aaj der bahut ki, khayal ne ane mein
kya bataon, tere bin main kaise jiya
khyala yeh to Kapil ab marne ka tha
kis se pocho, marte marte tu kaise jiya

Saturday, December 3, 2011

armaan

sajaae bahut hain armaan mere dil ne
ke in armanoon ki ginati nahi hoti
kai mehfillein sajaane ke baad bhi
ab teri kaami kabhi puri nahin hoti

khada hai har mod pe koi aadmi yahan
par har ek aadmi se dosti nahin hoti
aapne dil-e-dushman ko kaise bataon
har dushmani mein takrar nahin hoti

hai majboori kaisi tujhe dur rehne ki
is duri se meri chahat kum nahin hoti
hoon fansa main aadmi ke hujoom mein
par teri shaksiyat kahin nahin hoti

kaise dhoondoon tujhe is bheed mein
bin roshini soorat nazar nahin hoti
laon kahan roshini aansoon ke beech
ke aag bina koi roshini nahin hoti

aftaab to jal raha hai kab se yahan
par sirf aftaab se roshni nahin hoti
jitana bhi chahoon main is raat ko
sab ki andhere se dosti nahin hoti

hatao koi in badaaloon ko yahan se
ke bin roshini wo nazar nahin hoti
aansoon to baras rahe hain kab se
badal se koi alag barsaat nahin hoti

mujhe doondne do aaj unhe aye badal
akele armaanon ki tameer nahin hoti
sajaae bahut hain armaan mere dil ne
ke in armanoon ki ginati nahi hoti

awaragi

mudatein ho gayi hain aaj haste hue
is parde ne mera chehra chup diya
bahut zakhm khaye hain dil ne mere
meri muskurahat ne aanson dabba diya

thak chuka hun in nakali chehron se
kiske liye maine chehra badal diya
pehchanta nahin hun main ab khud ko
meri zid ne meri pehchan ko dabaa diya

sheher ne, bin naam, bin pehchan ke
be_abroo kar mujhe thokar pe la diya
zamane ke pairon se ragdta raha main
is ragad ne ris ris, mitti mein milla diya

mil mitti mein, udata hawa ke saath
is hawa ne mujhe ek banjaara bana diya
firta awara, main galiyon mein mara mara
meri awaragi ne mujhe awara bana diya