Thursday, December 29, 2011

tere jaate

tere jaate hi dil ka sarmaya lut gaya
main zinda raha na raha sab bhool gaya

is muflasi ki kuch aur wajah kya hogi
mera to rab hi aaj mujhse rooth gaya

ab roothe hue ko main manaoon kaise
uski berukhi mein mera jigar jal gaya

yeh jala jigar hai, uska thikana kahan
thikanon mein; dil-e-makaan ko bhol gaya

is makaan mein tha unka basar kab se
isse bataoon kaise bashinda choot gaya

khali makaan mein goonjati hai yaadein
yaadoon ka woh chirag kab ka bhujh gaya

na dikha mujhe phir se woh zakhm purane
in zakhmoon ke dard mein Kapil chalta gaya

No comments:

Post a Comment