Monday, December 12, 2011

Dilli Shehar

nikal chala hoon galiyon se
sheher hi pukarta hai goya
jaoon kis aur nahin janta
ki kahin to woh mera hoga

mod pe khade dekhta hoon
milte rang to bahut goya
bhare ajanabi shehar mein
koi to chehra jana hoga

quatl-e-aam macha hai yahan
mulkoon ki jang ho goya
qoum ke naam pe lad raha
jaise bhai-bhai dushman hoga

naam leta hai rab ka woh
bahut khudai karta goya
quatl kar aapne dost ka
jashn kyon woh karta hoga

mar kar dost ko khada hai
gazi hoga woh yahan goya
kya uski ab nayi chal hogi
dhoondata nayi ladai hoga


arse bad firse nikal kar
dekha wohi sheher goya
do thukde kate hue hain
beech ka jane kya hoga

garib-e-shehar ki hasrat
raja shehar ka woh goya
amir-e-shehar se poocho to
malik shehar ka woh hoga

chalata tej hai yeh gadi
dhul udana aaj haq goya
amir-e-shehar kya jaane
dusara usi chadar mein hoga

pearon ki awazon mein kahin
udata dhul beparwah goya
garib-e-shehar kya jane
dusare ko daag laga hoga


phir mod pe dekha raha hoon
kis pale jaaein hum goya
kabhi khud kabhi gadi se
dhul ko khub udaya hoga

beech pade hum hai shehar
dono shehar mera hai goya
jo kissi ka bhi na hua
ye shehar kissi ka kya hoga

No comments:

Post a Comment