mere kandhe se bahut milta tha woh aapni mufalasi mein
kuchla mujhe, aaj shaurhat jo mil gayi zindagi mein
bahut karta tha jado_jahad main uske sukhan ke liye
aur woh hi bhul gaya mujhe aapne sone ki kaid mein
dard to tha bhulne ka uske, par main lachar dekhta raha
shayad koi purani yaad milegi usse kissi raat khwab mein
aaj chal pada hoon fir chedne woh khwab purane se kai
kaise bethta main unhe woh khwab aane ke intezaar mein
fir ris rahe hain chede zakhm kyon lahoo balab ho kar
main to kab se de chuka hun but ko, unhi ke ikhtiyar mein
hai yeh unki zarra-nawazish kaisi, ab yahan na hone ki
faqat yeh lamha hi hai jo ab tak betha mere intezar mein
mere kandhe pe koi bojh nahin hai zimendari ka magar
main janta hoon woh toot chuka hai unki is ruswai mein
mera kandha to nahin milega, ab rakhne ko sar unhe
milegi jo tanhai to hum bhi jilenge bhare bazaar mein
No comments:
Post a Comment