Sunday, December 4, 2011

aaj der bahut ki...

aaj der bahut ki, khayal ne ane mein
kya bataon, tere bin main kaise jiya
mud mud rahein, ab tak dekh rahi thi
peche pada dil, jane wahan kaise jiya

aaj der bahut ki, khayal ne ane mein
kya bataon, tere bin main kaise jiya

aye man tujh mein, the kitane viraane
is soone khwab mein ab main kaie jiya
woh raat kali, hamesha khwab se darati
aye khayal bata tu yahan kaise jiya

aaj der bahut ki, khayal ne ane mein
kya bataon, tere bin main kaise jiya

bahut badati hai betaabiyan dil mein
is betabi mein kisse bataon kaise jiya
kuch naye khyaloon ka saya dekha humne
mude saye, phir khayal tu kaise jiya

aaj der bahut ki, khayal ne ane mein
kya bataon, tere bin main kaise jiya

mit gayi hasti, aaj milli bas mitti
mitti bata is basti, main kaise jiya
hai ankhon mein kuch ashqkon ki jhadi
ashq se poocho, woh gaal pe kaise jiya

aaj der bahut ki, khayal ne ane mein
kya bataon, tere bin main kaise jiya

mudati nazarein, kyon tujhe dhoondati
aye nazar bata, bin tere ab kaise jiya
kuch khoye se khayalon ki jadojahad
is ranjish mein yeh khayal kaise jiya

aaj der bahut ki, khayal ne ane mein
kya bataon, tere bin main kaise jiya
khyala yeh to Kapil ab marne ka tha
kis se pocho, marte marte tu kaise jiya

No comments:

Post a Comment